% ISB File: KehnaUsey_1984(NON-FILM).txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{dekhanaa unakaa kanakhiyo.n se idhar dekhaa kiye}%
\film{Kehna Usey (Non-Film)}%
\year{1984}%
\starring{}%
\singer{Mehdi Hasan}%
\music{Niaz Ahmed}%
\lyrics{Farhat Shahzad}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 03, 2004

\printtitle
#indian

dekhanaa unakaa kanakhiyo.n se idhar dekhaa kiye
apanii aah\-e\-kam\-asar kaa ham\-asar dekhaa kiye

jo ba\-jaahir hamase sadiyo.n kii musaafat\-bar rahe
ham unhe.n har gaam apanaa hamasafar dekhaa kiye

lamhaa lamhaa waqt kaa sailaab cha.Dhataa hii gayaa
raftaa raftaa Duubataa ham apanaa ghar dekhaa kiye

ko_ii kyaa jaane ke kaise ham bharii barasaat me.n
nazar\-e\-aatish apane hii dil kaa nagar dekhaa kiye

sun ke wo 'shahazaad' ke asha_aar sar dhunataa rahaa
thaam kar ham dono.n haatho.n se jigar dekhaa kiye

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{ek bas tuu hii nahii.n mujhase Kafaa ho baiThaa}%
\film{Kehna Usey (Non-Film)}%
\year{1984}%
\starring{}%
\singer{Mehdi Hasan}%
\music{Mehdi Hasan}%
\lyrics{Farhat Shahzad}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 03, 2004

\printtitle
#indian

ek bas tuu hii nahii.n mujhase Kafaa ho baiThaa
mai.nne jo sa.ng taraashaa thaa Kudaa ho baiThaa

uTh ke ma.nzil hii agar aaye to shaayad kuchh ho
shauq\-e\-ma.nzil to meraa aablaa\-paa ho baiThaa

masalaht chhiin lii quwwat\-e\-Guftaar magar
kuchh na kahanaa hii meraa merii Kataa ho baiThaa

shukriyaa ai mere qaatil ai masiihaa mere
zahar jo tuune diyaa thaa wo dawaa ho baiThaa

jaan\-e\-shahazaad ko min\-jumlaa\-e\-aadaa paa kar
huuk wo uTThii ki jii tan se judaa ho baiThaa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{faisalaa tumako bhuul jaane kaa}%
\film{Kehna Usey (Non-Film)}%
\year{1984}%
\starring{}%
\singer{Mehdi Hasan}%
\music{Niaz Ahmed}%
\lyrics{Farhat Shahzad}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 03, 2004

\printtitle
#indian

faisalaa tumako bhuul jaane kaa
ik nayaa Kaab hai diiwaane kaa

dil kalii kaa laraz laraz uThaa
zikr thaa phir bahaar aane kaa

hausalaa kam kisii me.n hotaa hai
jiit kar Kud hii haar jaane kaa

zi.ndagii kaT ga_ii manaate hu_e
ab iraadaa hai ruuTh jaane kaa

aap shahazaad kii na fikr kare.n
wo to aadii hai zaKm khaane kaa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{khulii jo aa.Nkh to wo thaa na wo zamaanaa thaa}%
\film{Kehna Usey (Non-Film)}%
\year{1984}%
\starring{}%
\singer{Mehdi Hasan}%
\music{Mehdi Hasan}%
\lyrics{Farhat Shahzad}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 03, 2004
% This Gazal is also in Sadaf

\printtitle
#indian

khulii jo aa.Nkh to wo thaa na wo zamaanaa thaa
dahakatii aag thii tanhaa_ii thii fasaanaa thaa

Gamo.n ne baa.NT liyaa hai mujhe yuu.N aapas me.n
ki jaise mai.n ko_ii luuTaa hu_aa Kazaanaa thaa

judaa hai shaaK se gul\-rut se aashiyaane se
kalii kaa jurm gha.Dii bhar kaa muskuraanaa thaa

ye kyaa ki chand hii qadamo.n me.n thak ke baiTh gaye
tumhe.n to saath meraa duur tak nibhaanaa thaa

mujhe jo mere lahuu me.n Dabo ke guzaraa hai
wo ko_ii Gair nahii.n yaar ek puraanaa thaa

Kud apane haath se 'shahazaad' usako kaaT diyaa
ki jis daraKt kii Tahanii pe aashiyaanaa thaa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{ko.npale.n phir phuuT aa_ii.n shaaK par kahanaa use}%
\film{Kehna Usey (Non-Film)}%
\year{1984}%
\starring{}%
\singer{Mehdi Hasan}%
\music{Mehdi Hasan}%
\lyrics{Farhat Shahzad}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 03, 2004

