% ISB File: MerajEGhazal_1983(NON-FILM).txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{dard jab terii ataa hai to gilaa kisase kare.n}%
\film{Meraj-E-Ghazal (Non-Film)}%
\year{1983}%
\starring{}%
\singer{Asha}%
\music{Ghulam Ali}%
\lyrics{Manzoor Ahmer}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 03, 2004

\printtitle
#indian

dard jab terii ataa hai to gilaa kisase kare.n
hijr jab tuune diyaa ho to milaa kisase kare.n

aks bikharaa hai teraa TuuT ke aa_iine ke saath
ho ga_ii zaKm nazar aks chunaa kisase kare.n

mai.n safar me.n huu.N mere saath judaa_ii terii
hamasafar Gam hai.n to phir kisako judaa kisase kare.n

khil uThe gul yaa khule dast\-e\-hinaa_ii tere
har taraf tuu hai to phir teraa pataa kisase kare.n

tere lab terii nigaahe.n tere aariz terii zulf
itane zi.ndaa hai.n to is dil ko rihaa kisase kare.n

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{dayaar\-e\-dil kii raat me.n charaaG saa jalaa gayaa}%
\film{Meraj-E-Ghazal (Non-Film)}%
\year{1983}%
\starring{}%
\singer{Ghulam Ali, Asha}%
\music{Ghulam Ali}%
\lyrics{Nasir Kazmi}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 03, 2004
% all shers were not in the version I heard

\printtitle
#indian

dayaar\-e\-dil kii raat me.n charaaG saa jalaa gayaa
milaa nahii.n to kyaa hu_aa wo shaql to dikhaa gayaa

wo dostii to Kair ab nasiib\-e\-dushmanaa.N hu_ii
wo chhoTii chhotii ra.njisho.n kaa lutf bhii chalaa gayaa

judaa_iyo.n ke zaKm dard\-e\-zi.ndagii ne bhar diye
tujhe bhii nii.nd aa ga_ii mujhe bhii sabr aa gayaa

pukaaratii hai.n fursate.n kahaa.N ga_ii.n wo sohabate.n
zamii.n nigal ga_ii unhe.n yaa aasamaan khaa gayaa

ye subaho kii safediyaa.N ye dopahar kii zardiyaa.N
ab aa_iine me.n dekhataa huu.N mai.n kahaa.N chalaa gayaa

ye kis Kushii kii ret par Gamo.n ko nii.nd aa ga_ii
wo lahar kis taraf ga_ii ye mai.n kahaa.N chalaa gayaa

ga_e dino.n kii laash par pa.De rahoge kab talak
alamkasho uTho ki aafataab sar pe aa gayaa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{dil dha.Dakane kaa sabab yaad aayaa}%
\film{Meraj-E-Ghazal (Non-Film)}%
\year{1983}%
\starring{}%
\singer{Asha}%
\music{Ghulam Ali}%
\lyrics{Nasir Kazmi}%

% Contributor: Raman Kaul <rk_kaul at hotmail dot com>
% Transliterator: V S Rawat, 31 Jul 2004
% Series: GEETanjali
% Credits: Ajit
% Comments: There is a version by Noorjehan also.

\printtitle
#indian

dil dha.Dakane kaa sabab yaad aayaa
vo terii yaad thii ab yaad aayaa

aaj mushkil thaa s.ambhalanaa ai dost
tuu musiibat me.n ajab yaad aayaa

din Guzaaraa thaa ba.Dii mushkil se
phir teraa vaadaa\-e\-shab yaad aayaa

teraa bhuulaa hu_aa paimaan\-e\-vafaa
mar rahe.nge agar ab yaad aayaa

phir ka_ii log nazar se guzare
phir ko_ii shahar\-e\-tarab yaad aayaa

haal\-e\-dil ham bhii sunaate lekin
jab wo ruKasat hu_e tab yaad aayaa

baiTh kar saayaa\-e\-gul me.n 'naasir'
ham bahut ro_e vo jab yaad aayaa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{gaye dino.n kaa suraaG lekar kidhar se aayaa kidhar gayaa wo}%
\film{Meraj-E-Ghazal (Non-Film)}%
\year{1983}%
\starring{}%
\singer{Ghulam Ali, Asha/ Ghulam Ali}%
\music{Ghulam Ali}%
\lyrics{Nasir Kazmi}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 03, 2004
% Above album has duet version.
% Ghulam Ali's solo version is in Live In Concert 2

