% ISB File: LaalQuilaa_1960.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{lagataa nahii.n hai jii meraa uja.De dayaar me.n}%
\film{Laal Quila}%
\year{1960}%
\starring{Jairaj, Nirupa Roy}%
\singer{Rafi}%
\music{S N Tripathi}%
\lyrics{Bahadur Shah Zafar}%

% Contributor: Satish Subramanian (subraman@cs.umn.edu)
% Credits: Sarvesh Asthana (sasthana@cup.hp.com)
%          Ravi Rai (rrai@plains.nodak.edu)
% Transliterator: Shripad Lale (lale@cent.gud.siemens.co.at)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)

\printtitle 
#indian

lagataa nahii.n hai jii meraa uja.De dayaar me.n
kis kii banii hai aalam\-e\-naa\-paayedaar me.n

bulabul ko baaGabaa.n se na saiyyaad se gilaa
qismat me.n qaid thii likhii fasal\-e\-bahaar me.n

umr\-e\-daraaz maa.Ng ke laaye the chaar din
do aarazU me.n kaT gaye, do i.ntazaar me.n

kah do in hasarato.n se kahii.n aur jaa base.n
itanii jagah kahaa.N hai dil\-e\-daaGadaar me.n

hai kitana badanasiib zafar dafn ke liye
do gaz zamiin bhii na milii kU\-e\-yaar me.n

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{na kisii kii aa.Nkh kaa nuur huu.N}%
\film{Laal Quila}%
\year{1960}%
\starring{Jairaj, Nirupa Roy}%
\singer{Rafi}%
\music{S N Tripathi}%
\lyrics{Bahadur Shah Zafar}%

% Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org)
% Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu)
%          Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu)
%          Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu)

\printtitle
#indian

na kisii kii aa.Nkh kaa nuur huu.N
na kisii ke dil kaa qaraar huu.N
jo kisii ke kaam na aa sakaa
mai.n vo ek musht\-e\-gubaar huu.N

na to mai.n kisii kaa habiib huu.N
na to mai.n kisii kaa raqiib huu.N
jo biga.D gayaa vo nasiib huu.N
jo uja.D gayaa vo dayaar huu.N, jo kisii ke \threedots

meraa ra.ng\-ruup biga.D gayaa
meraa yaar mujhase bichha.D gayaa
jo chaman fizaa.n me.n uja.D gayaa
mai.n usii kii fasl\-e\-bahaar huu.N, jo kisii ke \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{pyaaraa pyaaraa ye samaa hai}%
\film{Laal Quilaa}%
\year{1960}%
\starring{Jairaj, Nirupa Roy}%
\singer{Lata}%
\music{S N Tripathi}%
\lyrics{Bharat Vyas}%

% Contributor: Arunabha S Roy
% Transliterator: Arunabha S Roy
% Date: 28 Sep 2004
% Series: LATAnjali
% generated using giitaayan

\printtitle
#indian

pyaaraa pyaaraa ye samaa hai aur suhaanii raat hai
aa rahii ho.nTho.n pe ab dil me.n chhupii jo baat hai

aaj sapane jagamagaate jhuumataa aakaash hai
ek cha.ndaa duur hai aur ek mere paas hai, ek mere paas hai
pyaar kii puunam khile aur nuur kii barasaat hai

chaa.Ndanii kii o.Dh chaadar saarii duniyaa so rahii
jaagate ham tum akele dil me.n halachal ho rahii, dil me.n halachal ho rahii
aaj taaro.n ne sajaayii ruup kii baaraat hai

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
