% ISB File: Naastik_1954.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{amR^it aur zahar dono.n hai.n ... tere phuulo.n se bhii pyaar}%
\film{Nastik}%
\year{1954}%
\starring{Ajit, Nalini Jayawant}%
\singer{Lata}%
\music{C Ramchandra}%
\lyrics{Pradeep}%

% Contributor: Neha Desai
% Transliterator: K Vijay Kumar
% Credits: Srinivas Ganti

\printtitle
#indian

amR^it aur zahar dono.n hai.n saagar me.n ek saath
manthan kaa adhikaar hai sab ko phal prabhu tere haath

tere phuulo.n se bhii pyaar
tere kaa.nTo.n se bhii pyaar
jo bhii denaa chaahe de de karataar
duniyaa ke taaraNahaar
tere phuulo.n se bhii pyaar \threedots

chaahe sukh de yaa dukh, chaahe khushii de yaa Gam \-2
maalik jaise bhii rakhegaa vaise rah le.nge ham
maalik rah le.nge ham
chaahe ha.Nsii bharaa sa.nsaar de yaa aa.Nsuo.n kii dhaar
jo bhii denaa chaahe de de karataar
duniyaa ke taaraNahaar \thredots

ham ko dono.n hai.n pasa.nd terii dhuup aur chhaa.Nv \-2
daataa kisii bhii dishaa me.n le chal zi.ndagii kii naav
le chal zi.ndagii kii naav
chaahe hame.n lagaa de paar Dubaa de chaahe hame.n ma.njhadhaar
jo bhii denaa chaahe de de karataar
duniyaa ke taaraNahaar \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{bhuule bhaTake logo ... jay jay raam raghuraa_ii}%
\film{Naastik}%
\year{1954}%
\starring{Nalini Jaywant, Ajit, Ulhas, Raj Mehra}%
\singer{Lata, Chorus}%
\music{C Ramchandra}%
\lyrics{Pradeep}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, May 25, 2005

\printtitle
#indian

la:	bhuule bhaTake logo baa.ndho prabhuu sa.ng priit
	jinake man me.n raam basat hai.n unakii hameshaa jiit	

ko:	jay jay raam raghuraa_ii \-2
	jay jay krishan kanhaa_ii \-2
	jay jay raam raghuraa_ii \-2

la:	kaun chhuyegaa usakii parachhaa_ii re \-2
	jisako bachaane waalaa saa_ii.n
	suno re bhaa_ii jisako bachaane waalaa saa_ii.n
ko:	jay jay raam raghuraa_ii \-2
la:	kitanii bha.Nwar me.n pha.Nsii.n naukaaye.n \-2
	prabhuu ne kinaare lagaa_ii.n
	suno re bhaa_ii prabhuu ne kinaare lagaa_ii.n
ko:	jay jay raam raghuraa_ii \-2
	jay jay krishan kanhaa_ii \-2
	jay jay raam raghuraa_ii \-2

la:	jab arjun par sa.nkaT chhaayaa 
	prabhuu ne sudarshan ghumaayaa
ko:	suno re bhaa_ii prabhuu ne sudarshan ghumaayaa \-2
la:	aa kaThin samay jab brij par aayaa
	prabhuu ne govardhan uThaayaa
ko:	suno re bhaa_ii prabhuu ne govardhan uThaayaa \-2
la:	satii draupadii ko bhii bachaayaa
	bharii sabhaa me.n chiir ba.Dhaayaa
	bhakt jano.n kii sab chi.ntaaye.n \-2
	prabhuu ne pal me.n miTaa_ii.n
	suno re bhaa_ii prabhuu ne pal me.n miTaa_ii.n
ko:	jay jay raam raghuraa_ii \-2
la:	kaun chhuyegaa usakii parachhaa_ii re \-2
	jisako bachaane waalaa saa_ii.n
	suno re bhaa_ii jisako bachaane waalaa saa_ii.n
ko:	jay jay raam raghuraa_ii \-2
	jay jay krishan kanhaa_ii \-2
	jay jay raam raghuraa_ii \-2

