% ISB File: LambeHaath_1960.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{pyaar kii raah dikhaa duniyaa ko}%
\film{Lambe Haath}%
\year{1960}%
\starring{Mehmood, Naaz, Daisy, Jagdish Sethi, Naazii, Mridula, Moti (dog)}%
\singer{Rafi}%
\music{G S Kohli}%
\lyrics{Anjaan}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10186 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

pyaar kii raah dikhaa duniyaa ko roke jo nafarat kii aa.Ndhii
tumame.n hii ko_ii gautam hogaa tumame.n hii ko_ii hogaa gaa.Ndhii
pyaar kii raah dikhaa \threedots

tum badaloge ulTii chaale.n biga.De hu_e zamaane kii \-2
tum laa_oge bahaar vaapas is uja.De viiraane kii \-2
dekh rahaa hai Kvaab zamaanaa murdaa chaa.Nd\-sitaaro.n ke
fikr karo kuchh tum duniyaa kii ( biga.Dii baat banaane kii ) \-2
pyaar kii raah dikhaa \threedots

tumhe.n mohabbat karanii hai bhuukhe na.nge laachaaro.n se
tumhe.n to hai i.nsaaf maa.nganaa zulm ke Thekedaaro.n se
tumhe.n miTaane hai.n saare jhaga.De taKt aur taajo.n ke
tumhe.n bachaanii haii ye duniyaa ( top tiir talavaaro.n se ) \-2
pyaar kii raah dikhaa \threedots

vaadaa karo ki tum naa tuufaano.n se ghabaraa_oge
mehanat aur sachchaa_ii kii tum sadaa raah apanaa_oge
na_ii zindagii na_ii Kushii kaa nayaa daur tum laa_oge
phir apanii jaan bhii tum ( ik nayaa jahaan basaa_oge ) \-2
pyaar kii raah dikhaa \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
