% ISB File: JewelThief_1967.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{aasamaa.N ke niiche, ham aaj apane piichhe}%
\film{Jewel Thief}%
\year{1967}%
\starring{Dev Anand, Vyjayanti Mala, Tanuja, Ashok Kumar, Helen}%
\singer{Kishore}%
\music{S D Burman}%
\lyrics{Majrooh}%

% Transliterator: Vishwanath Karra (karra@cs.wisc.edu)
% Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu)

\printtitle
#indian

aasamaa.N ke niiche, ham aaj apane piichhe
pyaar kaa jahaa.N, basaa ke chale
kadam ke nishaa.N, banaa ke chale, aasamaa.N  \threedots

tum chale to phuul jaise aa.Nchal ke ra.Ng se
saj gaI raahe.n, saj gaI raahe.n
paas aao mai pahanaa duu.N chaahat kaa haar ye
khulii khulii baahe.n, khulii khulii baahe.n
jis kaa ho aa.Nchal khud hii chaman
kahiye, vo kyuu.N, haar baaho.n ke Daale, aasamaa.N \threedots

bolatii hai.n aaj aa.Nkhe.n kuchh bhii na aaj tum
kahane do hamako, kahane do hamako
bekhudii ba.Dhatii chalii hai ab to Kaamosh hii
rahane do hamako, rahane do hamako
ik baar ek baar, mere liye
kah do, khanake.n, laal ho.nTho.n ke pyaale, aasamaa.N \threedots

saath mere chal ke dekho aaI hai.n duur se
ab kii bahaare.n, ab kii bahaare.n
har galii har mo.D pe vo dono.n ke naam se
hamako pukaare, tumako pukaare
kah do bahaaro.n se, aae na idhar
un tak, uThakar, ham nahii.n jaane vaale, aasamaa.N \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{baiThe hai.n kyaa us ke paas}%
\film{Jewel Thief}%
\year{1967}%
\starring{Dev Anand, Vaijayantimala, Ashol Kumar}%
\singer{Asha}%
\music{S D Burman}%
\lyrics{Majrooh}%

% Contributor: Nimish Pachapurkar
% Transliterator: Nimish Pachapurkar
% Comments: SDB Series #63
%                   Series also named: Sun Mere Bandhu Re.
% Date: 8 October 2002

\printtitle
#indian

baiThe hai.n kyaa us ke paas aa_iinaa mujh saa nahii.n
merii taraf dekhiye

aa_iine kii nazar me.n aisii mastii kahaa.N hai
mastii merii nazar kii itanii sachchii kahaa.N hai
baiThe hai.n kyaa us ke paas  \threedots

ye lab ham kyuu.N chhuu le, yuu.N hii aahe.n bhare.n kyaa
ham se bhii khuubasuurat tum ho ham bhii kare.n kyaa
baiThe.n hai.n kyaa us ke paas  \threedots

biitii hai raat kitanii ye sab kuchh bhuul jaaye.n
jalatii shamme.n bujhaa ke aao ham dil jalaaye.n
baiThe.n hai.n kyaa us ke paas  \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{dil pukaare aa re aa re aa re}%
\film{Jewel Thief}%
\year{1967}%
\starring{Dev Anand, Vyjayanti Mala, Tanuja, Ashok Kumar, Helen}%
\singer{Rafi, Lata}%
\music{S D Burman}%
\lyrics{Majrooh}%

% Contributor: Satish Subramanian (subraman@cs.umn.edu)
% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu)

\printtitle
#indian

rafii: dil pukaare, aare aare aare \- 2
abhii naa jaa mere sAthI 
dil pukaare, aare aare aare 
lataa: o\threedots abhii nA jaa mere sAthI 
dono: dil pukaare aare aare aare 

rafii: baraso.n biite dil pe kaabuu paate 
ham to haare tum hii kuchh samajhaate 
lataa: samajhaatii mai.n tumako laakho.n aramaa.n 
kho jaate hai.n lab tak aate aate 
rafii: o\threedots puuchho nA kitanii, baate.n pa.Dii hai.n 
dil me.n hamaare 
dil pukaare, aare aare aare 
lataa: o\threedots abhii nA jaa mere sAthI 
dono: dil pukaare aare aare aare 

lataa: paake tumako hai kaisii matavaalii 
aa.Nkhe.n merI bin kaajal ke kaalii 
rafii: jIvan apanA mai.n bhI ra.ngiin kar luu.N 
mil jaaye jo in hoTho.n kii laalii 
lataa: o\threedots jo bhI hai apanA, laayii huu.N sab kuchh 
paas tumhaare 
dil pukaare, aare aare aare 
rafii: o\threedots abhii nA jaa mere sAthI 
dono: dil pukaare aare aare aare 

rafii: mahakaa mahakaa A.Nchal halke halke 
rah jAtI ho kyo.n palko.n se malake 
lataa: jaise suuraj ban kar aaye ho tum 
chal doge phir din ke Dhalate Dhalate 
rafii: o\threedots aaj kaho to mo.D duu.n ba.Dhake 
vaqt ke dhaare 
dil pukaare, aare aare aare 
lataa: o\threedots abhii nA jaa mere sAthI 
dono: dil pukaare aare aare aare 
abhii nA jaa mere sAthI 
dil pukaare aare aare aare\threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{ho.nTho.n me.n aisii baat mai.n dabaake chalii aaii}%
\film{Jewel Thief}%
\starring{Dev Anand, Vyjayanthimala}%
\singer{Lata}%
\music{S D Burman}%
\lyrics{Majrooh}%