la:	jab prahalaad ko agan me.n Daala
	shiital ho ga_ii jwaalaa
ko:	suno re bhaa_ii shiital ho ga_ii jwaalaa \-2
la:	aa pii ga_ii miiraa zahar kaa pyaalaa
	viSh amrit kar Daalaa
ko:	suno re bhaa_ii viSh amrit kar Daalaa \-2
la:	maut ke mu.Nh se gaj ko nikaalaa
	baalak dhruv ko ban me.n sambhaalaa
	ko_ii nahii.n jag me.n prabhuu jaisaa \-2
	likh gaye tulasii gosaa_ii.n
	suno re bhaa_ii likh gaye tulasii gosaa_ii.n
ko:	jay jay raam raghuraa_ii \-2
la:	kaun chhuyegaa usakii parachhaa_ii re \-2
	jisako bachaane waalaa saa_ii.n
	suno re bhaa_ii jisako bachaane waalaa saa_ii.n
ko:	jay jay raam raghuraa_ii \-2
	jay jay krishan kanhaa_ii \-2
	jay jay raam raghuraa_ii \-12
la:	jay jay raam raghuraa_ii \-2

la:	jay jay raam

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{dekh tere sa.nsaar kii haalat kyaa ho ga_ii bhagavaan}%
\film{Nastik}%
\year{1954}%
\starring{Ajit, Nalini Jaywant}%
\singer{Pradeep}%
\music{C Ramchandra}%
\lyrics{Pradeep}%

% Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org)
% Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu)
%          Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu)
%          Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu)
%          Prithviraj Dasgupta
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)

\printtitle
#indian

dekh tere sa.nsaar kii haalat kyaa ho ga_ii bhagavaan
kitanaa badal gayaa inasaan kitanaa badal gayaa inasaan
suuraj na badalaa chaa.nd na badalaa naa badalaa re aasamaan
kitanaa badal gayaa inasaan kitanaa badal gayaa inasaan

aayaa samay ba.Daa beDha.ngaa
aaj aadamii banaa lafa.ngaa
kahii.n pe jhaga.Daa kahii.n pe da.ngaa
naach rahaa nar ho kar na.ngaa
chhal aur kapaT ke haatho.n apanaa
bech rahaa iimaan, kitanaa \threedots

raam ke bhakt rahiim ke ba.nde
rachate aaj fareb ke pha.nde
kitane ye makkar ye a.ndhe
dekh liye inake bhii dha.ndhe
inhii.n kii kaalii karatuuto.n se
banaa ye mulk mashaan, kitanaa \threedots

jo ham aapas me.n na jhaga.Date
bane hue kyo.n khel biga.Date
kaahe laakho.n ghar ye uja.Date
kyo.n ye bachche maa.N se bichha.Date
phuuT\-phuuT kar kyo.n rote
pyaare baapuu ke praaN, kitanaa \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{duniyaa bhar ke naastik ... zor lagaa le are zamaane}%
\film{Naastik}%
\year{1954}%
\starring{Nalini Jaywant, Ajit, Ulhas, Raj Mehra}%
\singer{Lata, Chitalkar, Chorus}%
\music{C Ramchandra}%
\lyrics{Pradeep}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, May 25, 2005

