% ISB File: Gupt_1997.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{duniyaa hasiino.n kaa melaa}%
\film{Gupt/ The Hidden Truth}%
\year{1997}%
\starring{Bobby Deol, Manisha Koirala, Kajol}%
\singer{Udit Narayan}%
\music{Viju Shah}%
\lyrics{Anand Bakshi}%

% Contributor: V S Rawat

\printtitle
#indian

hai duniyaa hasiino.n kaa melaa mele me.n ye dil akelaa
duniyaa hasiino.n kaa melaa mele me.n ye dil akelaa
ik dost Dhuu.nDhataa huu.N mai.n dostii ke li_e \-2

ho duniyaa hasiino.n kaa melaa mele me.n ye dil akelaa
ik dost Dhuu.nDhataa huu.N mai.n dostii ke li_e \-2

ho
( yahaa.N vahaa.N idhar udhar chehare hai.n kitane hasii.n
magar jahaa.N ruke nazar suurat vo dekhii nahii.n ) \-2
vo husn Dhuu.nDhataa huu.N mai.n aashiqii ke li_e
duniyaa hasiino.n kaa melaa mele me.n ye dil akelaa
ik dost Dhuu.nDhataa huu.N mai.n dostii ke li_e \-2

he
( adaa nashaa nazar badan sab kuchh tere paas hai
magar tuu vo ghaTaa nahii.n jisakii mujhe pyaas hai ) \-2
ek jaam Dhuu.nDhataa huu.N mayakashii ke li_e
duniyaa hasiino.n kaa melaa mele me.n ye dil akelaa
ik dost Dhuu.nDhataa huu.N mai.n dostii ke li_e \-2

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{mere Kvaabo.n me.n tuu ... mere dil ne kiye tujhe laakho.n salaam}%
\film{Gupt/ The Hidden Truth}%
\year{1997}%
\starring{Bobby Deol, Manisha Koirala, Kajol}%
\singer{Udit Narayan, Sadhana Sargam}%
\music{Viju Shah}%
\lyrics{Anand Bakshi}%

% Contributor: V S Rawat

\printtitle
#indian

mere khvaabo.n me.n tuu merii saa.Nso.n me.n tuu
merii baaho.n me.n tuu dil kii raaho.n me.n tuu
raat din subah\-o\-shaam le ke teraa naam
mere dil ne kiye tujhe laakho.n salaam

tuu ho ko_ii phuul to churaa luu.n he he
apanii zulfo.n me.n lagaa luu.n
palako.n ke niiche chhupaa luu.n
tuu ho ko_ii jaam to u.Daa luu.n he he
apanii pyaas mai.n bujhaa luu.n
aa.Nchal ke piichhe chhupaa luu.n
naa mai.n phuul naa mai.n jaam diivaanaa meraa naam
meraa naam saarii duniyaa me.n hai badanaam
mere khvaabo.n me.n tuu \threedots

tujhako ko_ii giit mai.n banaa luu.n haa.n haa.n
apane ho.nTho.n pe sajaa luu.n
jii chaahe jab gunagunaa luu.n
tujhako man kii miit mai.n banaa luu.n haa.n haa.n
apanii palako.n pe biThaa luu.n
haa.N jii chaahe jab bulaa luu.n
husn kaa mai.n gulaam aashiq hai meraa naam
ishq aasaa.n nahii.n ba.Daa mushkil hai kaam
mere khvaabo.n me.n tuu \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{mere sanam mujhako terii kasam}%
\film{Gupt/ The Hidden Truth}%
\year{1997}%
\starring{Bobby Deol, Manisha Koirala, Kajol}%
\singer{Kavita Subramaniam}%
\music{Viju Shah}%
\lyrics{Anand Bakshi}%

% Contributor: V S Rawat

\printtitle
#indian

mere sanam mujhako terii kasam
tujhase bichha.D kar mar jaa_e.nge ham
ke marane se pahale jii le.n zaraa ham
mere sanam mujhako \threedots

aisii lagii hai ye dil kii lagii
saavan ka_ii barase ye naa bujhii
is aag me.n ek din jal jaa_e.nge ham
ke marane se pahale \threedots

idhar aa tujhe mai.n gale se lagaa luu.n
tujhe apanii aa.Nkho.n kaa kaajal banaa luu.n
hazaaro.n hai baate.n magar vaqt hai kam
ke marane se pahale \threedots

ye pyaasii muhabbat ye pyaasii javaanii
adhuurii adhuurii ye dil kii kahaanii
jhukii hu_ii hai raat ye rukii hu_ii hai baat ye
ye chaa.Ndanii raat aage chale
ho kuchh pyaar kii baat aage chale

kab kaun jaane kahaa.n chalaa jaa_e
mausam yahaa.n se vahaa.n chalaa jaa_e
aisaa na ho ye samaa chalaa jaa_e
jhukii hu_ii hai aa.Nkh bhii rukii hu_ii hai saa.Ns bhii
kuchh to mulaakaat aage chale
ho kuchh pyaar kii baat \threedots

bole ye nazar ye jubaa.n chalii jaa_e
ye dil gayaa ab ye jaa.n chalii jaa_e

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{ye pyaar kyaa hai kisii ne naa jaanaa}%
\film{Gupt/ The Hidden Truth}%
\year{1997}%
\starring{Bobby Deol, Manisha Koirala, Kajol}%
\singer{Alka Yagnik, Kavita Subramaniam, Kumar Sanu}%
\music{Viju Shah}%
\lyrics{Anand Bakshi}%

% Contributor: V S Rawat

\printtitle
#indian

ye pyaar kyaa hai kisii ne naa jaanaa
sab kii zubaa.n par magar ye fasaanaa
jaaduu kyaa ye kyaa pataa kab kisii pe ye chal gayaa
sholaa hai meraa badan kab kisakaa dil jal gayaa aa aa aa
ye pyaar kyaa hai \threedots

pahale zaraa dil thaam lo phir pyaar kaa naam lo
naa kuchh kaho naa kuchh suno aa.Nkho.n se kaam lo
sab ke li_e ye pyaar kaa phuul khilataa nahii.n
sab ko magar pyaar kaa ye Gam bhii milataa nahii.n
ye pyaar kyaa hai \threedots

is pyaar me.n dil pe kabhii kuchh zor chalataa nahii.n
is dil me.n jo bas jaa_e vo dil se nikalataa nahii.n
kuchh yaar to pyaar me.n kyaa kuchh nahii.n kar ga_e
ye pyaar kyaa hai \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
