% ISB File: Munimji_1955.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{aa.Nkh khulate hii tum chhup gaye ho kahaa.N}%
\film{Munimji}%
\year{1955}%
\starring{Dev Anand, Nalini Jaywant, PRan}%
\singer{Lata}%
\music{S D Burman}%
\lyrics{Sahir}%

% Contributor: Srinivas Ganti
% Transliterator: K Vijay Kumar
% Comments: A Tribute to Sachin Dev Burman #6

\printtitle
#indian

aa.Nkh khulate hii tum chhup gaye ho kahaa.N
tum abhii the yahaa.N, tum abhii the yahaa.N

abhii saa.Nso.n kii khush_buu havaaon me.n hai
abhii kadamo.n kii aahaT fizaa_o.n me.n hai
abhii shaakho.n pe hai u.ngaliyo.n ke nishaa.N
tum abhii the yahaa.N, tum abhii the yahaa.N
aa.Nkh khulate hii tum \threedots

tum judaa hoke bhii merii raaho.n me.n ho
garm ashko.n me.n ho, sard aaho.n me.n ho
chaa.Ndanii me.n jhalakatii hai.n parchhaa_iyaa.N
tum abhii the yahaa.N, tum abhii the yahaa.N
aa.Nkh khulate hii tum \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{bam bam bholaa ... shivajii bihaane chale}%
\film{Munimji}%
\year{1955}%
\starring{Dev Anand,Nalini Jaywant,Pran}%
\singer{Hemant, Chorus}%
\music{S D Burman}%
\lyrics{Shailendra}%

% Contributor: Prithviraj Dasgupta
% Transliterator: Prithviraj Dasgupta
% Date: April 11, 2002
% Availability: HMV CD - Muminji/Pocketmaar sdtrk

\printtitle
#indian

he: bom bom bholaa \-4

ho shivajii bihaane chale
paalkii sajaayke
bhabhuti lagaaye ke laa

o shivajii bihaane chale
paal_kii sajaayake
ko: baabhuuti lagaaye ke
paalkii sajaayake laa

he: o jab shiv baabaa kare taiyaarii
kaike sakal samaan ho
Daine a.ng trishuul viraaje
naache bhut shaitaan ho
brahmaa chale.n vishhnuu chale.n
lai ke ved puraaN ho
sha.nkh chakra aur gadaa dhanushh lai
chale.n shrii bhagawaan ho
aur ban\-Than ke chale.n bom bholaa
li_e bhaa.ng dhaatuur kaa golaa
bole ye haradam
chale la.Dakaa paraa_ii ke
ko: baabhuuti lagaaye ke
paalkii sajaayake laa \threedots

ko: ho_ii aayii ho_ii aayaa
aa aa aa aa aa aa

he: o maataa matadin par cha.nchal lii
tilak jalii liilaar ho
kaalaa nag ga.rdan ke niiche
vohuu dilan phuusakaar ho
lotaa phe.nk ke bhaag chalailii
taavij nikhal liilaar ho
in kii sa.ngii baahan kar go
gaurii rahii ku.Nvaarii ho
kahe pa.rvatii samajhaayii
batiyaa maano hamaro maa_ii
jai bharaile haa.N ham ka.rmavaa liiThaa ke
ko: baabhuuti lagaaye ke
paalkii sajaayake laa \threedots

ko: om namahaa shivaay
om namaah svaahaay

he: o jab shiv baabaa ma.Davaa gaile
holaa ma.ngalaa chaar ho
baabaa pa.nDit ved vichaare
holaa gussaa chaar ho
bajarabaTii kii lagii jhaalarii
naagin kii adhikaar ho
vij ma.Davaa me naavan ailii
kare jha.ngan va.Diiyaar ho
e go naagin gile vidaa_ii
naavan gi_uule chale baraatii
%one line missing here...skip in track I heard
chale.n devataa ThaThaay ke
ko: baabhuuti lagaaye ke
paalkii sajaayake laa \threedots

ko: aa aa aa aa aa
aa aa aa aa aa aa

he: to komal ruup dhare shiv\-sha.nkar
khushii bhaye nar\-naarii ho
raajahii naachan gaan karaaile
ijjat rahe.n hamaar ho
rahe var saathii shiv\-sha.nkar se
kehuu ke na paaval paar ho
in ke jaTaa se ga.ngaa bahalii
mahimaa agam apaar ho
jai shiv\-sha.nkar dhyaan lagaaye
in ke tiino.n log dikhaaye
kahe duHkh haraN yahii
chhaDo banovaa ke
ko: baabhuuti lagaaye ke
paal_kii sajaayake laa \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{dil kii uma.nge.n hai.n javaa.N}%
\film{Munimji}%
\year{1955}%
\starring{Dev Anand, Nalini Jaywant, Pran}%
\singer{Hemant, Geeta, Pran}%
\music{S D Burman}%
\lyrics{Sahir}%

