% ISB File: Ijaazat_1987.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{chhoTii sii kahaanii se, baarisho.n kii paanii se}%
\film{Ijaazat}%
\year{1987}%
\starring{Rekha, Naseeruddin Shah, Anuradha Patel}%
\singer{Asha}%
\music{R D Burman}%
\lyrics{Gulzar}%

% Contributor: K Vijay Kumar
% Transliterator: K Vijay Kumar

\printtitle
#indian

chhoTii sii kahaanii se, baarisho.n kii paanii se
saarii vaadii bhar gayii
na jaane kyo.n, dil bhar gayaa
na jaane kyo.n aa.Nkh bhar gayii

rukatii hai chalatii hai
kabhii barasatii hai
baadal pe paa.Nv rakh ke
baarish machalatii hai aa~ aa~
la laa~ chhoTii sii kahaanii se   \threedots

shaaKo.n pe patte the
patto.n me.n buu.Nde thii.n
buu.Ndo.n me.n paanii thaa
paanii me.n aa.Nsuu thaa aa~ aa~
la laa~ chhoTii sii kahaanii se   \threedots

pahale mile bhii the
dil me.n gile bhii the
mil ke paraaye the
do ham_saaye the aa~ aa~
la laa~ chhoTii sii kahaanii se   \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{kataraa kataraa milatii hai}%
\film{Ijaazat}%
\year{1987}%
\starring{Nasseruddin Shah, Rekha, Anuradha Patel}%
\singer{Asha}%
\music{R D Burman}%
\lyrics{Gulzar}%

% Contributor: Tanvi (tanvi@utxvms.cc.utexas.edu)
% Transliterator: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
% Credits: K Vijay Kumar

\printtitle
#indian

kataraa kataraa milatii hai
kataraa kataraa jiine do
zi.ndagii hai, bahane do
pyaasii huu.N mai.n pyaasii rahane do

tumane to aakAsh bichhAyA
mere na.nge pairo.n me.n zamiin hai
dekhe to tumhArii aarazuu hai
shAyad aise zindagI hasiin hai
aarazuu me.n bahane do
pyaasI huu.N mai.n pyaasI rahane do

kal bhii to kuchh aisaa hii hu_aa thaa
nii.nd me.n thii tumane jab chhu_aa thaa
girate girate baaho.n me.n bachii mai.n
sapane pe paa.Nv pa.D gayaa thaa
sapano.n me.n rahane do
pyaasii huu.N mai.n pyaasii rahane do

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{khaalii haath shaam aayii hai}%
\film{Ijaazat}%
\year{1987}%
\starring{Rekha, Naseeruddin Shah, Anuradha Patel}%
\singer{Asha}%
\music{R D Burman}%
\lyrics{Gulzar}%

% Contributor: K Vijay Kumar
% Transliterator: K Vijay Kumar

\printtitle
#indian

khaalii haath shaam aayii hai
khaalii haath jaayegii
aaj bhii na aayaa koii
khaalii lauT jaayegii
khaalii haath shaam aayii hai   \threedots

aaj bhii na aaye aa.Nsuu
aaj bhii na bhiige nainaa
aaj bhii ye korii rainaa
korii lauT jaayegii
khaalii haath shaam aayii hai   \threedots

raat kii siyaahii koii
paaye to miTaaye naa
aaj na miTaayaa to ye
kal bhii lauT aayegii
khaalii haath shaam aayii hai   \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{meraa kuchh saamaan tumhaare paas pa.Daa hai}%
\film{Ijaazat}%
\year{1987}%
\starring{Rekha, Naseeruddin Shah, Anuradha Patel}%
\singer{Asha}%
\music{R D Burman}%
\lyrics{Gulzar}%

% Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org)
% Credits: rec.music.indian.misc (USENET newsgroup) 
%          Monish Aggarwar (mra@csuohio.edu)
%          C.S. Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu)
%          Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)

\printtitle
#indian

meraa kuchh saamaan tumhaare paas pa.Daa hai \- 2
o o o ! saavan ke kuchh bhiige bhiige din rakhe hai.n
aur mere ek khat me.n lipaTii raat pa.Dii hai
vo raat bhulaa do, meraa vo saamaan lauTaa do \- 2
meraa kuchh saamaan tumhaare paas pa.Daa hai \- 2

patajha.D hai kuchh \threedots hai naa ?
o ! patajha.D me.n kuchh patto.n ke girane kii aahaT
kaano.n me.n ek baar pahan ke lauT aaI thii
patajha.D kii vo shaakh abhii tak kaa.np rahii hai
vo shaakh giraa do, meraa vo saamaan lauTaa do \- 2

ek akelii chhatarii me.n jab aadhe aadhe bhiig rahe the \- 2
aadhe suukhe aadhe giile, sukhaa to mai.n le aayii thii
giilaa man shaayad bistar ke paas pa.Daa ho ! 
vo bhijavaa do, meraa vo saamaan lauTaa do

ek sau solaa chaa.nd ki raate.n ek tumhaare kaa.ndhe kaa til \- 2
giilii me.nhadii ki khushabuu, jhuTh\-muuTh ke shikave kuchh
jhuuTh\-muuTh ke vaade sab yaad karaa duu.N
sab bhijavaa do, meraa vo saamaan lauTaa do \- 2

ek ijaazat de do bas, jab isako dafanaauu.Ngii
mai.n bhii vahii.n so jaauu.ngii
mai.n bhii vahii.n so jaauu.ngii

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
