% ISB File: LiveInConcert2_0000(NON-FILM).txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{dard\-e\-dil dard\-aashnaa jaane}%
\film{Live In Concert 2 (Non-Film)}%
\year{}%
\starring{}%
\singer{Ghulam Ali}%
\music{}%
\lyrics{Bahadur Shah Zafar}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 03, 2004

\printtitle
#indian

dard\-e\-dil dard\-aashnaa jaane
aur bedard ko_ii kyaa jaane

zulf terii hai wo balaa qaafir
puuchh mujhase terii balaa jaane

kar diyaa ik nigaah ne beKud
chashm\-e\-qaafir hai kyaa Kudaa jaane

bewafaa jaane kyaa wafaa merii
baa\-wafaa ho to wo wafaa jaane

sarafaraazii usii kii hai jo 'zafar'
aapako sabakaa Kaak\-e\-paa jaane

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{faasale aise bhI ho.nge ye kabhii sochaa na thaa}% 
\film{Live In Concert 2 (non-Film)}%
\year{}%
\starring{}%
\singer{Ghulam Ali}%
\music{}%
\lyrics{Adeeb Hashmi}%

% Contributor: Satish V Maruvada (maruvada@cup.hp.com)
% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@chandra.astro.indiana.edu)

\printtitle 
#indian 

%prelude:
nA u.Daa yuu.n Thokaro.n se merI khaak\-e\-kabr zaalim 
yahii ek rah gaI hai merI pyaar kii nishaanii 

faasale aise bhI ho.nge ye kabhI sochaa nA thA 
saamane baiThaa thA mere aur vo meraa nA thA 

vo ke khushabuu kii tarah failaa thA mere chaarasuu 
mai.n use mahasuus kar sakataa thA chhuu sakataa nA thA 

raat bhar pichhalii hii aahaT kaan me.n AtI rahii 
jhanak kar dekhaa galii me.n koI bhI AyA nA thA 

yaad karake aur bhI takaliif hotI thI adiim 
bhuul jaane ke sivaa ab koI bhI chaaraa nA thA 

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{hamako kisake Gam ne maaraa ye kahaanii phir sahii}%
\film{Live In Concert 2 (Non-Film)}%
\year{}%
\starring{}%
\singer{Ghulam Ali}%
\music{}%
\lyrics{Mansoor Anwar}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 03, 2004
% It is also in Enchanting Hour.

\printtitle
#indian

% not part of this ghazal
dil kii choTo.n ne kabhii chain se rahane na diyaa
jab chalii sard hawaa mai.nne tujhe yaad kiyaa
isakaa ronaa nahii.n kyuu.N tumane kiyaa dil barabaad
isakaa Gam hai ke bahut der me.n barabaad kiyaa

hamako kisake Gam ne maaraa ye kahaanii phir sahii
kisane to.Daa dil hamaaraa ye kahaanii phir sahii

dil ke luTane kaa sabab puuchho na sabake saamane
naam aayegaa tumhaaraa ye kahaanii phir sahii

nafarato.n ke tiir khaa kar dosto.n ke shahar me.n
hamane kis kis ko pukaaraa ye kahaanii phir sahii

kyaa bataa_e.n pyaar kii baazii wafaa kii raah me.n
kaun jiitaa kaun haaraa ye kahaanii phir sahii

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{royaa kare.nge aap bhii paharo.n isii tarah}%
\film{Live In Concert 2 (Non-Film)}%
\year{}%
\starring{}%
\singer{Ghulam Ali}%
\music{Ghulam Ali}%
\lyrics{Momin Khan Momin}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 03, 2004

\printtitle
#indian

royaa kare.nge aap bhii paharo.n isii tarah
aTakaa kahii.n jo aapakaa dil bhii merii tarah

naa taab hijr me.n hai na aaraam vasl me.n
kam\-baKt dil ko chain nahii.n hai kisii tarah

mar chuk kahii.n ke tuu Gam\-e\-hijraa.N se chhuuT jaaye
kahate to hai.n bhale kii wo lekin burii tarah

naa jaaye waa.N banii hai naa bin jaaye chain hai
kyaa kiijiye hame.n to hai mushkil sabhii tarah

% the following were not in the version I heard

lagatii hai.n gaaliyaa.N bhii tere mu.Nh se kyaa bhalii
qurbaan tere phir mujhe kah le isii tarah

huu.N jaa.N\-ba\-lab butaan\-e\-sitamagar ke haath se
kyaa sab jahaa.N me.n jiite hai.n 'momin' isii tarah

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{saaqii pe ilzaam na aaye}%
\film{Live In Concert 2 (Non-Film)}%
\year{}%
\starring{}%
\singer{Ghulam Ali}%
\music{}%
\lyrics{Jigar Muradabadi}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 03, 2004

\printtitle
#indian

saaqii pe ilzaam na aaye
chaahe mujh tak jaam na aaye

% shers not in this ghazal
qataraa qataraa pilaa na ai saaqii
os se pyaas bhii bujhii hai kabhii
saaqiyaa tashnagii kii taab nahii.n
zahar de de agar sharaab nahii.n

tere siwaa jo kii ho muhabbat
merii jawaanii kaam na aaye

jinake liye to mar bhii gaye ham
wo chal ke do gaam na aaye

ishq kaa saudaa itanaa garaa.N hai
puure hamase daam na aaye

mayaKaane me.n sab hii to aaye
lekin 'jigar' kaa naam na aaye

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