% Contributor: Prithviraj Dasgupta
% Transliterator: K Vijay Kumar

\printtitle
#indian

he :  dil kii uma.nge.n hai.n javaa.N
      ra.ng me.n Duubaa hai samaa
      mai.n ne tumhe.n jiit liyaa
      haar ke dono.n jahaa.N

gii:  aap bhii gaa_ie naa?
      kyaa mushkil hai? saragam bataa_uu.N

      pa ma pa dha pa ga sa pa
      dil kii uma.nge.n hai.N javaa.N
      gaa_ie

praa: dil kii uma.nge.n hai.n javaa.N
gii:  bahut achchhe
praa: ra.ng me.n Duubaa hai samaa
gii:  vaah vaah vaah

he:   dil kii uma.nge.n hai.n javaa.N
      aa haa haa haa haa haa haa
gii:  gaa_ie gaa_ie gaa_ie
praa: o ho ho ho ho ho ho
gii:  kyaa kahane

he:   o~ o~ o~ o~ o~
      sadiyo.n puraanii ye zamiin
      hai aaj kitanii hasiin
      aataa nahii.n hai yakiin
      hotaa nahii.n hai bayaa.N

gii:  aap bhii gaa_ie
praa: dil kii uma.nge.n hai.n javaa.N
      ra.ng me.n Duubaa hai samaa
gii:  jiyo jiyo
praa: mai.n ne tumhe.n jiit liyaa
he:   uu.N huu.N, mai.n ne tumhe.n jiit liyaa
      haar ke dono.n jahaa.N
      dil kii uma.nge.n hai.n javaa.N

      bhiige nazaaro.n se kaho
      gaatii havaao.n se kaho o o
      jaatii bahaaro.n se kaho
      ruk jaaye aaj yahaa.N

      dil kii uma.nge.n hai.n javaa.N

gii:  gaa_ie naa
      kyaa mazaa aa rahaa hai
      huu.N huu.N huu.N
praa: dil kii uma.nge.n hai.n javaa.N
      ra.ng me.n Duubaa hai samaa
he:   mai.n ne tumhe.n jiit liyaa
      haar ke dono.n jahaa.N
      dil kii uma.nge.n hai.n javaa.N

he:   o~ o~ o~ o~ o~
gii:  huu.N huu.N huu.N
      bechain tanhaa_iyaa.N
      letii hai.n anga.Daa_iyaa.N
      halkii sii shahanaa_iyaa.N
      bajatii hai.n jaane kahaa.N

      gaa_ie na ek baar aur

praa: dil kii uma.nge.n hai.n javaa.N
      ra.ng me.n Duubaa hai samaa

he:   mai.n_ne tumhe.n jiit liyaa
      haar ke dono.n jahaa.N

gii:  aa_ie na aap bhii naachiye

he, gii: dil kii uma.nge.n hai.n javaa.N
         ra.ng me.n Duubaa hai samaa
he:      mai.n ne tumhe.n jiit liyaa
gii:     uu.N, huu.N mai.n ne tumhe.n jiit liyaa
he, gii: haar ke dono.n jahaa.N

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{ek nazar bas ek nazar jaan\-e\-tamannaa dekh idhar}%
\film{Munimji}%
\year{1955}%
\starring{Dev Anand, Nalini Jaywant, Pran}%
\singer{Lata}%
\music{S D Burman}%
\lyrics{Sahir}%

% Contributor: Srinivas Ganti
% Transliterator:
% Date:02/07/2000
% Comments: A Tribute to Sachin Dev Burman #11

