% ISB File: Laawaris_1981.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{he apanii to jaise\-taise ... aapakaa kyaa hogaa janaab\-e\-aalii}%
\film{Laawaris}%
\year{1981}%
\starring{Amitabh, Zeenat Aman, Rakhee, Amjad Khan}%
\singer{Kishor}%
\music{Kalyanji-Anandji}%
\lyrics{}%

% Contributor: BOL ANAMOL #11308 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

he ( apanii to jaise\-taise tho.Dii aise yaa vaise ) \-2 kaT jaa_egii
aapakaa kyaa hogaa janaab\-e\-aalii aapakaa kyaa hogaa
( apane aage naa piichhe naa ko_ii uupar\-niiche ) \-2 rone vaalaa
naa ko_ii rone vaalii janaab\-e\-aalii aapakaa kyaa hogaa

( aap bhii merii tarah insaan kii aulaad hai.n
aap mu.Nh maa.Ngii du_aa ham anasunii fariyaad hai ) \-2
vo jinhe.n saaraa zamaanaa samajhe laavaaris yahaa.N
aap jaise zaalimo.n ke zulm kii iijaad hai.n \-2
gaalii huzuur kii to lagatii du_aa_o.n jaisii \-2
ham du_aa bhii de.n to lage hai gaalii
aapakaa kyaa hogaa \threedots

aapake maathe se chhalake jo pasiinaa bhii kahii.n
aasamaa.N hilane lage aur kaa.Np uTThe ye zamii.n
aapakaa to ye pasiinaa Kuun se bhii qiimatii
aur apane Kuun kii qiimat yahaa.N kuchh bhii nahii.n
apanaa to Kuun paanii jiinaa\-maranaa bemaanii \-2
vaqt kii har adaa hai apanii dekhii\-bhaalii
aapakaa kyaa hogaa \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{he chaar paise kyaa mile ... kaahe paise pe itanaa Guruur kare hai}%
\film{Laawaris}%
\year{1981}%
\starring{Amitabh, Zeenat Aman, Rakhee, Amjad Khan}%
\singer{Kishor}%
\music{Kalyanji-Anandji}%
\lyrics{}%

% Contributor: BOL ANAMOL #11307 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

he he chaar paise kyaa mile
kyaa mile bha_ii kyaa mile
vo Kud ko samajh baiThe Kudaa
vo Kudaa hii jaane ab hogaa teraa a.njaam kyaa

( kaahe paise pe ) \-2 itanaa ( Guruur kare hai ) \-2
( yahii paisaa to ) \-2 apano.n se ( duur kare hai ) \-2
kaahe paise pe \threedots

sone\-chaa.Ndii ke uu.Nche mahalo.n me.n
dard zyaadaa hai chain tho.Daa hai \-2
is zamaane me.n paise vaalo.n ne
pyaar chhiinaa hai dil ko to.Daa hai \-2
paise kii ahamiyat se to inkaar nahii.n hai
paisaa hii magar sab kuchh sarakaar nahii.n hai
insaa.N\-insaa.N hai paisaa\-paisaa hai
dil hamaaraa bhii tere jaisaa hai
hai bhalaa paisaa to buraa bhii hai
ye zahar bhii hai ye nashaa bhii hai \-2
( ye nashaa ko_ii ) \-2 dhokhaa zaruur kare hai
yahii paisaa to \threedots

are chale kahaa.N
ai paise se kyaa\-kyaa tum yahaa.N Kariidoge
he dil Kariidoge yaa ke jaa.N Kariidoge
baazaaro.n me.n pyaar kahaa.N bikataa hai
dukaano.n pe yaar kahaa.N bikataa hai
phuul bik jaate hai.n Kushbuu bikatii nahii.n
jism bik jaate hai.n ruuh bikatii nahii.n
chain bikataa nahii.n Kvaab bikate nahii.n
dil ke aramaan betaab bikate nahii.n
are paise se kyaa\-kyaa \threedots

( he in havaa_o.n kaa mol kyaa doge
in ghaTaa_o.n kaa mol kyaa doge
are in zamiino.n kaa mol ho shaayad
aasamaano.n kaa mol kyaa doge ) \-2
paas paisaa hai to hai ye ( duniyaa hasii.n ) \-2
ho zaruurat se zyaadaa to ( maano.n yaqii.n ) \-2
( ye dimaaGo.n me.n ) \-2 paidaa fituur kare hai
yahii paisaa to \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{he ik din kisii faqiir ne ... jisakaa ko_ii nahii.n usakaa to Kudaa hai yaaro}%
\film{Laawaris}%
\year{1981}%
\starring{Amitabh, Zeenat Aman, Rakhee, Amjad Khan}%
\singer{Kishor}%
\music{Kalyanji-Anandji}%
\lyrics{}%

