% ISB File: MughalEAazam_1960.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{ai ishq ye sab duniyaa vaale}%
\film{Mughal-e-Azam}%
\year{1960}%
\starring{Dilip Kumar, Madhubala, Pritvhiraj Kapoor, Ajit, Sheila Dalaya}%
\singer{Lata}%
\music{Naushad}%
\lyrics{Shakeel}%

% Contributor: Hrishi Dixit
% Transliterator: K Vijay Kumar

\printtitle
#indian

ai ishq ye sab duniyaa vaale
bekaar kii baate.n karate hai.n
paayal ke Gamo.n kaa ilm nahii.n
jha.nkaar kii baate.n karate hai.n

har dil me.n chhupaa hai piir koii
har paa.Nv me.n hai za.njiir koii
puuchhe koii un se Gam ke maze
jo pyaar kii baate.n karate hai.n

ulfat ke naye diivaano.n ko
kis tarah se koii samajhaaye
nazaro.n pe lagii hai paabandii
diidaar kii baate.n karate hai.n

bha.Nvare hai.n agar madahosh to kyaa
paravaane bhii hai.n khaamosh to kyaa
sab pyaar ke naGame.n gaate hai.n
sab yaar kii baate.n karate hai.n

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{ai mere mushkil\-kushaa ... bekas pe karam kiijiye}%
\film{Mughal-e-Azam}%
\year{1960}%
\starring{Madhubala}%
\singer{Lata}%
\music{Naushad}%
\lyrics{Shakeel}%

% Contributor: Samiuddin Mohammed <sm0e@lehigh.edu>
% Transliterator: Rajiv Shridhar <rajiv@coe.neu.edu>
% Date: 10/25/1996

\printtitle
#indian

ai mere mushkil\-kushaa, fariyaad hai, fariyaad hai
aapake hote hue duniyaa merii barabaad hai

bekas pe karam kiijiye, sarkaar\-e\-madiinaa
bekas pe karam kiijiye
gardish me.n hai taqadiir bha.Nvar me.n hai safiina	\-2
bekas pe karam kiijiye, sarkaar\-e\-madiinaa
bekas pe karam kiijiye

hai vaqt\-e\-madad aaii biga.Dii ko banaane
goshiidaa nahii.n aapase kuchh dil ke fasaane
zaKmo.n se bharaa hai kisii majabuur kaa siinaa
bekas pe karam kiijiye \threedots

chhaaii hai musiibat kii ghaTaa gesuo.n vaale, gesuo.n vaale
lillaah merii Duubatii kashtii ko bachaale
tuufaan ke aasaar hai.n, dushvaar hai jiinaa
bekas pe karam kiijiye \threedots

gardish me.n hai taqadiir bha.Nvar me.n hai safiina
bekas pe karam kiijiye, sarkaar\-e\-madiinaa
bekas pe karam kiijiye

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{hame.n kaash tum se muhabbat na hotii}%
\film{Mughal-e-Azam}%
\year{1960}%
\starring{Madhubala, Dilip Kumar, Prithviraj Kapoor}%
\singer{Lata}%
\music{Naushad}%
\lyrics{Shakeel}%

% Contributor: K Vijay Kumar
% Transliterator: K Vijay Kumar

\printtitle
#indian

hame.n kaash tum se muhabbat na hotii
kahaanii hamaarii haqiikat na hotii

na dil tum ko dete na majabuur hote
na duniyaa na duniyaa ke dastuur hote
qayaamat se pahale qayaamat na hotii

hamii.n ba.Dh gaye ishq me.n had se aage
zamaane ne Thokar lagaayii to jaage
agar mar bhii jaate to hairat na hotii

tumhii.n phuu.Nk dete nasheman hamaaraa
muhabbat pe ahasaan hotaa tumhaaraa
zamaane se koi shikaayat na hotii

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{mohe panaghaT pe nand_laal chhe.D gayo re}%
\film{Mughal-e-Azam}%
\year{1960}%
\starring{Madhubala, Dilip Kumar, Prithviraj Kapoor, Durga Khote, Ajit}%
\singer{Lata}%
\music{Naushad}%
\lyrics{Shakeel}%

% Contributor: K Vijay Kumar
% Transliterator: K Vijay Kumar

\printtitle
#indian

mohe panaghaT pe nandalaal chhe.D gayo re
morii naajuk kala_iyaa maro.D gayo re
mohe panaghaT pe   \threedots

ka.nkarii mohe maarii, gagariyaa pho.D daarii
morii saa.Dii anaa.Dii bhigoy gayo re
mohe panaghaT pe   \threedots

naino.n se jaaduu kiyaa, jiyaraa moh liyaa
moraa ghuu.NghaTaa najariyo se to.D gayo re
mohe panaghaT pe   \threedots              