\printtitle
#indian

ek nazar bas ek nazar jaan\-e\-tamannaa dekh idhar
ek nazar bas ek nazar

kuchh to bataa ai jaan\-e\-vafaa terii adaa sharamaatii hai kyo.n
kuchh to bataa ai jaan\-e\-vafaa
kuchh to bataa ai jaan\-e\-vafaa terii adaa sharamaatii hai kyo.n
ha.Nsake lipaTatii thii jo gale se ab vo nazar kataraatii hai kyo.n
pahale lagaanaa,
pahale lagaanaa phir tarasaanaa Thiik nahii.n mere dil_bar
ek nazar ek nazar

ham bhii hai.n tere diivaane dil bhii hai teraa diivaanaa
ham bhii hai.n tere diivaane
ham bhii hai.n tere diivaane dil bhii hai teraa diivaanaa
ruuh ke soye taar jagaake chhe.D de aisaa afasaanaa
dono.n jahaa.N se,
dono.n jahaa.N se ham kho jaa_e.n kuch bhii rahe naa apanii khabar
ek nazar ek nazar

ek nazar bas ek nazar jaan\-e\-tamanna dekh idhar
ek nazar ek nazar

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{ghaayal hiraNiyaa, mai.n ban\-ban Doluu.N}%
\film{Munimji}%
\year{1955}%
\starring{}%
\singer{Lata}%
\music{S D Burman}%
\lyrics{Shailendra}%

% Contributor: Malini Kanth <MaliniX_Kanth@ccm.hf.intel.com>
% Transliterator: Rajiv Shridhar <rajiv@coe.neu.edu>
% Date: 11/02/1996

\printtitle
#indian

ghaayal niraNiyaa, mai.n ban\-ban Doluu.N
kisakaa lagaa baaN \-2, mukh se na boluu.N
ghaayal hiraNiyaa \threedots

mu.D ke jo dekhuu.N to bachapan bulaae, bulaae \threedots
mu.D ke jo dekhuu.N to bachapan bulaae
palako.n me.n lekin koii muskuraae
jii ko dukhaauu.N, ke pii sa.Ng ho luu.N
ghaayal hiraNiyaa, mai.n ban\-ban Doluu.N

aa aa aa aa, ho ho ho ho, mm mm mm mm, la la la laa 
paa paa nii, paa paa saa, paa paa re
maa dhaa, paa saa, dhaa re, shh
maa paa, saa saa saa saa saa, gaa re saa, gaa re saa,
gaa re maa, gaa re saa nii dhaa paa maa gaa
gaa \threedots re saa nii dhaa paa maa gaa re
maa dhaa nii saa, gaa re saa

jab se ye nainaa, balam sa.Ng laage 
jab se ye nainaa \threedots balam sa.Ng laage 
jab se ye nainaa, balam sa.Ng laage 
dukh\-sukh mere man me.n ik saath jaage
pal me.n ha.Nsuu.N, pal me.n nainaa bhigo luu.N
ghaayal hiraNiyaa, mai.n ban\-ban Doluu.N

ghaa ghaa ghaa ghaa ghaa ghaa ghaa ghaa ghaayal hiraNiyaa
ban ban ban ban ban Doluu.N
na na na na na na na na na na na na boluu.N
na Doluu.N, na boluu.N
na Daa Daa Daa Daa Daa Daa Daa Daa Daa Daa Daa Daa Doluu.N
aa aa aa \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{jiivan ke safar me.n raahii}%
\film{Munimji}%
\year{1955}%
\starring{Dev Anand, Nalini Jaywant, Pran}%
\singer{Kishore/ Lata}%
\music{S D Burman}%
\lyrics{Sahir}%

% Transliterator: Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu)
% Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu)
%          Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu)

\printtitle
#indian

jiivan ke safar me.n raahii, milate hai.n bichha.D jaane ko
aur de jaate hai.n yaade.n, tanahaaii me.n ta.Dapaane ko
jiivan ke safar\threedots

ye ruup kii daulata vaale, kab sunate hai.n dil ke naale
taqadiir na bas me.n Daale, inake kisii diivaane ko
jiivan ke safar\threedots

jo inakii nazar se khele, dukh paae musiibat jhele
phirate hai.n ye sab alabele, dil leke mukar jaane ko
jiivan ke safar\threedots

dil leke dagaa dete hai.n, ik rog lagaa dete hai.n
ha.Ns ha.Ns ke jalaa dete hai.n, ye husn ke paravaane ko
jiivan ke safar\threedots

ab saath na guzare.nge ham, lekin ye fizaa raato.n kii
doharaayaa karegii haradam, is pyaar ke afasaane ko
jiivan ke safar\threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{nain khoyii khoyii tere dil me.n bhii kuchh hoye re}%
\film{Munimji}%
\year{1955}%
\starring{Dev Anand, Nalini Jaywant, Pran}%
\singer{Lata, Chorus}%
\music{S D Burman}%
\lyrics{Shailendra}%