\printtitle
#indian

% Solo Version:

gaye dino.n kaa suraaG lekar kidhar se aayaa kidhar gayaa wo
ajiib maanuus ajanabii thaa mujhe to hairaan kar gayaa wo

wo hijr kii raat kaa sitaaraa wo ham\-nafas ham\-suKan hamaaraa
sadaa rahe usakaa naam pyaaraa sunaa hai kal raat mar gayaa wo

wo raat kaa be\-navaa musaafir wo teraa shaa_ir wo teraa 'naasir'
terii galii tak to hamane dekhaa thaa phir na jaane kidhar gayaa wo

% solo version I heard ends here

bas ek motii sii chhab dikhaakar bas ek miiThii sii dhun sunaakar
sitaaraa\-e\-shaam ban ke aayaa ba\-ra.ng\-e\-Kaab\-e\-sahar gayaa wo

Kushii kii raat ho yaa Gam kaa mausam nazar use Dhuu.NDhatii hai haradam
wo buu\-e\-gul thaa ki naGmaa\-e\-jaa.N mere to dil me.n utar gayaa wo

na ab wo yaado.n kaa cha.Dhataa dariyaa na fursato.n kii hai os barakhaa
yuu.Nhii zaraa sii kasak hai dil me.n jo zaKm gaharaa thaa bhar gayaa wo

kuchh ab sambhalane lagii hai jaa.N bhii badal chalaa daur\-e\-aasamaa.N bhii
jo raat bhaarii thii Tal ga_ii hai jo din ka.Daa thaa guzar gayaa wo

bas ek ma.nzil hai bul\-hawas kii hazaar raste hai.n ahal\-e\-dil ke
yahii to hai farq mujhame.n usame.n guzar gayaa mai.n Thahar gayaa wo

shikastaa\-paa raah me.n kha.Daa huu.N gaye dino.n ko bhuulataa huu.N
jo qaafilaa meraa hamasafar thaa misaal\-e\-gard\-e\-safar gayaa wo

meraa to Kuu.N ho gayaa hai paanii sitamagaro.n kii palak na bhiigii
jo naalaa uTThaa thaa raat dil se na jaane kyuu.N be\-asar gayaa wo

wo mayakade ko jagaane waalaa wo raat kii nii.nd u.Daane waalaa
ye aaj kyaa usake jii me.n aa_ii ki shaam hote hii ghar gayaa wo

wo jisake shaane pe haath rakh kar safar kiyaa tuune ma.nzilo.n kaa
terii galii se na jaane kyuu.N aaj sar jhukaaye guzar gayaa wo

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{hairato.n ke silasile soz\-e\-nihaa tak aa gaye}%
\film{Meraj-E-Ghazal (Non-Film)}%
\year{1983}%
\starring{}%
\singer{Asha}%
\music{Ghulam Ali}%
\lyrics{Ahmed Nadeem Qasmi}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 03, 2004

\printtitle
#indian

hairato.n ke silasile soz\-e\-nihaa tak aa gaye
ham to dil tak chaahate the tum to jaa.N tak aa gaye

zulf me.n Kushbuu na thii yaa ra.ng aariz me.n na thaa
aap kisakii justajuu me.n gulasitaa.N tak aa gaye

Kud tumhe.n chaak\-e\-garebaa.N kaa sha_uur aa jaayegaa
tum wahaa.N tak aa to jaa_o ham jahaa.N tak aa gaye

unakii palako.n pe sitaare apane ho.nTho.n pe ha.Nsii
qissaa\-e\-Gam kahate kahate ham yahaa.N tak aa gaye

