% ISB File: JoharMehmoodinGoa_1965.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{a.Nkhiyo.n kaa nuur hai tuu}%
\film{Johar Mehmood in Goa}%
\year{1965}%
\starring{I. S. Johar, Mehmood}%
\singer{Mukesh, Suman}%
\music{Kalyanji Anandji}%
\lyrics{Qamar Jalalabadi}%

% Contributor: V S Rawat

\printtitle
#indian

a.Nkhiyo.n kaa nuur hai tuu a.Nkhiyo.n se duur hai tuu
phir bhii pukaare chale jaa_e.nge tuu aa_e na aa_e
phir bhii pukaare \threedots

dil me.n payaam teraa lab pe hai naam teraa
ho ke divaane tere pyaar me.n lo aa_e jii aa_e
ho ke divaane \threedots

o mere hamaraaz kahaa.n hai mujhako de aavaaz kahaa.n hai
pyaar kii aa.Nkho.n se tum dekho ishq vahii.n hai pyaar jahaa.n hai
chhup chhup ke aane vaale dil ko jalaane vaale
chupake se aajaa mere saamane
tuu aajaa re aajaa chupake se aajaa mere saamane
a.Nkhiyo.n kaa nuur \threedots

isali_e aayaa huu.N mai.n chhup ke dekh ke hamako duniyaa jale naa
pyaar kii mahafil kitanii anokhii nuur hai lekin diip jale naa
yaado.n ke daaG le ke dil ke charaaG le ke
kabase kha.Daa huu.N tere saamane
tuu maane na maane kabase kha.Daa huu.N tere saamane
a.Nkhiyo.n kaa nuur \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{dhiire re chalo morii baa.nkii hiraniyaa}%
\film{Johar Mehmood in Goa}%
\year{1965}%
\starring{I. S. Johar, Mehmood}%
\singer{Mukesh}%
\music{Kalyanji Anandji}%
\lyrics{Qamar Jalalabadi}%

% Contributor: V S Rawat

\printtitle
#indian

dhiire re chalo morii baa.nkii hiraniyaa
kamar na lachake haay sajaniyaa
dhiire re chalo \threedots

terii bikharii zulfe.n dekh dekh ye mast ghaTaa sharamaa_ii
ho dekho mast ghaTaa sharamaa_ii
teraa ruup jo dekhaa jhuum jhuum lii bijalii ne a.nga.Daa_ii
ho lii bijalii ne a.nga.Daa_ii
kaale baal goraa ruup jaise saa_e me.n ho dhuup
tujhe dekh jiyaa bharamaa hii gayaa
ho dhiire re chalo \threedots

kyuu.n dil kii raahe.n chho.D chho.D ye phuul chalaa Kaaro.n pe
ye phuul chalaa Kaaro.n pe
teraa pighale aise ruup ki jaise mom ho a.ngaaro.n pe
jaise mom ho a.ngaaro.n pe
teraa mukha.Daa gulaabii terii chaal sharaabii
mujhe raam kasam nashaa aa hii gayaa
ho dhiire re chalo \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{sika.ndar bhii aaye ... na ko_ii rahaa hai}%
\film{Johar Mehmood in Goa}%
\year{1965}%
\starring{I. S. Johar, Mehmood}%
\singer{Mukesh, Usha Khanna}%
\music{Kalyanji Anandji}%
\lyrics{Qamar Jalalabadi}%

% Contributor: V S Rawat

\printtitle
#indian

sika.ndar bhii aaye kala.ndar bhii aaye
na ko_ii rahaa hai na ko_ii rahegaa
hai tere jaane kii baarii videshii
ye desh aazaad ho ke rahegaa
meraa desh aazaad ho ke rahegaa
na koi raha hai \threedots

sika.ndar ko poras kii taaqat ne rokaa
gorii ko pR^ithvii kii himmat ne Tokaa
jab khuunii naadar ne chhe.Dii la.Daa_ii
to dillii kii galiyo.n se aavaaz aa_ii
lagaa le tuu kitanaa bhii zor ai sitamagar
ye desh aazaad \threedots

parataap ne jaan de dii vatan pe
shivaajii ne bhagavaa u.Daayaa gagan pe
marado.n ne khaa_ii.n aazaadii kii kasame.n
adaa aurato.n ne kii jauhar kii rasme.n
kafan baa.ndh kar raanii jhaa.nsii pukaarii
ye desh aazaad \threedots

siraaj aur Tiipuu zafar aur naanaa
thaa har ek iname.n qaumii diivaanaa
yahaa.n le ke aaye baGaavat kii aa.Ndhii
tilak neharuu aazaad netaajii gaa.Ndhii
bhagat si.nh kii raakh ne pukaaraa
ye desh aazaad \threedots

halaakuu rahaa hai na hiTalar rahaa hai
musolinii kaa naa vo lashkar rahaa hai
nahii.n jab rahaa ruus kaa jaar baakii
to kaise rahegaa saalaazaar baakii
govaa kaa har bachchaa bachchaa pukaaraa
ye desh aazaad \threedots

kal ko agar aaye chaa_o yaa maa_o
lagaa de.nge ham zi.ndagii kaa daa.nv
hamaaraa hai kashmiir nefaa hamaaraa
kabhii jhukegaa na jhaNDaa hamaaraa
zaraa desh ke dushmano.n se ye kah do
ye desh aazaad \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