\printtitle
#indian

chi:	duniyaa bhar ke naastik kitane namak haraam
	apanaa doSh na dekhate prabhuu ko kare.n badanaam

	zor lagaa le are zamaane kitanaa zor lagaayegaa
	is jag me.n bhagawaan kaa jhaNDaa kabhii na jhukane paayegaa
ko:	om hari om hari om hari om
chi:	prabhuu kii ni.ndaa karane waalaa dharatii me.n dha.Ns jaayegaa
	is jag me.n bhagawaan kaa jhaNDaa kabhii na jhukane paayegaa
ko:	om hari om hari om hari om

chi:	nahii.n hu_aa hai kabhii na hogaa harii sariikhaa daanii
	saare jag ko muft de rahaa agan pawan aur paanii
	paal rahaa apanii dharatii par wo sabakii zi.ndagaanii
	badale me.n letaa na kisii se ek bhii kau.Dii kaanii
	kaun jagat me.n apanaa Kazaanaa hari kii tarah luTaayegaa

ko:	is jag me.n bhagawaan kaa jhaNDaa kabhii na jhukane paayegaa
	om hari om hari om hari om

chi:	aaye is duniyaa me.n karo.Do.n gaye karo.Do.n raahii
	karmo.n ke anusaar bhog kar Kushiyaa.N aur tabaahii
	laakh laakh sadiyo.n se dete suuraj chaa.Nd gawaahii
	prabhuu kaa aasan aaj talak hai jaisaa kaa taisaa hii
	na ko_ii fauj hai na ko_ii palTan na hai ko_ii sipaahii
	fakat ishaaro.n se chalataa hai kaam prabhuu kaa shaahii
	ye aakaash pe likhaa lekh hai isako kaun miTaayegaa

ko:	is jag me.n bhagawaan kaa jhaNDaa kabhii na jhukane paayegaa
	om hari om hari om hari om \-4
	om hari om
	om hari om hari om hari om \-4

la:	dhany prabhuu kaa chamatkar hai dhany prabhuu kii maayaa
	dhany prabhuu kii maayaa
	subah kaa bhuulaa hu_aa shaam ko phir waapas ghar aayaa
	dhany prabhuu kii maayaa
	jaaduugar bhagawaan ne mujhako kyaa jaaduu dikhalaayaa \-2
	bahut dino.n ke bichha.De saathii se phir mujhe milaayaa \-2
chi:	ghuTane Tek prabhuu ke aage \-2
	be.Daa paar lagaayegaa
ko:	is jag me.n bhagawaan kaa jhaNDaa kabhii na jhukane paayegaa
	om hari om hari om hari om
	zor lagaa le are zamaane kitanaa zor lagaayegaa
	is jag me.n bhagawaan kaa jhaNDaa kabhii na jhukane paayegaa
	om hari om hari om hari om \-4
	om hari om \-4

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{gagan jhanajhanaa rahaa}%
\film{Naastik}%
\year{1954}%
\starring{Nalini Jaywant, Ajit,  Ulhas, Raj Mehra}%
\singer{Hemant, Lata, Chorus}%
\music{C Ramchandra}%
\lyrics{Pradeep}%

% Contributor: Prithviraj Dasgupta
% Transliterator: Prithviraj Dasgupta
% Credits: Satish Kalra
% Date: Mar 18, 1998
% Availability: Nastik/Nadiya Ke paar HMV sdtrk CD

\printtitle
#indian

he: gagan jhanajhanaa rahaa
pavan sanasanaa rahaa
lahar lahar pe aaj hai tuufaan
ho naiyaawaale ho saavadhaan

la: he brahmaa, he vishhnuu,
he sha.nkar sa.rva shaktimaan,
rakshaa karo rakshaa karo he dayaa nidhaan
mere patt raakho bhagawaan

ko: aa aa aa aa

he: himmat na haar prabhu ko pukaar
vah hii terii naiyaa lagaa_egaa paar
tanik bhii tilamilaanaa na
zaraa bhii dil hilaanaa na
hazaar haathawaalaa hai bhagawaan 
ho naiyaawaale ho saavadhaan

la: he govindaa he mukundaa
sa.nkaT me aaj meraa praaN
rakshaa karo rakshaa karo he dayaa nidhaan
mere patt raakho bhagawaan

ko: he bhagawaan he bhagawaan

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{hone lagaa hai mujhape jawaanii kaa ab asar}%
\film{Nastik}%
\year{1954}%
\starring{Nalini Jaywant, Ajit}%
\singer{Lata}%
\music{C Ramchandra}%
\lyrics{Pradeep}%

