% ISB File: GunahonKaDevta_1967.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{chaahaa thaa banuu.N pyaar kii raaho.n kaa devataa}%
\film{Gunahon Ka Devta}%
\year{1967}%
\starring{Jitendra, Rajshri, Mehmood}%
\singer{Mukesh}%
\music{Shankar-Jaikishan}%
\lyrics{Shailendra}%

% Contributor: BOL ANAMOL #11057 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

chaahaa thaa banuu.N pyaar kii raaho.n kaa devataa
mujhako banaa diyaa hai gunaaho.n kaa devataa

ye zindagii to Kvaab hai jiinaa bhii hai nashaa
do ghuu.NT maine pii li_e to kyaa buraa kiyaa
rahane do jaam saamane sab kuchh yahii to hai
har Gamazadaa ke aa.Nsu_o.n kaa devataa
mujhako banaa diyaa \threedots

qismat to chal rahii hai hamase chaal har qadam
ek chaal ham bhii chal di_e to ho gayaa sitam
ab to chale.nge chaal ham qismat ke saath bhii
aisaa banaa sa.nsaar kii raaho.n kaa devataa
mujhako banaa diyaa \threedots

hogaa jahaa.N bhii ruup to puujaa hii jaa_egaa
chaahe jahaa.N bhii phuul ho man ko lubhaa_egaa
hokar rahegaa zindagii me.n pyaar ek baar
bas kar rahegaa dil me.n nigaaho.n kaa devataa
mujhako banaa diyaa \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{merii taqadiir kahaa.N par ... raam kare kahii.n nainaa na ulajhe.n}%
\film{Gunahon Ka Devta}%
\year{1967}%
\starring{Jitendra, Rajshri, Mehmood}%
\singer{Lata}%
\music{Shankar-Jaikishan}%
\lyrics{Hasrat}%

% Contributor: BOL ANAMOL #11055 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

merii taqadiir kahaa.N par mujhe le aa_ii hai
saarii duniyaa merii ulfat kii tamaashaa_ii hai
isali_e laaj kaa pardaa hai mere chehare par
khul gayaa raaz to isame.n terii rusavaa_ii hai

raam kare kahii.n nainaa na ulajhe.n \-2
nainaa jo ulajhe.n to mushkil se sulajhe
raam kare kahii.n \threedots

aa_e na jis din ghar saa.Nvariyaa paagal banakar Dhuu.NDhe najariyaa
morii kaayaa aise ta.Dape jaise ta.Dape jal bin machhariyaa
raam kare kahii.n \threedots

jisake kaaraN sab kuchh chho.Daa usane mere dil ko to.Daa
har tuufaa.N me.n saath rahaa vo aake kinaare mukha.Daa mo.Daa
raam kare kahii.n \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{tiir aa.Nkho.n kaa jigar ke paar kar do yaar tum}%
\film{Gunahon Ka Devta}%
\year{1967}%
\starring{Jitendra, Rajshri, Mehmood}%
\singer{Mukesh}%
\music{Shankar-Jaikishan}%
\lyrics{Hasrat}%

% Contributor: BOL ANAMOL #11056 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

tiir aa.Nkho.n kaa jigar ke paar kar do yaar tum
jaan le lo yaa ki jaa.N ko nisaar kar do yaar tum
tiir aa.Nkho.n kaa \threedots

ham tumhaare dil tumhaaraa phir tumhe.n Dar kaahe kaa
shauq se tirachhii nazar ke vaar kar do yaar tum
jaan le lo yaa ki \threedots

kab talak ta.Dapaa kare.nge ham vafaa kii raah me.n
aaj apane pyaar kaa ikaraar kar do yaar tum
jaan le lo yaa ki \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