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{muhabbat kii jhuuThii kahaanii pe roye}%
\film{Mughal-e-Azam}%
\year{1960}%
\starring{Prithviraj Kapoor, Dilip Kumar, Madhubala}%
\singer{Lata}%
\music{Naushad}%
\lyrics{Shakeel}%

% Contributor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
% Transliterator: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)

\printtitle
#indian

muhabbat kI jhUThI kahAnI pe roye
ba.DI choT khAI (javAnI pe roye \- 2)
muhabbat kI jhUThI \threedots

na sochA na samajhA, na dekhA na bhAlA
terI ArazU ne, hame.n mAr DAlA
tere pyAr kI meharabAnI pe roye, roye
muhabbat kI jhUThI \threedots

khabar kyA thI ho.nTho.n ko sInA pa.DegA
muhabbat chhupA ke bhI, jInA pa.DegA
jiye to magar zindagAnI pe roye, roye
muhabbat kI jhUThI \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{insaan kisiise duniyaa me.n ... pyaar kiyaa to Daranaa kyaa}%
\film{Mughal-e-Azam}%
\year{1960}%
\starring{Prithviraj Kapoor, Dilip Kumar, Madhubala}%
\singer{Lata}%
\music{Naushad}%
\lyrics{Shakeel}%

% Transliterator: Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu)
% Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu)
%          Surajit Bose

\printtitle
#indian

insaan kisii se duniyaa me.n ik baar muhabbat karataa hai
is dard ko lekar jiitaa hai, is dard ko lekar marataa hai

pyaar kiyaa to Daranaa kyaa jab pyaar kiyaa to Daranaa kyaa
pyaar kiyaa koii chorii nahii.n kii pyaar kiyaa\threedots
pyaar kiyaa koii chorii nahii.n kii chhup chhup aahe.n bharanaa kyaa
jab pyaar kiyaa to Daranaa kyaa
pyaar kiyaa to Daranaa kyaa jab pyaar kiyaa to Daranaa kyaa

aaj kahe.nge dil kaa fasaanaa jaan bhii lele chaahe zamaanaa \-2
maut vohii jo duniyaa dekhe
maut vohii jo duniyaa dekhe ghuT ghuT kar yuu.N maranaa kyaa
jab pyaar kiyaa to Daranaa kyaa
pyaar kiyaa to Daranaa kyaa jab pyaar kiyaa to Daranaa kyaa

unakii tamannaa dil me.n rahegii, shammaa isii mahafil me.n rahegii \hbox{\-2}
ishq me.n jiinaa ishq me.n maranaa
ishq me.n jiinaa ishq me.n maranaa aur hame.n ab karanaa kyaa
jab pyaar kiyaa to Daranaa kyaa
pyaar kiyaa to Daranaa kyaa jab pyaar kiyaa to Daranaa kyaa

chhup na sakegaa ishq hamaaraa chaaro.n taraf hai unakaa nazaaraa \-2
paradaa nahii.n jab koii khudaa se
paradaa nahii.n jab koii khudaa se ba.ndo.n se paradaa karanaa kyaa
jab pyaar kiyaa to Daranaa kyaa
pyaar kiyaa to Daranaa kyaa jab pyaar kiyaa to Daranaa kyaa
pyaar kiyaa koii chorii\threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{terii mahafil me.n qismat aazamaa kar ham bhii dekhe.nge}% 
\film{Mughal-e-Azam}%
\year{1960}%
\starring{Prithviraj Kapoor, Dilip Kumar, Madhubala}%
\singer{Lata, Shamshad, chorus}%
\music{Naushad}%
\lyrics{Shakeel}%

% Contributor: mprabhu@magnus.acs.ohio-state.edu
% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
% Comments: For those who haven't seen the movie or had seen it aeons 
%           ago, here is the setting: Saleem (heir apparent to Akbar, the 
%           Great) has returned after several years at the battle front and 
%           is leading a somewhat relaxed life meant to freshen him up. He 
%           gets to see Nadira (dubbed 'Anarkali' by Akbar) and it is love 
%           at first sight between them. However, as usual, there is always 
%           the third person - a rich, upper class girl called Bahaar who 
%           cherishes Saleem's love and dreams of being the empress of the 
%           golden empire. This song is set when the competition is just 
%           beginning to heat up - Saleem is being entertained by both Bahaar 
%           and Anarkali and both of them present their individual viewpoints 
%           on what a true loving life should be like ...

