% ISB File: GuestHouse_1959.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{dil ko laakh sambhaalaa jii}%
\film{Guest House}%
\year{1959}%
\starring{Ajeet, Shakeela, Maruti, Lalita Pawar, Pran, Cukoo, Helen}%
\singer{Lata}%
\music{Chitragupt}%
\lyrics{Prem Dhawan}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10117 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

dil ko laakh sambhaalaa jii phir bhii dil matavaalaa jii
kal tak meraa thaa aaj kyo.n teraa ho gayaa

pahalii mulaakaat me.n hamane na jaanaa chhoTii sii ye baat banegii afasaanaa
par tere pyaar me.n pahalii hii baar me.n meraa ye bholaa saa dil kho gayaa
dil ko laakh sambhaalaa \threedots

chor kare chorii jii nazare.n churaa ke tuune mujhe luuTaa hai nazare.n milaa ke
mujhako na hosh thaa dil madahosh thaa naa jaane kaise ye jaaduu ho gayaa
dil ko laakh sambhaalaa \threedots

chho.Do meraa haath buraa hai zamaanaa kahii.n hame.n dekh na le ko_ii begaanaa
dekho jii pyaar kaa Te.Dhaa hai raastaa do dil mile bairii jag ho gayaa
dil ko laakh sambhaalaa \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{hamane dekhaa pyaar me.n}%
\film{Guest House}%
\year{1959}%
\starring{}%
\singer{Geeta}%
\music{Chitragupt}%
\lyrics{Prem Dhawan}%

% Contributor: K Vijay Kumar
% Transliterator: K Vijay Kumar
% Credits: Nita

\printtitle
#indian

hamane dekhaa pyaar me.n
do naino.n kii maar me.n
milane me.n vo mazaa kahaa.N hai
jo hai i.ntazaar me.n

rastaa takane vaalaa tuu kyo.n baiThaa majabuur hai
bhuul jaanaa vaadaa, ye duniyaa ka dastuur hai
halachal sii rahane de, dil\-e\-beqaraar me.n

dil to ye kahataa hai, ki aane vaalaa aayegaa
aa.Nkhe.n ye kahatii hai.n, ae dil tuu dhokhaa khaayegaa
aisaa hii, hotaa hai, dono ke taqaraar me.n

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{jhuuTh kaa diipak kabhii na jalataa}%
\film{Guest House}%
\year{1959}%
\starring{Ajeet, Shakeela, Maruti, Lalita Pawar, Pran, Cukoo, Helen}%
\singer{Rafi}%
\music{Chitragupt}%
\lyrics{Prem Dhawan}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10119 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

jhuuTh kaa diipak kabhii na jalataa sach kii jyot amar hai
tere man me.n khoT nahii.n to tujhako kisakaa Dar hai

saa.Nch ko aa.Nch nahii.n pyaare phir himmat kyo.n haare
sadaa sach bol are inasaan ki sach ko hii kahate hai.n bhagavaan
saa.Nch ko aa.Nch \threedots

parvat ko naa haTate dekhaa dariyaa ko naa rukate
jo sachche hai.n unako hamane kabhii naa dekhaa jhukate
tuu bhii sach kaa rakh le maan ki sach ko hii kahate hai.n bhagavaan
saa.Nch ko aa.Nch \threedots

vo hii sukh paate hai.n jag me.n aa_e jinhe.n dukh sahanaa
siikh le tuu phuulo.n se kaa.NTo.n me.n bhii ha.Nsate rahanaa
sachchaa rastaa tuu pahachaan ki sach ko hii kahate hai.n bhagavaan
saa.Nch ko aa.Nch \threedots

raat ho kitanii lambii phir bhii suuraj to aa_egaa
aakhir jiit to hogii sach kii jhuuTh na phal paa_egaa
kah ga_e baat ye log mahaan ki sach ko hii kahate hai.n bhagavaan
saa.Nch ko aa.Nch \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{jisakaa juutaa usii kaa sar}%
\film{Guest House}%
\year{1959}%
\starring{Ajeet, Shakeela, Maruti, Lalita Pawar, Pran, Cukoo, Helen}%
\singer{Mukesh}%
\music{Chitragupt}%
\lyrics{Prem Dhawan}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10118 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

jisakaa juutaa usii kaa sar dil hai chhoTaa ba.Daa shahar
are vaah re vaah terii ba.mba_ii
khaayaa dhokhaa ga_e jidhar dekho qismat phere kidhar
are vaah re vaah terii ba.mba_ii

aa ke yahaa.N kyaa mil gayaa jeb kaTii aur dil gayaa
ra.ng tere is shahar ke dekh kalejaa hil gayaa
maal na sahii jaan to bachii bhaag bhaag misTar
jisakaa juutaa usii \threedots