% Contributor: Srinivas Ganti 
% Transliterator: V S Rawat

\printtitle 
#indian 

La:nain khoyii khoyii tere dil me.n bhii kuchh hoye re
pyaar ye nahii to aur kyaa hai
Chorus:nain khoyii khoyii tere dil me.n bhii kuchh hoye

La:nain khoyii khoyii tere dil me.n bhii kuchh hoye re
pyaar ye nahii to aur kyaa hai
ho.nTho.n pe inakaar terii aa.Nkho.n me.n ikaraar hai
pyaar ye nahii to aur kyaa hai
Chorus:nain khoyii khoyii tere dil me.n bhii kuchh hoye re
pyaar ye nahii to aur kyaa hai

La:dil hii dil me.n teraa balakhaanaa
dil hii dil me.n teraa balakhaanaa
man me.n haa haa magar muu pe naa naa
man me.n haa haa
Chorus:man me.n haa haa magar muu pe naa naa
La:badii badii aa.Nkho.n se leke nishaanaa
gha.Dii gha.Dii
gha.Dii gha.Dii tiir chalaate teraa sharamaanaa
pyaar ye nahii to aur kyaa hai
nain khoyii khoyii tere dil me.n bhii kuch hoye re
Chorus:pyaar ye nahii to aur kyaa hai

La:unake muu pe laaj kaa gulaal ra.ng laaye re
unake muu pe laaj kaa gulaal ra.ng laaye re
badalii ke din jaise dhuup aaye jaaye re
Chorus:dhuup aaye jaaye
La:dil pe lagii chhoT
dil pe lagii chhoT koii kab tak chhupaye re
miithii miithii
miithii miithii tiiro.n(?) se dil ko mazaa aaye re
pyaar ye nahiin to aur kyaa hai
nain khoyii khoyii tere dil me.n bhii kuchh hoye re
Chorus:pyaar ye nahii to aur kyaa hai

niibu kii(bhuukii?) paakii sii baakii ye akhiyaa.N
niibu kii paakii sii baakii ye akhiyaa.N
thiikii thiikii ye zulmii palakhiyaa.N
(these lines don't make any sense to me but
that's what my ears could catch)
tiikii tiikii
Chorus:tiikii tiikii ye zulmii palakhiyaa.N
na dekhe din aur na dekhhe ratiyaa.N
chorii chorii
chorii chorii dekho chhe.D chha.d kare akhiyaa.N
pyaar ye nahii to aur kyaa hai
nain khoyii khoyii tere dil me.n bhii kuchh hoye re
Chorus:pyaar ye nahii to aur kyaa hai
ho.nTho.n pe inakaar terii aa.Nkho.n me.n ikaraar hai
Chorus:pyaar ye nahii to aur kyaa hai
La:aaa aa
Chorus:pyaar ye nahii to aur kyaa hai
La:aaa aa
Chorus:pyaar ye nahii to aur kyaa hai

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{saajan bin nii.nd na aave}%
\film{Munimji}%
\year{1955}%
\starring{Dev Anand, Nalini Jaywant, Pran}%
\singer{Lata}%
\music{S D Burman}%
\lyrics{Sahir}%

% Contributor:Srinivas Ganti
% Date:Feb 20, 2001
% Comments:SDB series

\printtitle
#indian

saajan bin nii.nd na aave
viraha sataave un bin mohe kachuna bhaave
(kaise kahuu.N mai.n)\-3
saajan bin\threedots

ma pa
sa ni da pa ma pa ma
ma ga pa ma aa aaa
(karake thho.De din kii priit
man se ruuTe man ke miit)\-2
dukh ke sapan dukh ke giit
(kaise kahuu.N mai.n)\-3
saajan bin\threedots

(tan ko phuuke man kii yaad
man ko phuuke viraha raag)\-2
apane apane sab(?) ke Daag
(kaise kahuu.N mai.n)\-3
saajan bin\threedots

saajan bin nii.nd na aave
viraha sataave un bin mohe kachuna bhaave
(kaise kahuu.N mai.n)\-3
saajan bin\threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
