% ISB File: Maachis_1996.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{ai havaa kuchh to bataa ... haa.N tum lauT aanaa}%
\film{Maachis}%
\year{1996}%
\starring{Tabu, Chandrachur Singh}%
\singer{Lata, Chorus}%
\music{Vishal}%
\lyrics{Gulzar}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Jun 12, 2005

\printtitle
#indian

la:	e aa aa e yaa aa \-2
	
	ai havaa
	ai havaa kuchh to bataa
	jaanewaalo.n kaa pataa
	
	ai havaa kuchh to bataa
	jaanewaalo.n kaa pataa
	kaalii ghaTaa_o tum suukhe pahaa.Do.n ko
	lauT aanaa
	haa.N tum lauT aanaa
	
	e aa aa e yaa aa
	
	ja.ngal se jaatii paga.DaNDiyo.n pe \-2
	dekho to shaayad paa.Nv pa.De ho.n
	kohare kii duudhiyaa ThaNdii gufaa me.n
	baadal pahan ke shaayad kha.De ho.n
	haule se kaano.n me.n meraa kahaa kahanaa
	lauT aanaa
	haa.N tum lauT aanaa
	
	e aa aa e yaa aa
	
ko:	

la:	risane lagaa hai jhiilo.n kaa paanii \-2
	ghulane lagaa hai shaam kaa sonaa
	kahaa.N se thaamuu.N raat kii chaadar
	kahaa.N se paka.Duu.N dhuup kaa konaa
	jaa_iyo paas unake meraa kahaa kahanaa
	lauT aanaa
	haa.N tum lauT aanaa
	
	e aa aa e yaa aa

	ai havaa kuchh to bataa
	jaanewaalo.n kaa pataa
	kaalii ghaTaa_o tum suukhe pahaa.Do.n ko
	lauT aanaa
	haa.N tum lauT aanaa \-2
	lauT aanaa \-3

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{bheje kahaar, piyaa jii bulaa lo}%
\film{Maachis}%
\year{1996}%
\starring{Chandrachur Singh, Tabu}%
\singer{Lata}%
\music{Vishal}%
\lyrics{Gulzar}%

% Contributor: Guri Buxi <buxi@ix.netcom.com>
% Transliterator: Rajiv Shridhar <rajiv@coe.neu.edu>
% Date: 02/17/1997

\printtitle
#indian

bheje kahaar, piyaa jii bulaa lo
koii raat raat jaage
Dolii pa.Dii pa.Dii dyo.Dii me.n
arathii jaisii laage
bheje kahaar, piyaa jii bulaa lo

saa.Njh Dhale suunii galii, daravaaje tak aae
koii nahii.n aayaa abhii, itanii khabar de jaae
bheje kahaar \threedots

aakaash me.n kaagaa u.De, baiThe na mere banere
Tha.nDii namii jalatii nahii.n, phuu.Nkuu.N kahaa.N tak a.ndhere
bheje kahaar \threedots

bheje kahaar \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{chappaa chappaa charakhaa chale}%
\film{Maachis}%
\year{1996}%
\starring{Chandrachur Singh, Tabu}%
\singer{Hariharan, Suresh Wadkar}%
\music{Vishal}%
\lyrics{Gulzar}%

% Contributor: Guri Buxi
% Transliterator: K Vijay Kumar
% Credits: Ikram Ahmed Khan

\printtitle
#indian

chappaa chappaa charakhaa chale 
aunii\-paunii yaariyaa.N terii
baunii\-baunii beriyo.N tale
chappaa chappaa charakhaa chale   \threedots

yaaraa ve, yaaraa\-ve, yaaraa\-ve~
naaniyaa.N paradesiyaa

chappaa chappaa charakhaa chale   \threedots

gorii chaTakhorii jo kaTorii se khilaatii thii
jumme ke jumme jo surame lagaatii thii
kachchii mu.nDer tale
chappaa chappaa charakhaa chale   \threedots

jhuuThii\-muuThii moyii ne raso_ii me.n pukaaraa thaa
lohe ke chimaTe se lipaTe to maaraa thaa
'biibaa' teraa chuulhaa jale
chappaa chappaa charakhaa chale   \threedots

chunnii leke sotii thii, qamaal lagatii thii
paanii me.n jalataa charaaG lagatii thii
'biibaa' teraa yaad na Tale
chappaa chappaa charakhaa chale   \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{chho.D aae ham vo galiyaa.N}%
\film{Maachis}%
\year{1996}%
\starring{Chandrachur Singh, Tabu}%
\singer{Hariharan, Suresh Wadkar, Vinod Sehgal, K Kay}%
\music{Vishal}%
\lyrics{Gulzar}%

