% ISB File: HeerRanjha_1970.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{do dil TuuTe do dil haare}%
\film{Heer Ranjha}%
\year{1970}%
\starring{Rajkumar, Priya Rajvansh}%
\singer{Lata}%
\music{Madan Mohan}%
\lyrics{Kaifi Azmi}%

% Contributor: Vijay Kumar
% Transliterator: Vijay Kumar

\printtitle
#indian

do dil TuuTe do dil haare
duniyaa.N vaalo.n sadake tumhaare

dekhegii mukha.Daa apanaa ab se javaanii dil ke daaG me.n
barasegaa kaise saavan kaise pa.De.nge jhuule baaG me.n
bain kare.nge Kvaab ku.nvaare
do dil TuuTe do dil haare

mai.n na rahuu.Ngii lekin guu.Nje.nge aahe.n mere gaa.Nv me.n
ab na khilegii saraso.n ab na lagegii meha.ndii paa.Nv me.n
ab na uge.nge chaa.Nd sitaare
do dil TuuTe do dil haare

pyaar tumhaaraa dekhaa
dekhaa tumhaaraa aa.Nkhe.n mo.Danaa
to.D ke jaanaa dil ko khel nahii.n hai dil kaa to.Danaa
ta.Dapoge tum bhii saath hamaare
do dil TuuTe do dil haare

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{Dolii cha.Dhate hii hiir ne bain kiye}%
\film{Heer Ranjha}%
\year{1970}%
\starring{Rajkumar, Priya Rajvansh}%
\singer{Lata, chorus}%
\music{Madan Mohan}%
\lyrics{Kaifi Azmi}%

% Contributor: Vijay Kumar
% Transliterator: Vijay Kumar

\printtitle
#indian

Dolii cha.Dhate hii hiir ne bain kiye o~
mujhe le chale baabul le chale
ve~ mujhe rok le baabul rok le tuu
Dolii bairii kahaar lai chale re

do chaar gha.Dii bhii na chain paayaa
duHkh dard musiibate.n lai chale
ve~ meraa kahaa sunaa sab maaf karanaa
kuchh roz tere ghar rah chale ve

tujhe raa.Njhanaa rab ke havaale kiyaa
ham des me.n zaalimaa ke chale
ve~ rahii pyaar kii jholii dekh khaalii
koii chiiz bhii saath na le chale ve

mere baad Kabar terii kaun legaa
tere bhaag me.n hai tanhaa_iyaa.N
ve~ mujhe aur ummiid thii aur huaa
kii rab ne beparavaa_i.nyaa ve
o~ kii rab ne beparavaa_i.nyaa ve

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{merii duniyaa me.n tum aayii.n}%
\film{Heer Ranjha}%
\year{1970}%
\starring{Rajkumar, Priya Rajvansh}%
\singer{Lata, Rafi, Rajkumar, Priya Rajvansh}%
\music{Madan Mohan}%
\lyrics{Kaifi Azmi}%

% Contributor: Vijay Kumar
% Transliterator: Vijay Kumar

\printtitle
#indian

ra  : merii duniyaa me.n tum aayii.n kyaa kyaa apane saath liye
      tan kii chaa.Ndii man kaa sonaa sapano.n vaalii raat liye

      tanhaa tanhaa khoyaa khoyaa dil me.n dil kii baat liye
      kab se yuu.N hii phirataa huu.N mai.n aramaa.N kii baaraat liye

## Spoken phrases ##
raa : andhere kaa ishaaraa samajho
      ab diyaa dil kaa jalaanaa hogaa
pri : tum ba.De vo ho, mujhe jaane do
raa : jaa sakogii?
pri : mujhe jaanaa hogaa
raa : to jaa_o
pri : chho.Do bhii
raa : nahii.n
pri : chho.Do na
raa : aaj kii raat to dil to.Do na

## Singing resumes ##
la  : Dhalakaa aa.Nchal phailaa kaajaal aa.Nkho.n me.n ye raat liye
      kaise jaa_uu.N sakhiyo.n me.n ab terii ye saugaat liye
      Dhalakaa aa.Nchal phailaa kaajal

      dil kii ye dha.Dakan sun le na koii
      haay haay haay dekhe na koii
ra  : na jaao na jaao na jaao
la  : haTo haTo Dar lagataa hai
ra  : suno suno
la  : Dar lagataa hai
ra  : dil me.n kitanii kaliyaa.N mahakii kaise kaise phuul khile
      naazuk naazuk miiThe miiThe ho.nTho.n kii khairaat liye

la  : chaa.Nd se kaise aa.Nkh milaa_uu.N
ra  : baaho.n me.n aao tum ko bataa_uu.N
la  : bas bhii karo
ra  : ab na Daro raat hai ye apanii
la  : paayal chhanake, ka.Nganaa khanake badalii jaaye chaa.Nd merii
      ma.nzil ma.nzil chalanaa hogaa haatho.n me.n ab haath liye

ra  : merii duniyaa me.n tum aayii.n kyaa kyaa apane saath liye
      tan kii chaa.Ndii man kaa sonaa sapano.n vaalii raat liye
      merii duniyaa me.n tum aayii.n

