% ISB File: MainChupRahungi_1962.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{chaa.Nd jaane kahaa.N kho gayaa}%
\film{Main Chup Rahungi}%
\year{1962}%
\starring{Sunil Dutt, Meena Kumari}%
\singer{Rafi, Lata}%
\music{Chitragupt}%
\lyrics{Rajinder Krishan}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10135 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

ra \:	chaa.Nd jaane kahaa.N kho gayaa \-2
	tumako chehare se pardaa haTaanaa na thaa
la \:	chaa.Ndanii ko ye kyaa ho gayaa \-2
	tumako bhii is tarah muskaraanaa na thaa
ra \:	chaa.Nd jaane kahaa.N \threedots

	pyaar kitanaa javaa.N raat kitanii hasii.n
	aaj chalate hu_e ( tham ga_ii hai zamii.n ) \-2
la \:	aa.Nkh merii jhapakane lagii
	aisaa ulfat kaa jaaduu jagaanaa na thaa
ra \:	chaa.Nd jaane kahaa.N \threedots

la \:	pyaar me.n beKabar ham kahaa.N aa ga_e
	merii aa.Nkho.n me.n spane se ( kyuu.N chhaa ga_e ) \-2
ra \:	do dilo.n kii hai ma.nzil yahaa.N
	tum na aate to hamako bhii aanaa na thaa \-2
ra \:	chaa.Nd jaane kahaa.N \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{koii bataa de dil hai jahaa.N}%
\film{Main Chup Rahoongi}%
\year{1962}%
\starring{Sunil Dutt, Meena Kumari}%
\singer{Lata, Rafi}%
\music{Chitragupt}%
\lyrics{Rajinder Krishan}%

% Contributor: Malini Kanth
% Transliterator: Malini Kanth

\printtitle
#indian

lataa : ko_ii bataa de dil hai jahaa.N
        kyo.n hotaa hai dard vahaa.N
rafii : tiir chalaa ke ye to na puuchho
        dil hai kahaa.N aur dard kahaa.N

lataa : jaane raat ko aa.Nkho.n se
        nii.nd kahaa.N u.D jaatii hai
rafii : apane ghar me.n Gair ko paa kar
        bechaarii mu.D jaatii hai

rafii : jab ho Kalish sii pahaluu me.n
        samajho pyaar ne kaam kiyaa
lataa : aise pyaar ko kyaa kahiye
        ke jisane be-aaraam kiyaa

lataa : dil pe aisii kyaa guzarii
        gha.Dii gha.Dii ye ghabaraaye
rafii : mai.n to kisii kaa ho baiThaa
        baar baar ye samajhaaye

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{Kush raho ahal\-e\-chaman ham to chaman chho.D chale}%
\film{Main Chup Rahungi}%
\year{1962}%
\starring{Sunil Dutt, Meena Kumari}%
\singer{Rafi}%
\music{Chitragupt}%
\lyrics{Rajinder Krishan}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10134 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

Kush raho ahal\-e\-chaman ham to chaman chho.D chale
Kush raho ahal\-e\-chaman
Kaaq parades kii chhaane.nge vatan chho.D chale
Kush raho ahal\-e\-chaman \threedots

bhuul jaanaa hame.n ham yaad ke qaabil hii nahii.n \-2
kyaa pataa de.n ki hamaarii ko_ii ma.nzil hii nahii.n
apanii taqadiir ke dariyaa kaa to saahil hii nahii.n
Kush raho ahal\-e\-chaman \threedots

ko_ii bhuule se hame.n puuchhe to samajhaa denaa
ek bujhataa hu_aa diipak use dikhalaa denaa
aa.Nkh jo usakii chhalak jaa_e to bahalaa denaa
Kush raho ahal\-e\-chaman \threedots

roz jab raat ke aa.Nchal me.n sitaare ho.nge \-2
ye samajh lenaa ki vo ashq hamaare ho.nge
aur kis haal me.n ham dard ke maare ho.nge
Kush raho ahal\-e\-chaman \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{mai.n kaun huu.N mai.n kahaa.N huu.N}%
\film{Main Chup Rahungi}%
\year{1962}%
\starring{Sunil Dutt, Meena Kumari}%
\singer{Rafi}%
\music{Chitragupt}%
\lyrics{Rajinder Krishan}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10136 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

mai.n kaun huu.N mai.n kahaa.N huu.N mujhe ye hosh nahii.n
kidhar mai.n aaj ravaa.n huu.N mujhe ye hosh nahii.n
mai.n kaun huu.N \threedots

mujhe na haath lagaa_o ke mar chukaa huu.N mai.n \-2
khud apane haath se ye Kuun kar chukaa huu.N mai.n
phir aaj kaise yahaa.N huu.N mujhe ye hosh nahii.n
kidhar mai.n aaj ravaa.n \threedots

mai.n apanii laash uThaa_e yahaa.N chalaa aayaa
ko_ii bas itanaa bataa de kahaa.N chalaa aayaa
ye kyaa jagah hai jahaa.N huu.N mujhe ye hosh nahii.n
kidhar mai.n aaj ravaa.n \threedots

ko_ii na aa_e yahaa.N ye mazaar meraa hai
kha.Daa huu.N kab se mujhe i.ntazaar meraa hai
ye kyaa kahaa.N mai.n yahaa.N huu.N mujhe ye hosh nahii.n
kidhar mai.n aaj ravaa.n \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{mere dil kabhii to ko_ii aayegaa}%
\film{Main Chup Rahoongi}%
\starring{Sunil Dutt, Meena Kumari}%
\singer{Lata}%
\music{Chitragupt}%
\lyrics{Rajinder Krishan}%

% Contributor: Nita
% Transliterator: Nita
% Date: 17 February 2000

\printtitle
#indian

mere dil kabhii to ko_ii aayegaa
hamadam jo teraa ban jaayegaa

ai beqaraar ab i.ntazaar
kuchh ra.ng laa rahaa hai
kahataa hai pyaar teraa raazadaar
tere paas aa rahaa hai

hogii hasiin vo chaa.Nd raat
ham saath saath ho.nge
barasegaa nuur Kushiyo.n me.n chuur
haatho.n me.n haath ho.nge

badalegaa daur kuchh der aur
tuu Gam kaa zahar pii le
hogaa milaap phir apane aap
jaise bhii chaahe jii le

mere dil \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