% Contributor: Ikram Ahmed Khan <iakhan@raleigh.ibm.com> 
% Transliterator: Rajiv Shridhar <rajiv@coe.neu.edu>
% Date: 02/17/1997

\printtitle
#indian

chho.D aae ham, vo galiyaa.N	\- 4

jahaa.N tere pairo.n ke, ka.Nval giraa karate the
ha.Nse to do gaalo.n me.n, bha.Nvar pa.Daa karate the

he, terii kamar ke bal pe, nadii mu.Daa karatii thii
ha.Nsii terii sun sun ke, fasal pakaa karatii thii
chho.D aae ham \threedots

(ho, jahaa.N terii e.Dii se, dhuup u.Daa karatii thii
 sunaa hai us chaukhaT pe, ab shaam rahaa karatii hai)	\- 2
(laTo.n se ulajhii\-lipaTii, ik raat huaa karatii thii
 kabhii kabhii takhiye pe, vo bhii milaa karatii hai)  \- 2
chho.D aae ham \threedots

dil dard kaa Tuka.Daa hai, patthar kii Dalii sii hai
ik a.ndhaa kuaa.N hai yaa, ik ba.nd galii sii hai
ik chhoTaa saa lamhaa hai, jo Katm nahii.n hotaa
mai.n laakh jalaataa huu.N, yah bhasm nahii.n hotaa
yah bhasm nahii.n hotaa \threedots
chho.D aae ham \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{paanii paanii re khaare paanii re}%
\film{Maachis}%
\year{1996}%
\starring{Tabu, Chandrachur Singh}%
\singer{Lata}%
\music{Vishal}%
\lyrics{Gulzar}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Jun 12, 2005

\printtitle
#indian

( paanii paanii re khaare paanii re \-2
naino.n me.n bhar jaa
nii.nde.n khaalii kar jaa ) \-2

paanii\-paanii in pahaa.Do.n kii Dhalaano.n se utar jaanaa
dhu_aa.N\-dhu_aa.N kuchh vaadiyaa.N bhii aaye.ngii guzar jaanaa
ek gaa.Nv aayegaa meraa ghar aayegaa
jaa mere ghar jaa
nii.nde.n khaalii kar jaa

ye rudaalii jaisii raate.n jagaraato.n me.n bitaa denaa
merii aa.Nkho.n me.n jo bole miiThe paakhii to u.Daa lenaa
barfo.n me.n lage mausam pighale
mausam hare kar jaa
nii.nde.n khaalii kar jaa

paanii paanii re khaare paanii re \-2
naino.n me.n bhar jaa
nii.nde.n khaalii kar jaa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{tum gaye sab gayaa}%
\film{Maachis}%
\year{1996}%
\starring{Tabu, Chandrachur Singh}%
\singer{Lata, Chorus}%
\music{Vishal}%
\lyrics{Gulzar}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Jun 12, 2005

\printtitle
#indian

la	( tum gaye sab gayaa \-2
	ko_ii apanii hii miTTii tale dab gayaa ) \-2
	tum gaye sab gayaa
	
	ko_ii aayaa thaa kuchh der pahale yahaa.N
	le ke miTTii se lepaa hu_aa aasamaa.N
	qabr par Daal kar wo gayaa kab gayaa
	tum gaye sab gayaa \-2
	
ko:	##classical aalaap##

la:	aa.Nkho.n pe tanahaa_iyaa.N chalatii hai.n
	merii aa.Nkho.n me.n parachhaa_iyaa.N chalatii hai.n
	ek sailaab thaa saaraa ghar bah gayaa
	phir bhii jiine kaa tho.Daa saa Dar rah gayaa
	zaKm jiine ke kyuu.N de gayaa jab gayaa
	tum gaye sab gayaa \-2
	ko_ii apanii hii miTTii tale dab gayaa
	tum gaye sab gayaa \-2

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{yaad na aaye koii}%
\film{Maachis}%
\year{1996}%
\starring{Tabu, Chandrachur Singh}%
\singer{Lata}%
\music{Vishal}%
\lyrics{Gulzar}%

% Contributor: Guri Buxi
% Transliterator: K Vijay Kumar

\printtitle
#indian

yaad na aaye koii
lahuu na rulaaye koii
yaad na aaye koii

haay, akhiyo.n me.n baiThaa thaa
akhiyo.n se uTh ke, jaane kis desh gayaa

jogii meraa jogii ve
raa.Njhaa, meraa raa.Njha.Daa
meraa daraveshh gayaa
rabbaa~
duur na jaaye koii
yaad na aaye koii   \threedots

shaam ke diye ne aa.Nkh bhii na kholii
andhaa kar gayii raat

jalaa bhii nahii.n thaa
deh kaa baalan
koyalaa kar gayii raat
rabbaa~
aur na jalaaye koii
yaad na aaye koii   \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
