% ISB File: HamariManzil_1949.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{TuuTe hu_e dil ko ulfat kaa bas itanaa fasaanaa yaad rahaa}%
\film{Hamari Manzil}%
\year{1949}%
\starring{Nirupa Roy, Prem Adeeb, Gop, Yashodhara Kataju, Badri Prasad}%
\singer{Rafi}%
\music{Husnlal Bhagatram}%
\lyrics{Qamar Jalalabadi/Rajinder Krishan?}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10405 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

TuuTe hu_e dil ko ulfat kaa bas itanaa fasaanaa yaad rahaa
bas itanaa fasaanaa yaad rahaa TuuTe hu_e dil ko ulfat kaa

mai.n saaraa zamaanaa bhuul gayaa \-2
ik unakii duniyaa yaad rahii \-2
vo merii hii duniyaa bhuul gayaa
aur saaraa zamaanaa yaad rahaa
TuuTe hu_e dil ko \threedots

jaanaa thaa unhe.n chale jaate \-2
par yaad bhii apanii le jaate
kyo.n aag bujhaanaa bhuul ga_e
aur aag lagaanaa yaad rahaa
TuuTe hu_e dil ko \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
