% ISB File: MeraSaaya_1966.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{aapake pahaluu me.n aakar ro diye}%
\film{Mera Saaya}%
\year{1966}%
\starring{Sunil Dutt, Sadhana}%
\singer{Rafi}%
\music{Madan Mohan}%
\lyrics{Raja Mehdi Ali Khan}%

% Contributor: U.V. Ravindra
% Transliterator: U.V. Ravindra
% Date: 2 Mar 2003
% Series: GEETanjali series
% generated by giitaayan

\printtitle
#indian

aapake pahaluu me.n aakar ro diye \- 2
daastaan\-e\-Gam sunaakar ro diye
aapake pahaluu me.n aakar ro diye

zindagii ne kar diyaa jab bhii udaas
aa gaye ghabaraa ke ham ma.nzil ke paas
sar jhukaayaa, sar jhukaakar ro diye
aapake pahaluu me.n aakar ro diye

shaam jab aa.Nsuu bahaatii aa ga_ii \- 2
har taraf Gam kii udaasii chhaa ga_ii
diip yaado.n ke jalaakar ro diye
aapake pahaluu me.n aakar ro diye

Gam judaaii kaa sahaa jaataa nahii.n
aapake bin ab rahaa jaataa nahii.n
pyaar me.n kyaa\-kyaa ga.Nvaakar ro diye
daastaan\-e\-Gam sunaakar ro diye
aapake pahaluu me.n aakar ro diye

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{jhumakaa giraa re}%
\film{Mera Saaya}%
\year{1966}%
\starring{Sadhana, Sunil Dutt}%
\singer{Asha}%
\music{Madan Mohan}%
\lyrics{Raja Mehdi Ali Khan}%

% Contributor: Surajit A. Bose
% Transliterator: Surajit A. Bose
% Date: 1 March 2001
% Comments: GEETanjali series

\printtitle
#indian

jhumakaa giraa re
haay
jhumakaa giraa re barelii ke bazaar me.n
jhumakaa giraa jhumakaa giraa jhumakaa giraa
haay haay haay jhumakaa giraa re \threedots

sai.nyaa.N aaye nain jhukaaye ghar me.n chorii chorii \-2
bole jhumakaa mai.n pahanaa duu.N, aajaa baa.Nkii chhorii
mai.n bolii naa naa naa baabaa, naa kar joraa\-jorii
laakh manaayaa, sai.nyaa.N ne kalaiyaa naahii.n chho.Dii
haay kalaiyaa naahii.n chho.Dii
##Male voice:## phir kyaa huaa?
phir? phir jhumakaa giraa re ham dono.n kii takaraar me.n
jhumakaa giraa re \threedots

ghar kii chhat pe mai.n kha.Dii, galii me.n dilabar jaanii \-2
ha.Nsake bole niiche aa, ab niiche aa diiwaanii
yaa a.NguuThii de apanii yaa chhallaa de nishaanii
ghar kii chhat pe kha.Dii\-kha.Dii mai.n huii sharam se paanii
haay huii sharam se paanii
##Male voice:## phir kyaa huaa?
daiyaa! phir jhumakaa giraa re ham dono.n ke is pyaar me.n
jhumakaa giraa re \threedots

bagiyaa me.n balamaa ne merii laT ulajhii sulajhaaii \-2
thaamake aa.Nchal bole, gorii tuu mere man bhaaii
aa.Nkh jhukaake kuchh naa bolii
kuchh naa bolii haay, haay, haay
aa.Nkh jhukaake kuchh naa bolii, dhiire se musakaaii
sai.nyaa.N ne jab chhe.Daa mujhako, ho ga_ii haathaapaayii
haay ho ga_ii haathaapaayii
##Male voice:## are, phir kyaa huaa?
phir jhumakaa giraa re, mai.n kyaa boluu.N bekaar me.n
jhumakaa giraa re \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{naino.n me.n badaraa chhaae}%
\film{Mera Saya}%
\year{1966}%
\starring{Sunil Dutt, Sadhana}%
\singer{Lata}%
\music{Madan Mohan}%
\lyrics{Raja Mehdi Ali Khan}%

% Transliterator: Venkatasubramanian K Gopalakrishnan <gopala@cs.wisc.edu>
% Credits: C. S. Sudarshana Bhat <cesaa129@utacnvx.uta.edu>
%	   Manjeet Rekhi <manjeet@iglou.com>
% Editor: Rajiv Shridhar <rajiv@coe.neu.edu>

\printtitle
#indian

naino.n me.n badaraa chhaae, bijalii sii chamake haae
aise me.n balam mohe, garavaa lagaa le
naino.n me.n\threedots

madiraa me.n Duubii a.Nkhiyaa.N
cha.nchal hai.n dono.n sakhiyaa.N
Dhalatii rahe.ngii tohe
palako.n kii pyaarii pakhiyaa.N
sharamaa ke de.ngii tohe
madiraa ke pyaale
naino.n me.n\threedots

prem diivaanii huu.N me.n
sapano.n kii raanii huu.N mai.n
pichhale janam se terii
prem kahaanii huu.N mai.n
aa is janam me.n bhii tuu
apanaa banaa le
naino.n me.n\threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong 
\stitle{naino.n vaalii ne, haay meraa dil luuTaa}% 
\film{Mera Saya}%
\year{1966}%
\starring{Sunil Dutt, Sadhana}%
\singer{Lata, Sunil Dutt, Sadhna}%
\music{Madan Mohan}%
\lyrics{Raja Mehdi Ali Khan}%

