% ISB File: Hamjoli_1946.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{kab tak terii duniyaa me.n ye a.ndher rahegaa}%
\film{Hamjoli}%
\year{1946}%
\starring{Noorjehan, Jairaj, Ghulam Mohammad}%
\singer{Noorjehan}%
\music{Hafiz Khan}%
\lyrics{Anjum Pilibhiti}%

% Audio on: EMI
% Contributor: Pulkit Sharma
% Transliterator: Pulkit Sharma
% Date: 13 Jan 2005
% Series: Noor-E-Tarannum
% generated using giitaayan

\printtitle
#indian

kab tak terii duniyaa me.n ye a.ndher rahegaa \-2
paanii kii tarah khuun Gariibo.n kaa bahegaa\-2
kab tak terii duniyaa me.n ye a.ndher rahegaa

sa.nsaar me.n dukhiyo.n ko tere chain nahii.n hai\-2
rahane ke liye ghar hai naa basane ko zamii.n hai
fariyaad fariyaad hai fariyaad hai ye raaz nahii.n hai
ye zulm kahaa.N tak ko_ii insaan sahegaa\-2
kab tak terii duniyaa me.n ye a.ndher rahegaa

dhanvaalo.n kii duniyaa me.n kafan ke bhii hai.n laale
Chiine liye jaate hai.n ye ab muu.N ke nivaale
pa.nje se amiirii ke Gariibii ko sulaale\-2
varanaa teraa phir puujanevaalaa naa rahegaa\-2
kab tak terii duniyaa me.n ye a.ndher rahegaa

ham kyaa hai.n Gariib aa_o aa_o Gariib aa_o amiiro.n ko bataade.n
mahlo.n kii uTho ii.nT se ham ii.nT bajaade.n
maanaa ke ye zaalim hame.n duniyaa se miTaade.n
duniyaa me.n Gariibo.n kaa magar naam rahegaa\-2
kab tak terii duniyaa me.n ye a.ndher rahegaa
kab tak terii duniyaa me.n
bhagavaan bhagavaan

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{phuulo.n me.n nazar ye kaun aayaa}%
\film{Hamjoli}%
\year{1946}%
\starring{Noorjehan, Jairaj, Ghulam Mohammed, Billubai, Zeenat}%
\singer{Noorjehan}%
\music{Hafiz Khan}%
\lyrics{Anjum Philbhiti}%

% Contributor: BOL ANAMOL #12144 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

( phuulo.n me.n nazar ye kaun aayaa
kaun aayaa ) \-2
( bholepan se aa.Nkh me.n aa kar
dil me.n jo muskaayaa
kaun aayaa ) \-2
phuulo.n me.n nazar ye kaun aayaa

( jaane nazar me.n kyaa thaa jaaduu
dil pe nahii.n jo apanaa qaabuu ) \-2
aise ik naakaam nahii.n the
( aise ik naakaam nahii.n the
saaraa hosh ga.Nwaayaa 
kaun aayaa ) \-2

phuulo.n me.n nazar ye kaun aayaa
kaun aayaa

( usane dikhaa ke mukha.Daa sundar
bhar dii.n bijaliyaa.N dil ke andar ) \-2
chain nahii.n ab aaye man ko
( chain nahii.n ab aaye man ko
kyaa zamaanaa aayaa
kaun aayaa ) \-2

( phuulo.n me.n nazar ye kaun aayaa
kaun aayaa ) \-2

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{ye desh hamaaraa pyaaraa hindustaan jahaa.N se nyaaraa}%
\film{Hamjoli}%
\year{1946}%
\starring{Noorjehan, Jairaj, Ghulam Mohammed, Billubai, Zeenat}%
\singer{Noorjehan}%
\music{Hafiz Khan}%
\lyrics{Anjum Philbhiti}%

% Contributor: BOL ANAMOL #12015 [V S Rawat]
% Song courtesy: http://www.indianscreen.com (Late Shri Amarjit Singh)

\printtitle
#indian

( ye desh
ye desh hamaaraa pyaaraa
hindustaan jahaa.N se nyaaraa ) \-2

( hindustaan ke ham hai.n pyaare
hindustaan hamaaraa pyaaraa ) \-2

ye desh
ye desh hamaaraa pyaaraa
hindustaan jahaa.N se nyaaraa

( maanaa ke hai.n ham hind ke rahane
waale bhuukhe marate hai.n ) \-2
( lekin isake ann se ab bhii
log jahaa.N ke palate hai.n ) \-2

ye desh
ye desh hamaaraa pyaaraa
hindustaan jahaa.N se nyaaraa

(jaag uThe hai.n hind ke baasii
ham ye zaahir kar de.nge ) \-2
( waqt pa.Daa to desh pe apanii
jaan nichhaawar kar de.nge ) \-2

ye desh
ye desh hamaaraa pyaaraa
hindustaan jahaa.N se nyaaraa

( le ke rahe.nge ham aazaadii
wo din aane waalaa hai
wo din aane waalaa hai ) \-2
( jhaNDaa apanaa saarii duniyaa
par laharaane waalaa hai ) \-2

ye desh
ye desh hamaaraa pyaaraa
hindustaan jahaa.N se nyaaraa

hindustaan ke ham hai.n pyaare
hindustaan hamaaraa pyaaraa

ye desh
ye desh hamaaraa pyaaraa
hindustaan jahaa.N se nyaaraa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