%           Shamshaad Begum sings for Bahaar (Shashikala) and Lata sings 
%           for Anarkali (Madhubala).

\printtitle 
#indian

(aalaap)
s: terI mahafil me.n kismat aazamaa kar ham bhI dekhe.nge 
gha.Dii bhar ko tere nazadiik aakar ham bhI dekhe.nge \- 2 
ajii haa.n ham bhI dekhe.nge \- 2 

l: terI mahafil me.n kismat aazamaa kar ham bhI dekhe.nge 
tere kadamo.n pe sar apanaa jhukaa kar ham bhI dekhe.nge \- 2 
ajii haa.n ham bhI dekhe.nge \- 2 

s: bahaare.n aaj paiGaam\-e\-mohabbat le ke aaii hai.n 
ba.DI muddat me.n ummiido.n kii kaliyaa.n muskuraaI hai.n 
ba.DI muddat me.n ajii haa.n 
ba.DI muddat me.n ummiido.n kii kaliyaa.n muskuraaI hai.n 
Gam\-e\-dil se jaraa daaman bachaakar ham bhI dekhe.nge \- 2 
ajii haa.n ham bhI dekhe.nge 

l: agar dil Gam se khaalii ho to jiine kA mazaa kyA hai 
nA ho khuun\-e\-jigar to ashq piine kA mazaa kyA hai 
nA ho khuun\-e\-jigar haa.n haa.n 
nA ho khuun\-e\-jigar to ashq piine kA mazaa kyA hai 
mohabbat me.n jaraa aa.Nsuu bahaakar ham bhI dekhe.nge \- 2 
ajii haa.n ham bhI dekhe.nge 

s: mohabbat karane vaalo kA hai bas itanaa hii afasaanaa 
ta.Dapanaa chupake chupake aahe.n bharanaa ghuT ke mar jaanaa 
ta.Dapanaa chupake chupake haa.n haa.n 
ta.Dapanaa chupake chupake aahe.n bharanaa ghuT ke mar jaanaa 
kisii din ye tamaashaa muskuraa kar ham bhI dekhe.nge \- 2 
terI mahafil me.n kismat aazamaa kar ham bhI dekhe.nge 
ajii haa.n ham bhI dekhe.nge 

l: mohabbat hamane maanaa zindagii barabaad karatii hai 
ye kyA kam hai ke mar jaane se duniyA yaad karatii hai 
ye kyA kam hai ajii haa.n haa.N 
ye kyA kam hai ke mar jaane se duniyA yaad karatii hai 
kisii ke ishq me.n duniyA luTaakar ham bhI dekhe.nge \- 2 
terI mahafil me.n kismat aazamaa kar ham bhI dekhe.nge 

l: tere kadamo.n pe sar apanaa jhukaakar aa aa \threedots
s: gha.Dii bhar ko tere nazadiik aakar aa aa \threedots
dono.n: terI mahafil me.n kismat aazamaa kar ham bhI dekhe.nge 
s: ajii haa.n ham bhI dekhe.nge 
l: ajii haa.n ham bhI dekhe.nge 

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{wo aaii subah ke ... Kudaa nigahabaan ho tumhaaraa}%
\film{Mughal-e-Azam}%
\year{1960}%
\starring{Prithviraj Kapoor, Dilip Kumar, Madhubala, Durga Khote, Ajit}%
\singer{Lata Mangeshkar}%
\music{Naushad}%
\lyrics{Shakeel}%

% Audio On: www.musicindiaonline.com
% Contributor: Nipun Shah
% Transliterator: Nipun Shah
% Date: Dec 14, 2002
% Series: GEETanjali
% Comments: The film version of the song doesn't have the "hai
waqt-e-rukhsat" stanza. The LP version has both the stanzas, 
% but doesn't have the prelude.
% generated using giitaayan

\printtitle
#indian

%  Prelude
woh aaii subahaa ke parade se maut kii aawaaz
kisii ne to.D diyaa jaise zi.ndagii kaa saaz

Kudaa nigehabaan ho tumhaaraa \- 2
dha.Dakate dil kaa payaam le lo \- 2
tumhaarii duniyaa se jaa rahe.n hai.n
uTho hamaaraa salaam le lo \- 2

(hai waqt\-e\-ruKsat, gale lagaa lo
Kataa_e.n bhii aaj baksha Daalo) \- 2
biCha.Dane waale kaa dil na to.Do
zaraa mohabbat se kaam le lo \- 2

tumhaarii duniyaa se jaa rahe.n hai.n
uTho hamaaraa salaam le lo

(uThe janaazaa jo kal hamaaraa
qasam hai tumako, na denaa kaa.Ndhaa) \- 2
na ho mohabbat hamaarii rusawaa
ye aa.Nsuo.n kaa payaam le lo \- 2