mem phire kis aan se saath hai kuttaa shaan se
jaanavar se to pyaar hai pyaar nahii.n insaan se
dekh naazanii.n ham bhii hai.n hasii.n itanaa naaz na kar
jisakaa juutaa usii \threedots

paas me.n moTar kaar ho bai.nk me.n tiis hazaar ho.n
pyaar yahaa.n tab kiiji_e maal ye jab sarakaar ho
naa to suuT hai naa buuT hai dekh pyaar se Dar
jisakaa juutaa usii \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{teraa jaaduu na chalegaa o sapere}%
\film{Guest House}%
\year{1959}%
\starring{Ajeet, Shakeela, Maruti, Lalita Pawar, Pran, Cukoo, Helen}%
\singer{Lata}%
\music{Chitragupt}%
\lyrics{Prem Dhawan}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10116 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

teraa jaaduu na chalegaa o sapere
kaahe maare merii galiyo.n ke phere
meraa rasiyaa to man me.n hai mere
tuu hai kaun meraa rastaa jo ghere

dekh tuu mujhako na haath lagaa jhuum ke mai.n Das luu.Ngii
aag lage terii nas\-nas me.n aisaa zahar bhar duu.Ngii
o kahii.n ta.Dape na saa.Njh sabere
teraa jaaduu na chalegaa \threedots

ek thaa dil jo mai.n de hii chukii kyaa tum lene aa_e
nainan jab chitachor base ko_ii na aur samaa_e
o nahii.n aane vaalii haath mai.n tere
teraa jaaduu na chalegaa \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{Tha.nDii Tha.nDii chale re havaa o sajanaa}%
\film{Guest House}%
\year{1959}%
\starring{Ajeet, Shakeela, Maruti, Lalita Pawar, Pran, Cukoo, Helen}%
\singer{Lata}%
\music{Chitragupt}%
\lyrics{Prem Dhawan}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10115 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

( Tha.nDii Tha.nDii chale re havaa ) \-2 o sajanaa jiyaraa meraa laharaa_e
u.D\-u.D jaa_e sar se chunariyaa mukh se nikale haay re
Tha.nDii Tha.nDii chale re havaa \threedots

ko_ii rasiyaa ko_ii chhaliyaa mere man ko bhaane lagaa
is milan me.n is lagan me.n ik mazaa saa aane lagaa
aage\-aage lagan more man kii jaane kyaa ra.ng laa_e re
Tha.nDii Tha.nDii chale re havaa \threedots

laT jo ulajhii phir na sulajhii aa sajan sulajhaa de zaraa
mai.n na jaanuu.N bhed man ke tuu hii ab samajhaa de zaraa
yuu.N to laage nazar torii pyaarii phir bhii kyo.n ta.Dapaa_e re
Tha.nDii Tha.nDii chale re havaa \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{tumase kuchh kahanaa hai gar tum kuchh kahane do}%
\film{Guest House}%
\year{1959}%
\starring{Ajit, Shakeela, Maruti, Lalita Pawar}%
\singer{Mukesh, Lata}%
\music{Chitragupt}%
\lyrics{Prem Dhawan}%

% Contributor: Pradip Shah, 2003-01-24
% Transliterator: V S Rawat, 2004-01-24

\printtitle
#indian

M: tumase kuchh kahanaa hai, gar tum kuchh kahane do
L: aaji bole binaa hum jaane, rahane do ji rahane do
M: in aa.Nkho.n.me.n rahana hai, agar pyaar se rahane do
L: pahale dil ko najaroge, kuchh tiir to sahane do

M: ha.Ns ha.Nsake sah le.nge, bade shokh se tiir chalaao
L:  ye fasaanaa hai puraanaa, koii baat nayii farmaao
M: chalo juuTh sahii, per baat merii, ek baar bhii to sun lo
M: tumase kuchh kahanaa hai, agar tum kuchh kahane do
L: aaji bole binaa hum jaane, rahane do ji rahane do

L: dil Dole, kuchh bole, bhalaa kaun ye samaje ishaare
M: vo ishaaraa jo tumhara, to mai.n toD ke laa duu.n kinaare
L: aaji tumase yakii.n kuchh humako nahi.n, jaraa ho.nsh kii baat karo
M: tumase kuchh kahanaa hai, agar tum kuchh kahane do
L: aaji bole binaa hum jaane, rahane do ji rahane do

M: kuchh dinse mere dilme.in, koii ban ke khayaal aataa hai
L: bato.nse bahalaanaa, tum ko yeh qamaal aataa hai
M: sach kahate.in hai hum
L: chalo khaao qasam
M: chaahe apanii qasam le lo
M: tumase kuchh kahanaa hai, agar tum kuchh kahane do
L: aaji bole binaa hum jaane, rahane do ji rahane do

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
