% ISB File: LaalaaRukh_1958.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{hai kalii kalii kii lab par, tere husn kaa fasaanaa}% 
\film{Lala Rukh}%
\year{1958}%
\starring{Shyama, Talat}%
\singer{Rafi}%
\music{Khaiyyam}%
\lyrics{Kaifi Azmi}%

% Contributor: Preeti Ranjan Panda (ppanda@du.ICS.UCI.EDU)
% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@chandra.astro.indiana.edu)

\printtitle 
#indian 

hai kalii kalii ke lab par, tere husn kaa fasaanaa 
mere gulsitaa.N kaa sab kuchh, teraa sirf muskuraanaa 

ye khule khule se gesuu, uThe jaise badaliyaa.n sI, 
ye jhukii jhukI nigaahe.n, gire jaise bijaliyaa.n sI 
tere naachate kadam me.n hai bahaar kA khazaanaa 
hai kalii kalii ke lab par, tere husn kaa fasaanaa \threedots

terA jhUmanaa machalanaa, jaise sar (?) badal badal ke 
merA dil dha.Dak rahaa hai, tU lachak sambhal sambhalake 
kahii.n ruk nA jaaye zaalim is mo.D par zamaanaa 
hai kalii kalii ke lab par, tere husn kaa fasaanaa \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{pyaas kuchh aur bhii bha.Dakaa dii jhalak dikhalaa ke}%
\film{Lala Rukh}%
\year{1958}%
\starring{Talat Mehmood, Shyama}%
\singer{Talat, Asha / Asha}%
\music{Khaiyyam}%
\lyrics{Kaifi Azmi}%

% Contributor: Pavan Kumar Desikan <pkd@cs.duke.edu>
% Transliterator: Rajiv Shridhar <rajiv@hendrix.coe.neu.edu>
% Date: 10/22/1995
% Credits: Ashok Dhareshwar <adhareshwar@worldbank.org>
%          Neha Desai <umdesai@cc.umanitoba.ca>
%          Ketan Dholakia
% Editor: Rajiv Shridhar <rajiv@hendrix.coe.neu.edu>
% Comments: paas = regard, respect

\printtitle
#indian

ta: pyaas kuchh aur bhii bha.Dakaa dii jhalak dikhalaake
    tujhako paradaa rukh\-e\-roshan se haTaanaa hogaa

aa: itanii gustaaK na ho ishq kii aavaaraa nazar
    husn kaa paas nigaaho.n ko sikhaanaa hogaa

ta: tujhako paradaa rukh\-e\-roshan se haTaanaa hogaa
aa: husn kaa paas nigaaho.n ko sikhaanaa hogaa

ta: chaa.Nd taaro.n ko mayassar hai nazaaraa teraa
    merii betaab nigaaho.n se ye paradaa kyo.n hai
aa: chaa.Nd aa_iinaa meraa, taare mere naqsh\-e\-kadam
    Gair ko aa.Nkh milaane kii tamannaa kyo.n hai

ta: tujhako paradaa rukh\-e\-roshan se haTaanaa hogaa
aa: husn kaa paas nigaaho.n ko sikhaanaa hogaa

ta: tujhako dekhaa tujhe chaahaa tujhe puujaa mai.n ne
    bas yahii isake sivaa merii Kataa kyaa hogii
aa: hamane achchhaa kiyaa ghabaraake jo mu.Nh pher liyaa
    isase kam dil kii ta.Dapane kii sazaa kyaa hogii

ta: tujhako paradaa rukh\-e\-roshan se haTaanaa hogaa
aa: husn kaa paas nigaaho.n ko sikhaanaa hogaa

ta: pyaas kuchh aur bhii bha.Dakaa dii jhalak dikhalaake
    tujhako paradaa rukh\-e\-roshan se haTaanaa hogaa

aa: itanii gustaakh na ho ishq kaa aavaaraa nazar
    husn kaa paas nigaaho.n ko sikhaanaa hogaa