% Transliterator: Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu)
% Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu)

\printtitle
#indian

ho.nTho.n me.n aisii baat mai.n dabaake chalii aaii
khul jaaye vohii baat to duhaaii hai duhaaii
haa.N re haa.N, baat jisame.n, pyaar to hai, zahar bhii hai, haay
ho.nTho.n me.n\threedots

ho shaaluu\threedots
raat kaalii naagan sii huii hai javaa.n
haay dayyaa kisako Da.Nsegaa ye samaa
jo dekhuu.N piichhe mu.Dake
to pag me.n paayal ta.Dape
aage chaluu.N to dha.Dakatii hai saarii a.nganaaii
ho.nTho.n me.n\threedots

ho shaaluu\threedots
aise meraa jvaalaa saa tan laharaaye
laT kahii.n jaae ghuu.NghaT kahii.n jaaye
are ab jhumakaa TuuTe
ke merii bi.ndiyaa chhuuTe
ab to banake qayaamat letii huu.N a.nga.Daaii
ho.nTho.n me.n\threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{raat akelii hai bujh gae diye}% 
\film{Jewel Thief}%
\year{1967}%
\starring{Dev Anand, Vyjayanthimala, Ashok Kumar, Tanuja}%
\singer{Asha}%
\music{S D Burman}%
\lyrics{Majrooh}%

% Contributor:  C.S.Sudarshana Bhat
% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)

\printtitle 
#indian

raat akelI hai, bujh gae diye
aake mere paas, kaano.n me.n mere
jo bhI chaahe kahiye, jo bhI chaahe kahiye, raat \threedots

tum aaj mere liye ruk jaao, rut bhI hai furasat bhI hai 
tumhe.n nA ho nA sahii, mujhe tumase muhabbat hai
muhabbat kii ijaazat hai, to chup kyuu.N rahiye
jo bhI chaahe kahiye, raat \threedots

savaal banii huii dabii dabii ulajhan siino.n me.n
javaab denaa thaa, to Duube ho pasiino.n me.n
Thaanii hai do hasiino.n me.n, to chup kyuu.N rahiye
jo bhI chaahe kahiye, raat \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{rulaa ke gayaa sapanaa meraa}%
\film{Jewel Thief}%
\year{1967}%
\starring{Dev Anand, Vyjayantimala, Tanuja}%
\singer{Lata}%
\music{S D Burman}%
\lyrics{Majrooh}%

% Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org)
% Credits: rec.music.indian.misc (USENET newsgroup) 
%          Dinesh K. Prabhu (prabhu@amelia.nas.nasa.gov)
%          Rajan P. Parrikar (parrikar@mimicad.Colorado.EDU)
%          Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)

\printtitle
#indian

rulaa ke gayaa sapanaa meraa
baiThii huu.N kab ho saveraa, rulaa \threedots

vahii hai Gam\-e\-dil, vahii hai cha.ndaa, taare
haay, vahii ham besahaare
aadhii raat vahii hai, aur har baat vahii hai
phir bhii na aayaa luTeraa, rulaa \threedots

kaisii ye zi.ndagii, ki saa.Nso.n se ham, uube
haay, ki dil Duubaa ham Duube
ek dukhiyaa bechaarii, is jiivan se haarii
us par ye Gam kaa andheraa, rulaa \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{ye dil na hotaa bechaaraa}%
\film{Jewel Thief}%
\year{1967}%
\starring{Dev Anand, Vyjayanthi Mala}%
\singer{Kishore}%
\music{S D Burman}%
\lyrics{Majrooh}%

% Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org)
% Credits: rec.music.indian.misc (USENET newsgroup) 
%          Satish Subramanian (subraman@myria.cs.umn.edu)
%          C.S. Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)

\printtitle
#indian

% Subject: Follow the Star - Dev (3)
%	Here is a song form another of Dev's hits 'Jewel Thief', in
%this movie Vyjayanthi Mala was cast opposite him.  Jewel Thief had
%some more good songs which you would be seeing later in this series.

%	This is one of those songs that makes you say 'kya mast gaana
%hain, yaar!' :)

%	This time it is Kishore singing for Dev, and there is some
%yodelling in the beginning of this song.

%Enjoy.. :)

%bye
%satish
ye dil,  naa hotaa bechaaraa 
kadam, na hote aavaaraa
jo khuubasuurat koI apanaa hamasafar hotaa
o o o  ye dil,  na hotaa bechaaraa  \threedots

are sunaa, jab se zamaane hai.n bahaar ke
ham bhii,  aaye hai.n raahii banake pyaar ke
koI na koI to bulaayegaa
pa.De hai.n ham bhii raaho.n me.n
ye dil,  na hotaa bechaaraa  \threedots

are (maanaa, usako nahii.n mai.n pahachaanataa
ba.ndaa, usakaa pataa bhii nahii.n jaanataa aa aa) \- 2
milanaa likhaa hai to aayegaa
pa.De hai.n ham bhii raaho.n me.n
ye dil, naa hotaa bechaaraa  \threedots

are (usakii, dhun me.n pa.Degaa dukh jhelanaa
siikhaa, haa haa, hamane bhii pattharo.n se khelanaa) \- 2
suurat kabhii to dikhaayegaa
pa.De hai.n ham bhii raaho.n me.n
ye dil, naa hotaa bechaaraa  \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