% Contributor: Shashikant Joshi urf pintu divana (rava0002@gold.tc.umn.edu)
% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@chandra.astro.indiana.edu)
% Credits: Surajit Bose
% Comments: Pankha Road se Pintu Diwana [34]  14 May 1995
%        Sadhana is one of my favourites. No no I am not talking about
%        acting. I don't care, I don't know about that. But I watched Ek
%        Phool Do Maali, just for the first half for Sadhana, 7 days in
%        a row in Delhi. I would force my firends, different friends every
%        time, I even paid their tickets couple of times. I got my uncle
%        (who dropped out of town for the night) to go with me!!
%        from balcony to the rikshawaaloN kee row!! jo seeTeeyaaN
%        bajayee us din to kee 'mujhe aaye na jag se laaj' :-)))%

%        In this song, Sunil, who happens to write poems as well, is shy
%        to sing/say to her. She having read his poems (OR making of her
%        own) sings this song saying, "What would YOU say to me". 

%        I love the way she says, "muskaatee iThalaate gaate ..." and
%        Sadhana does it so well! So freah, cute, so happy face, did I
%        say cute? yeah I did, okay! jo ye naTkhaTapan hota hai na,
%        baD.ee gazab kee cheez hoti hai janaab!

\printtitle 
#indian 

naino.n vaalI ne, haay meraa dil luuTA 
naino.n vaalI ne, bholI bhaalI ne, ik matavaale ne 
haay meraa dil luuTA 
naino.n vaalI ne, o bholI bhaalI ne, 
haay meraa dil luuTA, haay meraa dil luuTA, dil meraa luuTA 

## Spoken ##
suniil: haay! aise me.n terii aavaaz kahii.n se aa_ii
jaise parbat kaa jigar chiirke jharanaa phuuTe
yaa zamiino.n kii muhabbat me.n taDap kar naadaa.N
aasmaano.n se koii shoK sitaaraa TuuTe

saadhanaa: ha.nh! chorii ke sher hai.n! aap to kuchh yuu.N kahate

## Sung ##
muskaate iThalaatii gaatI aayI zulfe.n khole
koyaliyaa chup ho jaaye jab usakI paayal bole 
mujhe dikhaa ke pyaar bhare do nainaa bhole\-bhole 
aha, naino.n vaalI ne 

## Spoken ##
suniil: puurii ho.ngii unakii sab farmaaishe.n
ek bhii hamase na Taalii jaayegii
aa pa.Daa hai aashiqii se vaastaa
ab tabiiyat kyaa sambhaalii jaayegii

saadhanaa: kyaa aap kahate zaraa sun liijiye aap

## Sung ##
qaid me.n usakii jo aa jaaye vo qaidii naa chhuTe
laakho.n ba.Ndhan TuuTe lekin ye ba.Ndhan naa TuuTe
nii.nd churaa lii mujhase karake vaade jhuuTe\-jhuuTe
naino.n vaalii ne \threedots

## Spoken ##
saadhanaa: chup kyo.n ho?

suniil: na jaane aaj mai.n kyaa baat kahane vaalaa huu.N
zabaan khush hai, aavaaz rukatii jaatii hai

saadhanaa: agar mujhase pyaar hotaa, to aise na kahate

## Sung ##
naazo adaa se chaa.Nd ke aage ghuu.NghaT jab sarakaaye 
 - ye mue nAz\-o\-a.ndaaz hii to hai.n, husn ke kha.njar
chaa.Nd ta.Dap kar usake gore kadamo.n pe gir jaaye 
taare puuchhe huaa hai kyaa to chaa.Nd ye bole 
haay, naino.n vAle ne, haay, naino.n vAle 

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{tuu jahaa.N jahaa.N chalegaa, meraa saayaa, saath hogaa}%
\film{Mera Saya}%
\year{1966}%
\starring{Sunil Dutt, Sadhana}%
\singer{Lata}%
\music{Madan Mohan}%
\lyrics{Raja Mehdi Ali Khan}%

% Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org)
% Credits: rec.music.indian.misc (USENET newsgroup) 
%          C.S. Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)

\printtitle
#indian

tuu jahaa.N jahaa.N chalegaa, meraa saayaa, saath hogaa
meraa saayaa,  meraa saayaa

kabhii mujhako yaad karake, jo bahe.nge tere aa.Nsuu
to vahii.n pe rok le.nge, unhe.n aake mere aa.Nsuu
tuu jidhar kaa rukh karegaa, meraa saayaa, saath hogaa \threedots

tuu agar udaas hogaa, to udaas huu.Ngii mai.n bhii
nazar aauu.N yaa naa aauu.N, tere paas huu.Ngii mai.n bhii
tuu kahii.n bhii jaa rahegaa, meraa saayaa, saath hogaa \threedots

mai.n agar bichha.D bhii jaauu.N, kabhii meraa Gam na karanaa
meraa pyaar yaad karake, kabhii aa.Nkh nam na karanaa
tuu jo mu.Dake dekh legaa, meraa saayaa, saath hogaa \threedots

meraa Gam rahaa hai shaamil, tere dukh me.n, tere Gam me.n
mere pyaar ne diyaa hai, teraa saath har janam me.n
tuu koI janam bhii legaa, meraa saayaa saath hogaa \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
