% ISB File: MaaKaAanchal_1970.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{jaane kyaa haal ho kal shiishe kaa paimaane kaa}%
\film{Maa Ka Aanchal}%
\year{1970}%
\starring{}%
\singer{Asha}%
\music{Madan Mohan}%
\lyrics{Kaifi Azmi(?)}%

% Contributor:  Tabassum.Hijazi
% Transliterator: K Vijay Kumar

\printtitle
#indian

jaane kyaa haal ho kal shiishe kaa paimaane kaa
aaj dar cho.D chalaa hai koii maiKhaane kaa
jaane kyaa haal ho\threedots

haath tharraane lage, jaam giraa TuuT gayaa
ye koii vaqt na thaa aap ke yaad aane kaa
jaane kyaa haal ho\threedots

phir na sharamaaoge tum apanii kahaanii sun ke
dard ThoD.aa saa milaa lo mere afasaane kaa
jaane kyaa haal ho\threedots

bevafaaii kaa gilaa sun ke ha.Nsi aatii hai
Dhuu.NDhiye aur bahaanaa koii ta.Dapaane kaa

jaane kyaa haal ho kal shiishe kaa paimaane kaa
aaj dar cho.D chalaa hai koii maiKhaane kaa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