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{karuu.N na yaad magar kis tarah bhulaa_uu.N use}%
\film{Meraj-E-Ghazal (Non-Film)}%
\year{1983}%
\starring{}%
\singer{Asha/ Ghulam Ali}%
\music{Ghulam Ali}%
\lyrics{Ahmed Faraz}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 03, 2004
% The above album details are of Asha version
% Ghulam Ali version is in "At His Very Best"

\printtitle
#indian

karuu.N na yaad magar kis tarah bhulaa_uu.N use
gazal bahaanaa karuu.N aur gunagunaa_uu.N use

wo Kaar Kaar hai shaaK\-e\-gulaab kii maanind
mai.n zaKm zaKm huu.N phir bhii gale lagaa_uu.N use

ye log tazkire karate hai.n apane pyaaro.n ke
mai.n kisase baat karuu.N aur kahaa.N se laa_uu.N use

jo hamasafar sar\-e\-ma.nzil bichha.D rahaa hai 'faraaz'
ajab nahii.n hai agar yaad bhii na aa_uu.N use

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{nainaa tose laage}%
\film{Meraj-E-Ghazal (Non-Film)}%
\year{1983}%
\starring{}%
\singer{Ghulam Ali, Asha}%
\music{Ghulam Ali}%
\lyrics{Naqsh Lyallpuri}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 03, 2004

\printtitle
#indian

nainaa tose laage, saarii rainaa jaage
tuune churaa_ii morii ni.ndiyaa tuu hii chain churaaye

merii saa.Nso.n me.n laharaa_ii a.ng me.n Kushbuu ghole
miiThaa miiThaa dard jagaa_e nas nas me.n tuu Dole
saa.Njh savere ho.nTho.n pe bhii naam teraa hii aaye

saawan maas kii dhuup saa gorii teraa ruup salonaa
ek jhalak me.n kar gayaa roshan man kaa konaa konaa
ra.ng hazaaro.n tuune mere jiiwan me.n bikharaaye

mast hawaa_e.n shaam suhaanii bhiinii rut ke mele
sabako terii aas ho jaise sab hai.n aaj akele
aa.Ngan merii tanhaa_ii kaa tujh bin kaun sajaaye

to.D ke rasmo.n kii za.njiire.n aa dono.n mil jaaye.n
sapane mahake.n aashaa_o.n ke phuul sabhii khil jaaye.n
jo dono.n ke biich hai pal me.n wo duurii miT jaaye

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{phir saawan rut kii pawan chalii tum yaad aaye}%
\film{Meraj-e-Ghazal (Non-Film)}%
\year{1983}%
\starring{}%
\singer{Asha, Ghulam Ali}%
\music{Ghulam Ali}%
\lyrics{Nasir Kazmi}%

% Contributor: Vinay P Jain
% Transliterator: Vinay P Jain
% Credits: Ashok Dhareshwar
% Date: 11 Aug 2004
% Series: Andaaz-e-Bayaan Aur
% generated using giitaayan

\printtitle
#indian

phir saawan rut kii pawan chalii tum yaad aaye
phir patto.n kii paajeb bajii tum yaad aaye

phir kuu.Nje.n bolii.n ghaas ke hare samundar me.n
rut aaii piile phuulo.n kii tum yaad aaye

pahale to mai.n chiikh ke royaa aur phir ha.Nsane lagaa
baadal garajaa bijalii chamakii tum yaad aaye

phir kaagaa bolaa ghar ke suune aa.Ngan me.n
phir amRRit ras kii buu.Nd pa.Dii tum yaad aaye

din bhar to mai.n duniyaa ke dha.ndho.n me.n khoyaa rahaa
jab diiwaaro.n se dhuup Dhalii tum yaad aaye

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{raat jo tuune diip bujhaaye mere the}%
\film{Meraj-E-Ghazal (Non-Film)}%
\year{1983}%
\starring{}%
\singer{Asha}%
\music{Ghulam Ali}%
\lyrics{Saleem Gilani}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 03, 2004