% Contributor: Abhay Phadnis
% Transliterator: Abhay Phadnis
% Date: 5 Dec 2004
% Series: Latanjali
% generated using giitaayan

\printtitle
#indian

(hone lagaa hai mujh pe jawaanii kaa ab asar
jhukii jaa_e nazar) \-2
dekho chhalak pa.Dii hai mere ruup kii gagar
jhukii jaa_e nazar, ho.a jhukii jaa_e nazar
hone lagaa hai mujh pe jawaanii kaa ab asar
jhukii jaa_e nazar

(ik aisii Dagar par aa_ii merii umar
damakii hai merii duniyaa jhamakii merii jhaa.njhar) \-2
dulhan kii tarah
dulhan kii tarah aaj mai.n ban Than chalii kidhar
jhukii jaa_e nazar, ho.a jhukii jaa_e nazar

hone lagaa hai \threedots

(musakaa rahaa hai man, sharamaa rahe nayan
palako.n me.n jhuumane lage pyaar ke sapan) \-2
chupakese mere
chupakese mere dil me.n ko_ii kar rahaa hai ghar
jhukii jaa_e nazar
ho.a jhukii jaa_e nazar

hone lagaa hai \threedots

(apanaa hai ab ye haal laTapaT hu_ii hai chaal
mai.n aise Doluu.N jaise Dole pavan me.n Daal) \-2
pa.Dane lage hai.n
pa.Dane lage hai.n paa.Nv mere ab idhar udhar
jhukii jaa_e nazar
ho.a jhukii jaa_e nazar

hone lagaa hai mujh pe jawaanii kaa ab asar
jhukii jaa_e nazar, ho.a jhukii jaa_e nazar

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{kaanhaa bajaae ba.nsarii}%
\film{Naastik}%
\year{1954}%
\starring{Nalini Jaywant, Ajit,  Ulhas, Raj Mehra}%
\singer{Lata, Chorus}%
\music{C Ramachandra}%
\lyrics{Pradeep}%

% Contributor: Devendra Sharma
% Comments: LATAnjali
% Date: 5 January, 2003

\printtitle
#indian

kaan{}haa bajaa{}e ba.nsarii aur gwaale bajaa{}e.n ma.njiire
ho gopiyaa.N naache.n chhumak chhum

gore\-gore haatho.n me.n ka.nganaa khanake
cha.nchal paavo.n me.n dekho pai.njaniyaa chhanake
Dholak dhamaak bole jhaa.njh bhii jhamaak bole
dhuum machii hai jamunaa tiire
ho gopiyaa.N naache.n chhumak chhum
kaan{}haa bajaa{}e ba.nsarii\threedots

naa tan kaa dhyaan rahaa naa man kaa dhyaan re
aaj sabhii sundariyaa.N bhuulii hai.n bhaan re
sakhiyo.n ke sa.ng sa.ng
Thanak rahii hai mR^ida.ng
pulakit hai a.ng a.ng
man me.n uchhale tara.ng
jhuum jhuum kaaminiyaa aisii huii baavalii
baalo.n kii laT ulajhii re
ho gopiyaa.N naache.n chhumak chhum
kaan{}haa bajaa{}e ba.nsarii\threedots

chhaayaa bR^i.ndaaban me.n aaj ajab ra.ng hai
dharatii chakaraa rahii hai aasamaan da.ng hai
kaisaa hai ye kamaal
daso.n dishaa{}e.n nihaal
jamunaa detii hai taal
u.Dane lagii vaijamaal
jhukane lagii Daal Daal
tham ga{}ii pawan kii chaal
baarah gho.Do.n vaalaa suuraj kaa rath bhii
chalane lagaa re dhiire dhiire
ho gopiyaa.N naache.n chhumak chhum
kaan{}haa bajaa{}e ba.nsarii\threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{kaise aaye hai.n din haay a.ndher ke}%
\film{Naastik}%
\year{1954}%
\starring{Nalini Jaywant, Ajit, Ulhas, Raj Mehra}%
\singer{Lata}%
\music{C Ramchandra}%
\lyrics{Pradeep}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, May 25, 2005

