% ISB File: IshqParZorNahin_1970.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{mahabuubaa terii tasviir kis tarah mai.n banaa_uu.N}%
\film{Ishq Par Zor Nahin}%
\year{1970}%
\starring{Dharmendra, Sadhana}%
\singer{Rafi}%
\music{S D Burman}%
\lyrics{Anand Bakshi}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10433 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

mahabuubaa terii tasviir kis tarah mai.n banaa_uu.N \-2
terii zulfo.n kii daastaa.N kis tarah mai.n sunaa_uu.N
mahabuubaa terii tasviir \threedots

tere li_e kahuu.N ko_ii baat tere li_e sochuu.N ko_ii naam
mai.n to bas diivaanaa ho gayaa nahii.n mere bas kaa ye kaam
tere jaisaa ko_ii kahii.n dekhaa naa sunaa hai
mahabuubaa \threedots

dhaare mauje.n rut aur jaam naGme.n paimaane but aur phuul
sab terii raaho.n kii Kaaq sab tere qadamo.n kii dhuul
tere jaisaa ko_ii kahii.n dekhaa naa sunaa hai
mahabuubaa \threedots

nazaro.n ne dekhaa hai tujhe aataa nahii.n phir bhii yaqiin
kyo.nki merii duniyaa ke log hote nahii.n itane hasiin
tere jaisaa ko_ii kahii.n dekhaa naa sunaa hai
mahabuubaa \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{o mere bairaagii bha.Nwaraa mujhe ta.Dapaa_o naa}%
\film{Ishq Par Zor Nahin}%
\year{1970}%
\starring{Dharmendra, Sadhana}%
\singer{Lata}%
\music{S D Burman}%
\lyrics{Anand Bakshi}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, May 18, 2005

\printtitle
#indian

( o mere bairaagii bha.Nwaraa mujhe ta.Dapaa_o naa
kalii ke chhoTe se dil ko Thes lagaa_o naa ) \-2
aa_o naa

o
aa_ii puurab se hawaa mausam ra.ng bharaa chamakii bijuriyaa \-2
mai.n huu.N saawan kii ghaTaa pyaar ke parbat tum saa.Nwariyaa
mai.n baras jaa_uu.N
mai.n baras jaa_uu.N tum apanii pyaas bujhaa_o naa
o mere bairaagii bha.Nwaraa mujhe ta.Dapaa_o naa

tumhare pyaar binaa ruup meraa badanaam rahegaa \-2
kitane roz bhalaa aur kalii meraa naam rahegaa
phuul ban jaa_uu.N mai.n
phuul ban jaa_uu.N mai.n khil ke gale se lagaa_o naa
o mere bairaagii bha.Nwaraa mujhe ta.Dapaa_o naa
aa_o naa

o
sapanaa ban ke mile aur bichha.D chale ban ke saayaa \-2
aisaa karanaa thaa to shabanam ko kyuu.N sholaa banaayaa
aag lagaa_ii
aag lagaa_ii hai to phir ye aag bujhaa_o naa
o mere bairaagii bha.Nwaraa mujhe ta.Dapaa_o naa
kalii ke chhoTe se dil ko Thes lagaa_o naa
aa_o naa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{sach kahatii hai duniyaa isak pe jor nahii.n}%
\film{Ishq Par Zor Nahin}%
\year{1970}%
\starring{Dharmendra, Sadhana}%
\singer{Lata}%
\music{S D Burman}%
\lyrics{Anand Bakshi}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, May 18, 2005

\printtitle
#indian

sach kahatii hai duniyaa isak pe jor nahii.n
ye pakkaa dhaagaa hai ye kachchii Dor nahii.n
isak pe jor nahii.n \-2
sach kahatii hai duniyaa isak pe jor nahii.n
aa
aa

( jhuuTh hai ye to phir julamii sa.Nwariyaa
khaa ke kasam merii biich bajariyaa ) \-2
kah de ko_ii aur hai tuu meraa chitachor nahii.n
sach kahatii hai duniyaa isak pe jor nahii.n

( jo miT jaaye re wo daag nahii.n ye
jo bujh jaaye wo aag nahii.n ye ) \-2
jo tham jaaye wo ye ghaTaa ghanaghor nahii.n
sach kahatii hai duniyaa isak pe jor nahii.n
aa
aa

