% ISB File: Kinaaraa_1977.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{ab ke naa saawan barase}%
\film{Kinaaraa}%
\year{1977}%
\starring{Jeetendra, Hema Malini}%
\singer{Lata}%
\music{R D Burman}%
\lyrics{Gulzar}%

% Audio on: HMV
% Contributor: Vinay P Jain
% Transliterator: Vinay P Jain
% Date: 6 Apr 2003
% Series: Tere Hamsafar Geet Hain Tere (THGHT)
% Comments: Composed originally by SDB as a private Bengali 
% song (kaa.ndiibonaa faagun gele)
% generated using giitaayan

\printtitle
#indian

abake naa saawan barase
abake naa saawan barase
ho~~ abake baras to barase.ngii a.Nkhiyaa.N
abake naa saawan barase
ho~~ abake baras to barase.ngii a.Nkhiyaa.N
abake naa~ saawan barase

jaane kaise abake ye mausam beete
aa~~ aa aa aa
jaane kaise abake ye mausam beete
beetegii jo tere bin wo kam beete
tere binaa saawan suune
tere binaa ab to ye man tarase..

jaane kab aaye din, din Dhal jaaye
din Dhal jaaye~
jaane kab aaye din, din Dhal jaaye
tere bin a.Nkhiyo.n se raat naa jaaye
tere binaa raat naa jaaye
tere binaa ab to ye din tarase..

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{ek hii Kvaab ka_ii baar dekhaa hai mai.n ne}%
\film{Kinaara}%
\year{1977}%
\starring{Hema Malini, Jeetendra}%
\singer{Bhupinder, Hema Malini}%
\music{R D Burman}%
\lyrics{Gulzar}%

% Contributor: Rakesh Modi 
% Transliterator: K Vijay Kumar

\printtitle
#indian

bhupindar: ek hii Kvaab ka_ii baar dekhaa hai mai.n ne
           tuune saa.Dii me.n u.Das lii hai merii chaabhiyaa.N ghar kii

           aur chalii aayii hai
           bas yuu.Nhii meraa haath paka.D kar
           ek hii Kvaab ka_ii baar   \threedots

           Tiku?

           mez par phuul sajaate hue dekhaa hai ka_ii baar
           aur bistar se ka_ii baar jagaayaa hai tujhako
           chalate phirate tere kadamo.n kii voh aahaT bhii sunii hai

           hu.N?

           ek hii Kvaab ka_ii baar   \threedots

           kyo.n? chiTThii hai yaa kavitaa?

hemaa:     abhii tak to kavitaa hai
           laa la laa la hmmmmm

bhupindar: gunagunaatii hu_ii nikalii hai nahaa kar jab bhii
           ## Laughs ##
           aur?
           apane bhiige hue baalo.n se Tapakataa paanii
           mere chehare pe
           chhiTak detii hai tuu Tiku kii bachchii
           ek hii Kvaab ka_ii baar   \threedots

           taash ke patto.n pe la.Datii hai kabhii kabhii khel me.n mujhase
           aur kabhii la.Datii bhii hai aise ke bas khel rahii hai mujhse
           aur aaGosh me.n nanhe ko liye

hemaa:     ## Will you shut up? ##

dono.n:    laa la la laa   \threedots
           ## Both Laugh ##

bhupindar: aur jaanatii ho Tiku,
           jab tumhaaraa ye Kvaab dekhaa thaa,
           apane bistar pe mai.n us vaqt pa.Daa jaag rahaa thaa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{jaane kyaa soch kar nahii.n gujaraa}%
\film{Kinaara}%
\year{1977}%
\starring{Jeetendra, Hema Malini, Dharmendra}%
\singer{Kishore}%
\music{R D Burman}%
\lyrics{Gulzar}%

% Transliterator: Shripad Lale (lale@cent.gud.siemens.co.at)
% Credits: Sandeep C. Patwardhan (scp@shack.csci.csc.com)
%          Satish Subramanian (subraman@cs.umn.edu)
%          Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu)

\printtitle
#indian

(jaane kyaa sochakar nahii.n guzaraa
ik pal raat bhar nahii.n guzaraa ) \- 2

apanii tanahaaI kaa auro.n se naa shikavaa karanaa \- 2
tum akele hI nahii.n ho sabhii akele hai.n
ye akelaa safar nahii.n guzaraa
jaane kyaa sochakar nahii.n guzaraa
ik pal raat bhar nahii.n guzaraa

do gha.Dii jiine kii mohalat to milii hai sabako \- 2
tum bhii mil jaao gha.Dii bhar to ye Gam hotaa hai
is gha.Dii kA safar nahii.n guzaraa
jaane kyaa sochakar nahii.n guzaraa
ik pal raat bhar nahii.n guzaraa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{miiThe bol bole bole paayaliyaa}%
\film{Kinaara}%
\year{1977}%
\starring{Jeetendra, Hema Malini, Dharmendra, Dr. Shreeram Lagoo}%
\singer{Bhupinder, Lata}%
\music{R D Burman}%
\lyrics{Gulzar}%

% Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org)
% Credits: Bijal C. Modi (bijal@fission.Nuc.Berkeley.EDU)
%          Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)

\printtitle
#indian

miiThe bol bole, bole paayaliyaa
chhuum\-chhanan bole, jhanak\-jhan bole
miiThe bol bole \threedots

pag pag naache re, ghu.ngharu kii daasii
ik pag raadhaa jaisii,  ik pag miiraa jaisii
saa.nvare kii bolii bole
paayaliyaa bole
miiThe bol bole \threedots

naino.n kii baa.Nsurii,  koii sunaae
a.Nkhiyo.n kii jyotii se, jyot jalaae
baavare se Dholii Dhole
paayaliyaa bole
miiThe bol bole \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{naam gum jaayegaa cheharaa ye badal jaayegaa}%
\film{Kinaara}%
\year{1977}%
\starring{Jeetendra, Hema Malini, Dharmendra, Dr. Shreeram Lagoo}%
\singer{Bhupinder, Lata}%
\music{R D Burman}%
\lyrics{Gulzar}%

% Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org)
% Credits: Bijal C. Modi (bijal@fission.Nuc.Berkeley.EDU)
%          Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)

\printtitle
#indian

naam gum jaayegaa, cheharaa ye badal jAyegaa
merii aavaaz hii, pahachaan hai
gar yaad rahe

vaqt ke sitam, kam hasii.n nahii.n
aaj hai.n yahaa.N, kal kahii.n nahii.n
vaqt se bhare agar, mil gaye kahii.n
merii aavaaz hii \threedots

jo guzar ga_ii, kal kii baat thii
umr to nahii.n, ek raat thii
raat kaa silaa agar, phir mile kahii.n
merii aavaaz hii \threedots

din Dhale jahaa.N, raat paas ho
zi.ndagii kii lau, uu.Nchii kar chalo
yaad aaye gar kabhii, jii udaas ho
merii aavaaz hii \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