\printtitle
#indian

ko.npale.n phir phuuT aa_ii.n shaaK par kahanaa use
wo na samajhaa hai na samajhegaa magar kahanaa use

waqt kaa tuufaan har ik shay bahaa kar le gayaa
itanii tanhaa ho ga_ii hai rahaguzar kahanaa use

jaa rahaa hai chho.D kar tanhaa mujhe jisake liye
chain na de paayegaa wo siim\-o\-zar kahanaa use

ris rahaa ho Kuun dil se lab magar ha.Nsate rahe
kar gayaa barabaad mujhako ye hunar kahanaa use

jisane zaKmo.n se meraa 'shahazaad' siinaa bhar diyaa
muskaraa kar aaj pyaare chaaraagar kahanaa use

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{kyaa TuuTaa hai andar andar kyuu.N cheharaa kumhalaayaa hai}%
\film{Kehna Usey (Non-Film)}%
\year{1984}%
\starring{}%
\singer{Mehdi Hasan}%
\music{Niaz Ahmed}%
\lyrics{Farhat Shahzad}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 03, 2004

\printtitle
#indian

kyaa TuuTaa hai andar andar cheharaa kyuu.N kumhalaayaa hai
kyaa TuuTaa hai andar andar kyuu.N cheharaa kumhalaayaa hai
tanhaa tanhaa rone waalo kaun tumhe.n yaad aayaa hai

chupake chupake sulaG rahe the yaad me.n unakii diiwaane
ik taare ne TuuT ke yaaro kyaa unako samajhaayaa hai

ra.ng bira.ngii is mahafil me.n tum kyuu.N itane chup chup ho
bhuul bhii jaa_o paagal logo kyaa khoyaa kyaa paayaa hai

sher kahaa.N hai Kuun hai dil kaa jo lafzo.n me.n bikharaa hai
dil ke zaKm dikhaa kar hamane mahafil ko garmaayaa hai

ab 'shahazaad' ye jhuuTh na bolo wo itanaa bedard nahii.n
apanii chaahat ko bhii parakho gar ilzaam lagaayaa hai

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{sabake dil me.n rahataa huu.N}%
\film{Kehna Usey (Non-Film)}%
\year{1984}%
\starring{}%
\singer{Mehdi Hasan}%
\music{Niaz Ahmed}%
\lyrics{Farhat Shahzad}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 03, 2004

\printtitle
#indian

sabake dil me.n rahataa huu.N par dil kaa aa.ngan khaalii hai
Kushiyaa.N baa.NT rahaa huu.N jag me.n apanaa daaman khaalii hai

gul rut aa_ii kaliyaa.N chaTakii.n pattii patii muskaa_ii
par ek bha.Nwaraa na hone se gulashan gulashan khaalii hai

ra.ngo.n kaa ukataam nahii.n har\-chand yahaa.N par jaane kyuu.N
ra.ng bara.ngo.n tanawaar.n kaa sach me.n hii man khaalii hai

dar dar kii Thukaraa_ii hu_ii ai mahabuubaa\-e\-tanahaa_ii
aa mil jul kar rah le isame.n dil kaa nasheman khaalii hai

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{tanhaa tanhaa mat sochaa kar}%
\film{Kehna Usey (Non-Film)}%
\year{1984}%
\starring{}%
\singer{Mehdi Hasan}%
\music{Mehdi Hasan}%
\lyrics{Farhat Shahzad}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 03, 2004

\printtitle
#indian

tanhaa tanhaa mat sochaa kar
mar jaa_egaa mat sochaa kar

pyaar gha.Dii bhar kaa hii bahut hai
jhuuThaa sachchaa mat sochaa kar

jisakii fitarat hii Da.Nsanaa ho
wo to Da.Nsegaa mat sochaa kar

dhuup me.n tanhaa kar jaataa hai
kyuu.N ye saayaa mat sochaa kar

apanaa aap ga.Nwaa kar tuune
kyaa paayaa hai mat sochaa kar

maan mere 'shahazaad' vagaranaa
pachhataa_egaa mat sochaa kar

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{TuuTe hu_e Kaabo.n ke liye aa.Nkh ye tar kyuu.N}%
\film{Kehna Usey (Non-Film)}%
\year{1984}%
\starring{}%
\singer{Mehdi Hasan}%
\music{Niaz Ahmed}%
\lyrics{Farhat Shahzad}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 03, 2004

\printtitle
#indian

TuuTe hu_e Kaabo.n ke liye aa.Nkh ye tar kyuu.N
socho to sahii shaam hai a.njaam\-e\-sahar kyuu.N

jo taaj sajaa_e hu_e phirataa ho anokhaa
haalaat ke qadamo.n pe jhukegaa wahii sar kyuu.N

silate hai.n to sil jaa_e.n kise fiqr labo.n kii
Kush\-ra.ng a.Ndhero.n ko kahuu.Ngaa mai.n sahar kyuu.N

sochaa kiyaa mai.n hijr kii dahaliij pe baiThaa
sadiyo.n me.n utar jaataa hai lamho.n kaa safar kyuu.N

harajaa_ii hai 'shahazaad' ye tasle.n ya pajaanaa
sochaa bhii kabhii tumane hu_aa aisaa maga kyuu.N

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