Kudaa nigehabaan ho tumhaaraa
dha.Dakate dil ka payaam le lo

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{ye dil kii lagii kam kyaa hogii}% 
\film{Mughal-e-Azam}%
\year{1960}%
\starring{Prithviraj Kapoor, Dilip Kumar, Madhubala}%
\singer{Lata}%
\music{Naushad}%
\lyrics{Shakeel}%

% Contributor:  mprabhu@magnus.acs.ohio-state.edu
% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)

\printtitle 
#indian

ye dil kii lagii kam kyaa hogii 
ye ishq bhalaa kam kyaa hogaa 
jab raat hai aisI matavaalii \- 2 
phir subah kA aalam kyaa hogaa \- 2 

naGamo se barasatii hai mastii 
chhalake hai.n khushI ke paimaane \- 2 
aaj aisI bahaare.n aaii hai.n 
kal jinake bane.nge afasaane \- 2 
ab ise jyaadaa aur hasii.n ye pyaar kA mausam kyaa hogaa \- 2 
jab raat hai aisI matavaalii 
phir subah kA aalam kyaa hogaa \- 2 

ye aaj kA ra.ng aur ye mahafil 
dil bhI hai yahaa.N diladaar bhI hai \- 2 
aa.Nkho.n me.n kayaamat ke jalave 
siine me.n sulagataa pyaar bhI hai \- 2 
is ra.ng me.n koI jii le agar marane kA use Gam kyaa hogaa \- 2 
jab raat hai aisI matavaalii 
phir subah kA aalam kyaa hogaa \- 2 

haalat hai ajab dIvaano.n kii 
ab khair nahii.n paravaano.n kii \- 2 
anjaam\-e\-mohabbat kyaa kahiye 
laya ba.Dhane lagI aramaano.n kii \- 2 
aise me.n jo paayal TuuT gayii phir ai mere hamadam kyaa hogaa \- 2 
jab raat hai aisI matavaalii \- 2 
phir subah kA aalam kyaa hogaa \- 2 

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{zindaabaad! zindaabaad! ai muhabbat zindaabaad!}%
\film{Mughal-e-Azam}%
\year{1960}%
\starring{Prithviraj Kapoor, Dilip Kumar, Madhubala}%
\singer{Rafi, Chorus}%
\music{Naushad}%
\lyrics{Shakeel}%

% Contributor:  mprabhu@magnus.acs.ohio-state.edu
% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)

\printtitle
#indian

zindaabaad! zindaabaad! (ai muhabbat zindaabaad! \-2)
zindaabaad! zindaabaad! (ai muhabbat zindaabaad! \-2)

(daulat kii za.njiiro.n se tuu \-2) rahatii hai aazaad

zindaabaad! zindaabaad! (ai muhabbat zindaabaad! \-2)

mandir me.n masjid me.n tuu aur tuu hii hai iimaano.n me.n
muralii kii taano.n me.n tuu aur tuu hii hai aazaano.n me.n
tere dam se diin\-dharam kii duniyaa hai aabaad

zindaabaad! zindaabaad! (ai muhabbat zindaabaad! \-2)

pyaar kii aa.Ndhii ruk na sakegii nafarat kii diivaaro.n se
Kuun\-e\-muhabbat ho na sakegaa Ka.njar se talavaro.n se
mar jaate hai.n aashiq zindaa rah jaatii hai yaad

zindaabaad! zindaabaad! (ai muhabbat zindaabaad! \-2)

(koras: aa aa aa \threedots)

ishq baGaawat kar baiThe to duniyaa kaa ruK mo.D de
aag lagaa de mahalo.n me.n aur taKt\-e\-shaahii chho.D de
siinaa taane maut se khele kuchh na kare fariyaad

rafii, koras:
zindaabaad! zindaabaad! \-2 (ai muhabbat zindaabaad! \-2)

koras: aa aa aa\threedots aa aa aa aa aa aa aa\threedots

taaj hukuumat jisakaa mazahab phir usakaa iimaan kahaa.N \-2
jisake dil me.n pyaar na ho, wo paththar hai inasaan kahaa.N \-2
pyaar ke dushman hosh me.n, aa ho jaayegaa barabaad!

rafii, koras:
zindaabaad! zindaabaad! (ai muhabbat zindaabaad! \-2)

(rafii: zindaabaad! zindaabaad!  zindaabaa{\threedots}d!)
(koras: zindaabaad! zindaabaad!  zindaabaad! zindaabaad!)

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