% Contributor: BOL ANAMOL #11305 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

he he he
ik din kisii faqiir ne ik baat kahii thii
ab jaa ke dil ne maanaa maanaa vo baat sahii thii

jisakaa ko_ii nahii.n usakaa to Kudaa hai yaaro \-2
( mai.n nahii.n kahataa ) \-2 kitaabo.n me.n likhaa hai yaaro.n
jisakaa ko_ii nahii.n \threedots

( ham to kyaa hai.n ) \-2 vo farishto.n ko aajamaataa hai \-2
banaakar hamako miTaataa hai phir banaataa hai
( aadamii TuuT ke ) \-2 sau baar ju.Daa hai yaaro.n
jisakaa ko_ii nahii.n \threedots

imtahaano.n kaa yahaa.N daur yuu.N hii chalataa hai \-2
aa.Ndhiyo.n me.n bhii ummiido.n kaa diyaa jalataa hai
( kal kii ummiid pe ) \-2 i.nsaan jiyaa hai yaaro.n
jisakaa ko_ii nahii.n \threedots

( kab talak hamase ) \-2 taqadiir bhalaa ruuThegii \-2
in a.Ndhero.n se ujaale kii kiraN phuuTegii
( Gam ke daaman me.n ) \-2 kahii.n chain chhupaa hai yaaro.n
jisakaa ko_ii nahii.n \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{kab ke bichha.De hu_e ham aaj kahaa.N aa ke mile}%
\film{Laawaris}%
\year{1981}%
\starring{Amitabh, Zeenat Aman, Rakhee, Amjad Khan}%
\singer{Kishor, Asha}%
\music{Kalyanji-Anandji}%
\lyrics{}%

% Contributor: BOL ANAMOL #11306 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

ki \:	kabake bichha.De hu_e ham aaj kahaa.N aa ke mile
aa \:	jaise shammaa se kahii.n lau ye jhilamilaa ke mile
ki \:	kabake bichha.De \threedots
aa \:	( jaise saavan ) \-3 se kahii.n pyaasii ghaTaa aa ke mile
do \:	kabake bichha.De \threedots

aa \:	baad muddat ke raat mahakii hai
ki \:	dil dha.Dakataa hai saa.Ns bahakii hai
aa \:	pyaar chhalakaa hai pyaasii aa.Nkho.n se
	surK ho.nTho.n pe aag dahakii hai
	o mahakii havaa_o.n me.n bahakii fizaa_o.n me.n do pyaase dil yuu.N mile \-2
ki \:	( jaise mayakash ) \-3 ko_ii saaqii se Dagamagaa ke mile
do \:	( kabake bichha.De ) \-3 hu_e \threedots

aa \:	duur shahanaa_ii giit gaatii hai
ki \:	dil ke taaro.n ko chhe.D jaatii hai \-2
aa \:	yuu.N sapano.n ke phuul yahaa.N khilate hai.n
	yuu.N du_aa dil kii ra.ng laatii hai \-2
ki \:	baraso.n ke begaane ulfat ke diivaane anajaane aise mile \-2
aa \:	( jaise manachaahii ) \-3 du_aa baraso.n aajamaa ke mile
ki \:	kabake bichha.De \threedots
aa \:	jaise saavan \threedots
do \:	kabake bichha.De \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{mere a.ngane me.n tumhaaraa kyaa kaam hai}%
\film{Laawaris}%
\year{1981}%
\starring{Amitabh, Rakhee}%
\singer{Amitabh / Alka Yagnik}%
\music{Kalyanji-Anandji}%
\lyrics{Anand Bakshi}%

% Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org)
% Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu)
%          Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu)
%          Parag Chhibber (usp_pchhibbe@sitvax.stevens-tech.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)

\printtitle
#indian

% song starts with
% 'la la ra lara laara...la laara ra ra ra
% la la la.....'

mere a.ngane me.n tumhaaraa kyaa kaam hai \- 2
jo hai naam vaalaa vahii to badanaam hai
mere a.ngane me.n tumhaaraa kyaa kaam hai

jisakii biivii lambii usakaa bhii ba.Daa naam hai \- 2
koThe se lagaa do sii.Dhii kaa kyaa kaam hai
mere a.ngane me.n \threedots

jisakii biivii moTii usakaa bhii ba.Daa naam hai \- 2
bistar pe liTaa do gadde kaa kyaa kaam hai
mere a.ngane me.n \threedots

jisakii biivii gorii usakaa bhii ba.Daa naam hai \- 2
kamare me.n biThaa lo bijalii kaa kyaa kaam hai
mere a.ngane me.n \threedots

jisakii biivii kaalii usakaa bhii ba.Daa naam hai \- 2
aa.Nkho.n me.n basaa lo surame kaa kyaa kaam hai
mere a.ngane me.n \threedots

jisakii biivii chhoTii usakaa bhii ba.Daa naam hai
chhoTii chhoTii, chhoTii naaTii, chhoTii naaTii \threedots \- 2
god me.n biThaa lo bachche kaa kyaa kaam hai
mere a.ngane me.n \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
