% ISB File: MarineDrive_1955.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{ab vo karam kare.n yaa sitam mai.n nashe me.n huu.N}%
\film{Marine Drive}%
\year{1955}%
\starring{Ajit, Bina Rai}%
\singer{Rafi}%
\music{N Dutta}%
\lyrics{Sahir}%

% Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org)
% Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu)
%          Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu)
%          Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu)
%          Neha Desai

\printtitle
#indian

ab vo karam kare.n yaa sitam mai.n nashe me.n huu.N
mujhako na koii hosh na Gam mai.n nashe me.n huu.N

siine se bojh unake Gamo.n kaa utaar ke
aayaa huu.N aaj apanii javaanii ko haar ke
kahate hai.n Dagamagaate qadam mai.n nashe me.n huu.N

vo bevafaa hai.n ab bhii ye dil maanataa nahii.n
kambaKt naasamajh hai unhe.n jaanataa nahii.n
mai.n aaj to.D duu.ngaa bharam mai.n nashe me.n huu.N

furasat nahii.n hai rone rulaane ke vaaste
aae na unakii yaad sataane ke vaaste
is vaqt dil kaa dard hai kam mai.n nashe me.n huu.N

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{karam kii bhiikh maa.Ngii ... bataa ai aasamaa.N vaale}%
\film{Marine Drive}%
\year{1955}%
\starring{Ajit, Bina Rai}%
\singer{Rafi}%
\music{N Dutta}%
\lyrics{Sahir}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10293 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

karam kii bhiikh maa.Ngii hamane tumase aur sitam paayaa
Kushii lene ko aa_e dar pe aur Gam paayaa

bataa ai aasamaa.N vaale tere ba.nde kidhar jaa_e.N
vahii bedard duniyaa hai jahaa.N jaa_e.N jidhar jaa_e.N
bataa ai aasamaa.N vaale \threedots

jafaa_o.n par jafaa bedaad hotii hai
hamaarii umr hii kyaa maut bhii barabaad hotii hai
hame.n itanaa to batalaa de ji_e.N ham yaa ke mar jaa_e.N
bataa ai aasamaa.N vaale \threedots

jigar chhalanii hai aur dil Gam ke tiiro.n kaa nishaanaa hai
hamaarii zindagii ik dard kaa fasaanaa hai
na jiine kaa Thikaanaa hai na marane kaa Thikaanaa hai
jo tere dar se Thukaraa_e ga_e vo kisake dar jaa_e.N
bataa ai aasamaa.N vaale \threedots

are o muskaraa kar merii haalat dekhane vaalo.n
ko_ii to raham faramaa_o musiibat dekhane vaalo.n
kahii.n aisaa na ho ham Thokare.n khaa ke mar jaa_e.N
bataa ai aasamaa.N vaale \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