% Asha solo version

pyaas kuchh aur bhii bha.Dakaa dii jhalak dikhalaa ke
tujhako paradaa ruK\-e\-roshan se haTaana hogaa
chaa.Nd me.n nuur na taaro.n me.n chamak baaqii hai
ye a.Ndheraa merii duniyaa kaa miTaanaa hogaa

ai mujhe hijr kii raato.n me.n jagaanevaale
jaa kabhii nii.nd judaaii me.n na aayegii tujhe
subah Tapakegii terii aa.Nkh se aa.Nsuu banake
raat siine kii kasak ban ke jagaayegii tujhe
tujhako paradaa ruK\-e\-roshan se haTaana hogaa
ye a.Ndheraa merii duniyaa kaa miTaanaa hogaa

koii aramaa.N hai.N na hasarat hai, na ummiide.n hai.n
ab mere dil me.n muhabbat ke sivaa kuchh bhii nahii.n
ye muqaddar kii Karaabii ye zamaane kaa sitam
bevafaa terii inaayat ke sivaa kuchh bhii nahii.n
tujhako pardaa ruK\-e\-roshan se haTaana hogaa
ye a.Ndheraa merii duniyaa kaa miTaanaa hogaa

pyaas kuchh aur bhii bha.Dakaa dii jhalak dikhalaa ke
tujhako paradaa ruK\-e\-roshan se haTaana hogaa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{udaas udaas fizaao.n me.n ... aanaa hii pa.Degaa}% 
\film{Lala Rukh}%
\year{1953}%
\starring{Talat, Shyama}%
\singer{Talat}%
\music{Khaiyyam}%
\lyrics{Kaifi Azmi}%

% Contributor: Neeraj Malhotra (malhotra@bedford.progress.COM)
% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@chandra.astro.indiana.edu)
% Comments: The next one is a lovely song sung at a little faster pace than
%           Talat's usual slow ballads. He even has a moustach in this one.
%           Singing under a tree with a mandolin ?. Well don't know what the
%          instrument is.
% Credits : Neha Desai

\printtitle 
#indian 

##The slow lines before the main song:##

udaas udaas fizaao.n me.n nuur chhalakaao 
bujhe bujhe hue taaro.n ko ha.Ns ke chamakaao
Gurur\-e\-husn salaamat na raah dikhalaao 
rabag Duub gayaa, khuune ab to aa jaao (?)

aanA hii pa.Degaa, aanaa hii pa.Degaa 
sar ishq ke kadamo.n pe jhukaanaa hii pa.Degaa 
aanaa hii pa.Degaa 

( nagamaa meraa har saa.Ns me.n ras ghol rahaa hai 
is saa.Ns ke parade me.n khudaa bol rahaa hai ) \- 2
chhe.Daa hai agar saaz to gaanaa hii pa.Degaa \- 2
sar ishq ke kadamo.n pe jhukaanaa hii pa.Degaa 
aanaa hii pa.Degaa 
aanaa hii pa.Degaa aa aa 

( Tapakegaa lahuu dard bhare raag se kab tak 
khelegii terI mast adaa aag se kab tak ) \- 2
is khel me.n ab haath jalaanaa hii pa.Degaa \- 2
sar ishq ke kadamo.n pe jhukaanaa hii pa.Degaa 
aanaa hii pa.DegA 
aanaa hii pa.Degaa aa aa 

( ulfat kabhii duniyA se Daregii nA Darii hai 
phuulo.n se javAnI ne sadaa maa.Ng bharii hai ) \- 2
ha.Nsane ke liye zakhm to khaanaa hii pa.Degaa \- 2
aanA hii pa.DegA \- 4

%   * Ab sawwal ye hai ke Shyaama aayi ya nahiin ?
%   Bilkul bhaagati aayi aur sar bhi jhukaaya kadmon mein :)

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
