% ISB File: Jhoomar_1959(PAKISTAN).txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{jab yaad kisii kii ta.Dapaaye}%
\film{Jhoomar (Pakistani-Film)}%
\year{1959}%
\starring{}%
\singer{Nahid Niazi}%
\music{Khurshid Anwar}%
\lyrics{Qateel Shifai}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 06, 2004
% Song Courtesy: http://hindi-movies-songs.com/
% Credits: Khwaja Khurshid Anwar Trust
% 	Irfan Anwar ( anwar06 at msn dot com )
% Originally composed for Parwaana/ 1947

\printtitle
#indian

( jab yaad kisii kii ta.Dapaaye
aur apane aap dil bhar aaye
jab raato.n ko nii.nd na aaye
to ye jaan le kisii se pyaar ho gayaa ) \-2

( jab ik hii lagan lag jaaye
baiThii sapano.n ke mahal banaaye ) \-2
rahe tuu niDhaal tere bikhare baal
teraa gair haal ho jaaye, teraa ruup ra.ng kumhalaaye
to ye jaan le kisii se pyaar ho gayaa

( rahe chup chup laaj ke maare
taare gin gin ratiyaa.N guzaare ) \-2
jaage saarii rain, aaye pal na chain, tere bhiige nain matawaare
dil baar baar ghabaraaye
to ye jaan le kisii se pyaar ho gayaa

jab yaad kisii kii ta.Dapaaye
aur apane aap dil bhar aaye
jab raato.n ko nii.nd na aaye
to ye jaan le kisii se pyaar ho gayaa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{naa koii sayyaa.N meraa ... piyaa piyaa kuuk naa papiihaa re}%
\film{Jhoomar (Pakistani-Film)}%
\year{1959}%
\starring{}%
\singer{Nahid Niazi}%
\music{Khurshid Anwar}%
\lyrics{Qateel Shifai}%

% Availability:"Khurshid Anwar- Forever And Always" CD, 
% Serengetti Sirocco
% Contributor:Pulkit Sharma (pulkit_sadabahar@yahoo.com)
% Transliterator:Pulkit Sharma
% Date:28 January 2004
% Series:GEETanjali

\printtitle
#indian

naa koii saiyyaa.N meraa naa koii piyaa re
piyaa piyaa kuuk naa papiihaa re
sun sun huuk terii Dole meraa jiyaa re
piyaa piyaa kuuk naa papiihaa re

pa.D gayaa dil ko thaamanaa ye kaisii taan sunaa_ii
naii uma.nge.n ang ang me.n letii.n hai.n anga.Daa_ii
bhole bhaale man pe ye kaisaa jaaduu kiyaa re
piyaa piyaa kuuk naa papiihaa re

mai.n bhaiyaa kii laaDalii mujhe aur koii naa bhaae
phir ye mujhe tuu baar baar kyu.N pii ke bol sunaae
dekh mai.n gaalii duu.Ngii jo phir ye naam liyaa re
piyaa piyaa kuuk naa papiihaa re

naa koii saiyyaa.N meraa naa koii piyaa re
piyaa piyaa kuuk naa papiihaa re
bol naa aisii boliyaa.N meraa naazuk dil ghabaraae
kyu.N bedardii jaan jaan kar merii sudh bisaraae
piyaa piyaa raT ke ba.Daa hii dukh diyaa re
piyaa piyaa kuuk naa papiihaa re

naa koii saiyyaa.N meraa naa koii piyaa re
piyaa piyaa kuuk naa papiihaa re

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
