% ISB File: LoveMarriage_1959.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{aa Tiin kanastar piiT\-piiT kar galaa phaa.D kar chillaanaa}%
\film{Love Marriage}%
\year{1959}%
\starring{Dev Anand, Mala Sinha}%
\singer{Rafi}%
\music{Shankar-Jaikishan}%
\lyrics{Shailendra}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10872 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

aa Tiin kanastar piiT\-piiT kar galaa phaa.D kar chillaanaa
yaar mere mat buraa maan ye gaanaa hai na bajaanaa hai
Tiin kanastar piiT\-piiT kar \threedots

naach ke badale kamar nachaanaa uchhal ke sarkas dikhalaanaa
bhuul hai terii tuu samajhaa hai duniyaa paagalakhaanaa hai
Tiin kanastar piiT\-piiT kar \threedots

udhar se lekar idhar jamaa kar kab tak kaam chalaa_oge
kisakaa rahaa zamaanaa ik din mahafil se uTh jaa_oge \-2
nakal kaa dha.ndhaa chal nahii.n sakataa ik din to pachhataanaa hai
yaar mere mat buraa \threedots

bhuul gayaa tuu taanasen kii taan yahii par guu.Njii thii
sur ke jaaduugar baijuu kii shaan yahii.n par guu.Njii thii
mar ke amar hai sahagal usakaa har ko_ii diivaanaa hai
har ko_ii diivaanaa hai mar ke amar hai sahagal usakaa
yaar mere mat buraa \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{dhiire dhiire chal, chaa.Nd gagan me.n}%
\film{Love Marriage}%
\starring{Dev Anand, Mala Sinha}%
\singer{Rafi, Lata}%
\music{Shankar-Jaikishan}%
\lyrics{Hasrat}%

% Transliterator: Arati Deo (arati@rice.edu)
% Credits: Prashant Kulkarni (praskulk@link.engin.umich.edu)
%          Kedar Nahade (ksn2@Lehigh.EDU)

\printtitle
#indian

dhiire dhiire chal, chaa.Nd gagan me.n
are, dhiire dhiire chal, chaa.Nd gagan me.n
kahii.n Dhal naa jaaye raat, TuuT naa jaaye.n sapane
dhiire dhiire chal, chaa.Nd gagan me.n

vo kyaa chiiz thii, milaake nazar giraa dii
huaa vo asar, ke hamane nazar jhukaa dii
gun gun guu.Nje raag, aaj pavan me.n
dhiire dhiire chal chaa.Nd gagan me.n

do dil mil gaye, diye jal gaye hazaaro.n
ajii, tum mil gaye, to gul khil gaye hazaaro.n
ho.ngii do do baat aaj milan me.n
are, dhiire dhiire chal chaa.Nd gagan me.n

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{dil se dil Takaraaye ... ##love marriage## kar laaye}%
\film{Love Marriage}%
\year{1959}%
\starring{Dev Anand, Mala Sinha}%
\singer{Rafi, Geeta, Chorus}%
\music{Shankar-Jaikishan}%
\lyrics{Shailendra}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, May 23, 2005

\printtitle
#indian

gii:	dil se dil Takaraaye phir dono.n ghabaraaye
	sabr kii Dorii TuuT ga_ii to
	##love marriage## kar laaye \-2
ra:	dil se dil Takaraaye phir dono.n ghabaraaye
	sabr kii Dorii TuuT ga_ii to
	##love marriage## kar laaye \-2
ko:	dil se dil Takaraaye phir dono.n ghabaraaye
	sabr kii Dorii TuuT ga_ii to
	##love marriage## kar laaye \-2

gii:	wo uttar ke pa.nchhii the aur wo dakkhin kii mainaa
ko:	la la
gii:	wo uttar ke pa.nchhii the aur wo dakkhin kii mainaa
	ek roz ek baaG me.n yuu.N hii la.D gaye nainaa \-2
ra:	dil de ke ghar aaye ghar aa kar pachchhataaye
	sabr kii Dorii TuuT ga_ii to
	##love marriage## kar laaye \-2
ko:	dil se dil Takaraaye phir dono.n ghabaraaye
	sabr kii Dorii TuuT ga_ii to
	##love marriage## kar laaye \-2

ra:	kab tak par leT kar karate taaro.n se baate.n
ko:	la la
ra:	kab tak par leT kar karate taaro.n se baate.n
	nii.nd chalii ga_ii ruuTh ke kaise kaTatii.n raate.n \-2
gii:	apano.n se sharamaaye Gairo.n se kataraaye
	sabr kii Dorii TuuT ga_ii to
	##love marriage## kar laaye \-2
ko:	( dil se dil Takaraaye phir dono.n ghabaraaye
	sabr kii Dorii TuuT ga_ii to
	##love marriage## kar laaye \-2 ) \-2