( ham dono.n is prem ke rogii
chho.D ke jag aa jaa ban jaaye.n jogii ) \-2
is rog kii duniyaa me.n dawaa kuchh aur nahii.n
sach kahatii hai duniyaa isak pe jor nahii.n
isak pe jor nahii.n \-2
sach kahatii hai duniyaa isak pe jor nahii.n
isak pe jor nahii.n \-2

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong 
\stitle{tum mujhase duur chale jaanaa naa}%
\film{Ishq Par Zor Nahin}%
\year{1970}%
\starring{Dharmendra, Sadhana}%
\singer{Lata}%
\music{S D Burman}%
\lyrics{Anand Bakshi}%

% Contributor: Achyut Joshi
% Transliterator: Achyut Joshi

\printtitle
#indian

tum mujh se duur chale jaanaa naa
mai.n tum se duur chale jaa_uu.Ngii

mai.n thii anjaan jii kii baato.n se
anjaanii pyaar kii baaraato.n se
Dolii banaaane chalii thii mai.n
arathii banii mere haatho.n se

sochaa thaa pyaar kar ke chorii se
mai.n tum ko baa.Ndh luu.Ngii Dorii se
kyaa thaa pataa chhup jaayegaa
cha.ndaa yuu.N ruuTh ke chakorii se

kyaa merii priit birahaa kii maarii
aa.Nsuu me.n Duub ga_ii chi.ngaarii
mai.n tum se haar gayii, tum jiite
tum mujh se jiit gaye, mai.n haarii

tum mujh se duur chale jaanaa naa
mai.n tum se duur chale jaa_uu.Ngii

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{ye dil divaanaa hai dil to divaanaa hai}%
\film{Ishq Par Zor Nahin}%
\year{1970}%
\starring{Dharmendra, Sadhana}%
\singer{Lata, Rafi}%
\music{S D Burman}%
\lyrics{Anand Bakshi}%

% Contributor: Surinder P. Singh (surinder@eng.umd.edu)
% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@ndsun.cs.ndsu.nodak.edu)
% Credits: C.S. Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu)
%          Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu)

\printtitle
#indian

la:	ye dil diivaanaa hai, dil to diivaanaa hai
	diivaanaa dil hai ye dil diivaanaa
	aa haa haa
ra:	aa haa haa
	ye dil diivaanaa hai, dil to diivaanaa hai
	diivaanaa dil hai ye dil diivaanaa
do:	aa haa haa
	
la:	kaisaa bedardii hai
	kaisaa bedardii hai, isakii to marzii hai
	jab tak javaanii hai, ye rut suhaanii hai
	nazare.n judaa naa ho.n, aramaa.n Kafaa naa ho.n
	dilakash bahaaro.n me.n, chhupake chanaaro.n me.n
	yuu.n hii sadaa ham tum, baiThe rahe.n gumasum
	vo bevafaa jo kahe hamako jaanaa hai
	ye dil
	ye dil diivaanaa hai, dil to diivaanaa hai
	diivaanaa dil hai ye dil diivaanaa
do:	aa haa haa
	
ra:	bechain rahataa hai
	bechain rahataa hai, chupake se kahataa hai
	mujhako dha.Dakane do, sholaa bha.Dakane do
	kaa.NTo.n me.n kaliyo.n me.n, saajan kii galiyo.n me.n
	pheraa lagaane do, chho.Do bhii jaane do
	kho to na jaauu.ngaa, mai.n lauT aauu.ngaa
	dekhaa sune samajhe achchhaa bahaanaa hai
	ye dil
	ye dil diivaanaa hai, dil to diivaanaa hai
	diivaanaa dil hai ye dil diivaanaa
do:	aa haa haa
	
la:	saavan ke aate hii
	saavan ke aate hii
ra:	baadal ke chhaate hii
la:	phuulo.n ke mausam me.n
ra:	phuulo.n ke mausam me.n
do:	chalate hii puravaaii, milate hii tanhaaii
	ulajhaa ke baato.n me.n, kahataa hai raato.n me.n
ra:	yaado.n me.n kho jaauu.n, jal_dii se so jaauu.n
la:	kyo.nke saa.Nvariyaa ko sapano.n me.n aanaa hai
	ye dil
ra:	ye dil
la:	ye dil diivaanaa hai
ra:	dil to diivaanaa hai
do:	diivaanaa dil hai ye dil diivaanaa
	aa haa haa \-2

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