\printtitle
#indian

aa
kaise aaye hai.n din haay a.ndher ke
baiThe balamaa hamaare najar pher ke \-2
baat kyaa hai jo ruuThe ba.Dii der ke \-2
baiThe balamaa hamaare najar pher ke \-2

( aa
kyaa hai Kataa hamaarii hamaaraa hai kyaa qusuur ) \-2
jitane hai.n qariib ye utane hii duur duur
ho
inake naKare to dekho 
aa
e jii inake naKare to dekho sawaa ser ke
inake naKare to dekho sawaa ser ke \-2
haay sawaa ser ke
baiThe balamaa hamaare najar pher ke
baiThe balamaa hamaare
kaise aaye hai.n din haay a.ndher ke \-2
baiThe balamaa hamaare najar pher ke \-2

aa
furasat kaa hai ye waqt ye raate.n bahaar kii \-2
kyaa yuu.Nhii guzar jaaye.ngii gha.Diyaa.N ye pyaar kii
ho
ko_ii raste pe laa do
aa
e jii ko_ii raste pe laa do inhe.n gher ke
ko_ii raste pe laa do inhe.n gher ke \-2
inhe.n gher ke

baiThe balamaa hamaare najar pher ke \-2
kaise aaye hai.n din haay a.ndher ke \-2
baiThe balamaa hamaare najar pher ke \-2

kaise aaye hai.n din haay a.ndher ke
baiThe balamaa hamaare najar pher ke

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{tere hote huye aaj ... are patthar ke bhagawaan}%
\film{Naastik}%
\year{1954}%
\starring{Nalini Jaywant, Ajit, Ulhas, Raj Mehra}%
\singer{Lata}%
\music{C Ramchandra}%
\lyrics{Pradeep}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, May 25, 2005

\printtitle
#indian

tere hote huye aaj mai.n luT rahii
mere maathe pe lag rahaa daaG
are patthar ke bhagawaan tuu hai kahaa.N
terii duniyaa me.n lag jaaye aag \-2
tere hote huye aaj mai.n luT rahii

( laaj aatii hai mujhako ye kahate huye
prabhuu a.ndhaa na ban aa.Nkh rahate huye ) \-2
mujhe Da.Nsane ko aaye hai.n dekh zaraa
terii bastii ke zahariile naag

are patthar ke bhagawaan tuu hai kahaa.N
terii duniyaa me.n lag jaaye aag \-2
tere hote huye aaj mai.n luT rahii

cha.nd chaa.Ndii Tuka.Do.n kii Kaatir yahaa.N \-2
ek abalaa ke phuuT rahe bhaag

are patthar ke bhagawaan tuu hai kahaa.N
terii duniyaa me.n lag jaaye aag \-2
tere hote huye aaj mai.n luT rahii

( kisii bhaa_ii kii bichha.Dii hu_ii ek bahan
bataa kab tak kare tere dukha.De sahan ) \-2
aaj zi.ndaa chitaa par huu.N mai.n jal rahii
jal rahe sab ummiido.n ke baaG

are patthar ke bhagawaan tuu hai kahaa.N
terii duniyaa me.n lag jaaye aag \-2
tere hote huye aaj mai.n luT rahii
mere maathe pe lag rahaa daaG
are patthar ke bhagawaan tuu hai kahaa.N
terii duniyaa me.n lag jaaye aag
tere hote huye aaj mai.n luT rahii

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