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{kahaa.N jaa rahe the kahaa.N aa ga_e ham}%
\film{Love Marriage}%
\year{1959}%
\starring{Dev Anand, Mala Sinha}%
\singer{Rafi}%
\music{Shankar-Jaikishan}%
\lyrics{Shailendra}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10871 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

kahaa.N jaa rahe the kahaa.N aa ga_e ham \-2
( kisii kii nigaaho.n se ) \-2 ( Takaraa ga_e ham ) \-2
kahaa.N jaa rahe \threedots

kho chale saare nishaa.N mai.n yahaa.N dil hai kahaa.N \-2
so_e hai.n ke jaage chakaraa ga_e ham \-2
kisii kii nigaaho.n se \threedots

ye subah mastii bharii yuu.N ha.Nsii jaise parii \-2
qismat ko shaayad yaad aa ga_e ham \-2
kisii kii nigaaho.n se \threedots

ajanabii apanaa hu_aa sach meraa sapanaa hu_aa \-2
saare jahaa.N pe lo chhaa ga_e ham \-2
kisii kii nigaaho.n se \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{kahe jhuum\-jhuum raat ye suhaanii}%
\film{Love Marriage}%
\year{1959}%
\starring{Dev Anand, Mala Sinha}%
\singer{Lata}%
\music{Shankar-Jaikishan}%
\lyrics{Shailendra}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10870 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

kahe jhuum\-jhuum raat ye suhaanii
piyaa haule se chhe.Do dubaaraa
vahii kal kii rasiilii kahaanii
kahe jhuum\-jhuum raat \threedots

sun ke jise dil meraa dha.Dakaa
laaj ke sar se aa.Nchal sarakaa
raat ne aisaa jaaduu pheraa
aur hii nikalaa ra.ng sahar kaa
kahe jhuum\-jhuum raat \threedots

mastii bharii ye Kaamoshii
chup huu.N kha.Dii dekho mai.n kho_ii sii
dekh rahii huu.N mai.n ek sapanaa
kuchh jaagii sii kuchh so_ii sii
kahe jhuum\-jhuum raat \threedots

tan bhii tumhaaraa man bhii tumhaaraa
tumase hii baalam jag ujiyaaraa
rom\-rom meraa aaj manaa_e
chhuuTe kabhii na saath tumhaaraa
kahe jhuum\-jhuum raat \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{qariib aa_o na ta.Dapaa_o}%
\film{Love Marriage}%
\year{1959}%
\starring{Dev Anand, Mala Sinha}%
\singer{Geeta}%
\music{Shankar-Jaikishan}%
\lyrics{Shailendra}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, May 23, 2005

\printtitle
#indian

( qariib aa_o na ta.Dapaa_o
hame.n kahanaa hai kuchh tumase
tumhaare kaano.n me.n ) \-2
qariib aa_o

Gam\-e\-furaqat se hame.n furasat hai
merii qismat hai ke aaye tum
kuchh bhii na laaye to bhii kyaa Gam hai
yahii kyaa kam hai ke aaye tum \-2

qariib aa_o na ta.Dapaa_o
hame.n kahanaa hai kuchh tumase
tumhaare kaano.n me.n
qariib aa_o

jhuumegaa zamaanaa merii chham chham pe
aaj mausam pe jawaanii hai
terii chaahat me.n haay tuu na jaane
mai.nne miT jaane kii Thaanii hai \-2

qariib aa_o na ta.Dapaa_o
hame.n kahanaa hai kuchh tumase
tumhaare kaano.n me.n
qariib aa_o

merii aa.Nkho.n se dil jhaa.Nkataa hai
aur puuchhataa hai ishaaro.n se
ba.De beraham ho zaraa muskaraa_o
zamii.n pe to aa_o sitaaro.n se

( qariib aa_o na ta.Dapaa_o
hame.n kahanaa hai kuchh tumase
tumhaare kaano.n me.n ) \-2
qariib aa_o

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