\printtitle
#indian

raat jo tuune diip bujhaaye mere the
ashq jo taariikii ne chhupaaye mere the

kaif\-e\-bahaaraa.N mahar\-e\-nigaaraa.N lutf\-e\-junuu.N
mausam\-e\-gul ke mahake saaye mere the

mere the wo Kaab jo tuune chhiin liye
giit jo ho.nTho.n par murajhaaye mere the

aa.Nchal aa.nchal gesuu gesuu chaman chaman
saarii Kushbuu merii saaye mere the

saahil saahil lahare.n jisako Dhuu.NDhatii hai.n
maazii ke wo mahake saaye mere the

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{ruudaad\-e\-mohabbat kyaa kahiye}%
\film{Meraj-E-Ghazal (Non-Film)}%
\year{1983}%
\starring{}%
\singer{Asha}%
\music{Ghulam Ali}%
\lyrics{Saghar Siddiqui}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 03, 2004

\printtitle
#indian

ruudaad\-e\-mohabbat kyaa kahiye kuchh yaad rahii kuchh bhuul gaye
do din kii masarrat kyaa kahiye kuchh yaad rahii kuchh bhuul gaye

jab jaam diyaa thaa saaqii ne jab daur chalaa thaa mahafil me.n
wo hosh ke saathii kyaa kahiye kuchh yaad rahii kuchh bhuul gaye

ehasaas ke mayakhaane me.n kahaa.N ab fiqr\-o\-nazar kii ka.ndiile.n
aalaam kii shiddat kyaa kahiye kuchh yaad rahii kuchh bhuul gaye

ab apanii haqiiqat bhii 'saagar' bewaqt kahaanii lagatii hai
duniyaa kii haqiiqat kyaa kahiye kuchh yaad rahii kuchh bhuul gaye

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{salonaa saa sajan hai aur mai.n huu.N}%
\film{Meraj-E-Ghazal (Non-Film)}%
\year{1983}%
\starring{}%
\singer{Asha}%
\music{Ghulam Ali}%
\lyrics{Shabih Abbas}%

% Contributor: Vinay P Jain
% Transliterator: Vinay P Jain
% Date: 11 Aug 2004
% Series: Andaaz-e-Bayaan Aur
% generated using giitaayan

\printtitle
#indian

salonaa saa sajan hai aur mai.n huu.N
jiyaa me.n ik agan hai aur mai.n huu.N

tumhaare ruup kii chhaayaa me.n saajan
ba.Dii ThaNDii jalan hai aur mai.n huu.N

churaaye chain raato.n ko jagaaye
piyaa kaa ye chalan hai aur mai.n huu.N

piyaa ke saamane ghuu.NghaT uThaa de
ba.Dii cha.nchal pawan hai aur mai.n huu.N

rachegii jab mere haatho.n me.n me.nhadii
usii din kii lagan hai aur mai.n huu.N

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{yuu.N sajaa chaa.Nd ki chhalakaa tere a.ndaaz kaa ra.ng}%
\film{Meraj-E-Ghazal (Non-Film)}%
\year{1983}%
\starring{}%
\singer{Asha}%
\music{Ghulam Ali}%
\lyrics{Faiz Ahmed Faiz}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 03, 2004

\printtitle
#indian

yuu.N sajaa chaa.Nd ki chhalakaa tere a.ndaaz kaa ra.ng
yuu.N  fizaa mahakii ki badalaa mere hamaraaz kaa ra.ng

saayaa\-e\-chashm me.n hairaa.N ruK\-e\-roshan kaa jamaal
surKii\-e\-lab me.n pareshaa.N terii aawaaz kaa ra.ng

be\-piye huu.N ki agar lutf karo aaKir\-e\-shab
shiishaa\-o\-may me.n Dhale subah ke aaGaaz kaa ra.ng

jab ghule ra.ng bhii the apane lahuu ke dam se
dil ne lay badalii to maddham hu_aa har saaz kaa ra.ng

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