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{milo na tum to ham ghabaraaye}%
\film{Heer Ranjha}%
\year{1970}%
\starring{Priya Rajvansh, Rajkumar}%
\singer{Lata}%
\music{Madan Mohan}%
\lyrics{Kaifi Azmi}%

% Contributor: Neha Desai
% Transliterator: K Vijay Kumar

\printtitle
#indian

milo na tum to ham ghabaraaye
milo to aa.Nkh churaaye
hame.n kyaa ho gayaa hai
tumhii.n ko dil kaa raaz bataaye.n
tumhii.n se raaz chhupaaye.n
hame.n kyaa ho gayaa hai   \threedots

o bhole saathiyaa
dekhe jo shokhii tere pyaar kii oy hoy
o bhole saathiyaa 
dekhe jo shokhii tere pyaar kii
aa.Nchal me.n bhar lii hamane
saarii bahare.n sa.nsaar kii
nayii adaa se ham iThalaaye.n
paayii khushii luTaaye.n
hame.n kyaa ho gayaa hai   \threedots

ruuThe kabhii kabhii maan gaye
baate.n tumhaarii ham jaan gaye
aa~
aisii adaaye.n qurabaan gaye
tumhe.n manaaye dil bahalaaye.n
kyaa kyaa naaz uThaaye.n
hame.n kyaa ho gayaa hai   \threedots

o sohane jogiyaa
ra.ng le hame.n bhii isii ra.ng me.n oy hoy
o sohane jogiyaa 
ra.ng le hame.n bhii isii ra.ng me.n
phir se sunaa de ba.nsii
kaliyaa.N khilaa de gore a.ng me.n
vahii jo taane.n aag lagaaye
unhii.n se aag bujhaa_e.n
hame.n kyaa ho gayaa hai   \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{tere kuuche me.n teraa diivaanaa}%
\film{Heer Ranjha}%
\year{1970}%
\starring{Rajkumar, Priya Rajvansh}%
\singer{Rafi}%
\music{Madan Mohan}%
\lyrics{Kaifi Azmi}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10570 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

( tere kuuche me.n teraa diivaanaa
aaj dil kho baiThaa ) \-2

teraa diivaanaa huu.N inkaar nahii.n
kaise kah duu.N ke mujhe pyaar nahii.n
kuchh sharaarat terii aa.Nkho.n kii bhii hai
mai.n akelaa hii gunahagaar nahii.n
( tuune maa.Ngaa to ) \-2 diyaa nazaraanaa
teraa diivaanaa \threedots

tuu nahii.n hai to adhuuraa saa nazar aataa huu.N
aaj apane me.n bahut terii kamii paataa huu.N
mujhako aavaaraa samajhate hai.n tere gaa.Nv ke log
terii sakhiyo.n me.n mai.n badanaam hu_aa jaataa huu.N
( har zubaa.N par hai ) \-2 meraa afasaanaa
teraa diivaanaa \threedots

muskaraane kii adaa bhii qaatil
sar jhukaane kii adaa bhii qaatil
ishq kii baa.Nho.n me.n aate\-aate
lauT jaane kii adaa bhii qaatil
( kaise qaatil se ) \-2 hu_aa yaaraanaa
teraa diivaanaa \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{ye duniyaa ye mahafil, mere kaam kii nahii.n}%
\film{Heer Ranjha}%
\year{1970}%
\starring{Raaj Kumar, Priya Rajvansh}%
\singer{Rafi, Lata}%
\music{Madan Mohan}%
\lyrics{Kaifi Azmi}%

% Transliterator: Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu)
% Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu)
%          Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu)

\printtitle
#indian

ye duniyaa ye mahafil
mere kaam kii nahii.n \- (2)

kisako sunaauu.N haal\-e\-dil beqaraar kaa
bujhataa huaa charaaG huu.N apane mazaar kaa
ai kaash bhuul jaauu.N magar bhuulataa nahii.n
kis dhuum se uThaa thaa janaazaa bahaar kaa
ye duniyaa\threedots

apanaa pataa mile na khabar yaar kii mile
dushman ko bhii naa aisii sazaa pyaar kii mile
unako khudaa mile hai khudaa kii jinhe talaash
mujhako bas ik jhalak mere diladaar kii mile
ye duniyaa\threedots

saharaa me.n aake bhii mujhako Thikaanaa na milaa
Gam ko bhuulaane kaa koii bahaanaa na milaa
dil tarase jis me.n pyaar ko kyaa samajhuu.N us sa.nsaar ko
ik jiitii baazii haarake mai.n Dhuu.NDhuu.N bichha.De yaar ko
ye duniyaa\threedots

duur nigaaho.n se aa.Nsuu bahaataa hai koii
kaise na jaauu.N mai.n mujhako bulaataa hai koii
yaa TuuTe dil ko jo.D do yaa saare ba.ndhan to.D do
ai parbat rastaa de mujhe ai kaa.NTo.n daaman chho.D do
ye duniyaa\threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
