% ISB File: NaiUmarKiNaiFasal_1965.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{aaj kii raat ba.Dii shokh ba.Dii naTakhaT hai}%
\film{Nai Umar Ki Nai Fasal}%
\year{1965}%
\starring{Rajeev, Tanuja}%
\music{Roshan}%
\singer{Rafi/ Rafi, Asha}%
\lyrics{Neeraj}%

% Contributor : Guri Singh, Arunabha Shashank Roy
% Transliterator: K Vijay Kumar

\printtitle
#startindian

% Rafi solo

aaj kii raat ba.Dii shokh ba.Dii naTakhaT hai
aaj to tere binaa nii.nd na aayegii

ab to tere hii yahaa.N aane kaa ye mausam hai
ab tabiiyat na Kayaalo.n se bahal paayegii
dekh vo chhat pe utar aayii hai saavan kii ghaTaa
de rahii dvaar pe aavaaz kha.Dii puravaaii
bijalii rah rah ke pahaa.D.n pe chamak uThatii hai
suunii aa.Nkho.n me.n koii Kvaab le jyo.n a.nga.Daaii
kaise samajhaa_uu.N?
kaise samajhaa_uu.N ki is vaqt kaa matalab kyaa hai
dil kii hai baat
ho dil kii hai baat na ho.nTho.n se kahii jaayegii
aaj to tere binaa nii.nd nahii.n aayegii \threedots

ye bhaTakate hue jugunuu ye diye aavaaraa
bhiigate pe.Do.n pe bujh\-bujh ke chamak uThate hai.n
tere aa.Nchal me.n Take salame.n sitaare jaise
mujh se milane ko binaa baat damak uThate hai.n
saaraa aalam
saaraa aalam hai giraftaar tere husn me.n jab
mujhase hii kaise
ho, mujhase hii kaise ye barasaat sahii jaayegii
aaj to tere binaa nii.nd nahii.n aayegii \threedots

raat raanii kii ye bhiinii sii nashiilii khushabuu
aa rahii hai ke jo chhan chhan ke ghanii Daalo.n se
aisaa lagataa hai kisii DhiiTh jhakhore se lipaT
khel aayii hai tere ulajhe hue baalo.n se
aur bezaar
aur bezaar na kar, mere ta.Dapate dil ko
aisii ra.ngiin
ho, aisii ra.ngiin Gazal raat na phir gaayegii
aaj to tere binaa nii.nd nahii.n aayegii \threedots

% Asha - Rafi Duet
aa: aaj kii raat ba.Dii shokh ba.Dii naTakhaT hai
    aaj to tere binaa nii.nd nahii.n aayegii
    ab to tere hii yahaa.N aane kaa ye mausam hai
    ab tabiiyat na Kayaalo.n se bahal paayegii

    haay paanii kii ye rimajhim ye khuledaar phuhaar
    aise nas nas me.n terii chaah jagaa jaatii hai
    jaise pi.njare me.n kisii qaid pa.De pa.nchhii ko
    apanii aazaad u.Daano.n kii yaad aatii hai
    ab to aa jaao
    ab to aa jaao mere maa.Ng ke sinduur suhaag
    saa.Ns terii hai
    saa.Ns terii hai tere naam pe miT jaayegii
    aaj to tere binaa nii.nd nahii.n aayegii \threedots

    aisii hii raat to vo thii ki terii nazaro.n ne
    mujhe pahanaayaa thaa jab pyaar ke kapa.Do.n kaa libaas
    aur us raat bhii aisii hii sharaabii thii fizaa
    jab terii baaho.n me.n mahakii thii merii saa.Ns\-o\-adaa (?)
    aur ab aisii
    aur ab aisii javaa.N rut me.n akelii mai.n huu.N
    aa jaa varanaa
    aa jaa varanaa ye shamaa kaa.Np ke bujh jaayegii
    aaj to tere binaa nii.nd nahii.n aayegii \threedots

ra: par Thahar vo jo vahaa.N
    par Thahar vo jo vahaa.N leTe hai.n fuT_paatho.n par
    laash bhii jinake kafan tak na yahaa.N paatii hai
    aur vo jho.npa.De chhat bhii na hai sar par jin ke
    chhaate chhappar hii jahaa.N zi.ndagii so jaatii hai
    pahale in sab ke liye
    pahale in sab ke liye ek imaarat ga.Dh luu.N
    phir terii maa.Ng
    phir terii maa.Ng sitaaro.n se bharii jaayegii

aa: aaj to tere binaa nii.nd nahii.n aayegii \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{dekhatii hii raho aaj darpaN na tum}%
\film{Nai Umr Ki Nai Fasal/ New Crop of the New Age}%
\year{1965}%
\starring{Rajeev, Tanuja}%
\singer{Mukesh}%
\music{Roshan}%
\lyrics{Neeraj}%

% Contributor: Vinayak K.Gore
% Transliterator: Malini Kanth 

\printtitle
#indian

dekhatii hii raho aaj darpaN na tum
pyaar kaa ye mahurat nikal jaayegaa, nikal jayegaa

saa.Ns kii to bahut tez raftaar hai
aur chhoTii bahut hai milan kii gha.Dii
guu.Ndhate guu.Ndhate ye ghaTaa saa.Nvarii
bujh na jaaye kahii.n ruup kii phulajha.Di
chuu.Diyaa.N hii na tum ## music follows ##
chuu.Diyaa.N hii na tum khanakhanaatii raho
ye sharamashaar mausam badal jaayegaa, badal jaayegaa

surkha ho.nTho.n pe uf ye ha.Nsii madabharii
jaise shabanam a.Ngaaro.n kii mehamaan ho 
jaaduu bunatii hu_ii ye nashiilii nazar
dekh le to Kudaa_ii pareshaan ho
muskuraavo na aise ## music follows ##
muskuraavo na aise churaakar nazar 
aainaa dekh suurat machal jaayegaa, machal jaayegaa

chaal aisii hai madahosh mastii bharii
niind suuraj sitaaro.n ko aane lagii
itane naazuk qadam chuum paaye agar
sote sote biyaabaana gane lage
mat mahaavar rachaa_o ## music follows ##
mat mahaavar rachaa_o bahut paa.Nv me.n
farsha kaa maramarii dil bahal jaayegaa, bahal jaayegaa

dekhatii hii raho aaj darpaN na tum

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{isako bhii apanaataa chal}%
\film{Nai Umar Ki Nai Fasal/ New Crop of the New Age}%
\year{1965}%
\starring{Tanuja, Rajeev, Leela Chitnis}%
\singer{Rafi}%
\music{Roshan}%
\lyrics{Neeraj}%

% Contributor:  Arunabha S. Roy
% Transliterator: Arunabha S. Roy

\printtitle
#indian

#humming #

isako bhii apanaataa chal, usako bhii apanaataa chal
raahii hai.n sab ek Dagar ke sab par pyaar luTaataa chal
isako bhii apanaataa chal, usako bhii apanaataa chal

idhar kafan tak nahii.n laash par udhar numaayish resham kii
yahaa.N swaya.nvar kare chaa.Ndanii vahaa.N na raat kaTe Gam kii
dharatii ka.nkar patthar maare ambar ugale a.ngaare
koii puuchhe baat na is bagiyaa me.n dukhiyaa shabanam kii

sukh kii umr ba.Dhaataa chal, dukh ko kafan o.Dhaataa chal
mile jahaa.N bhii mahal use kuTiyaa ke paas bulaataa chal
isako bhii apanaataa chal, usako bhii apanaataa chal

bikaa\-bikii sab or machii hai aane yaa do aano.n par
ismat bike doraaho.n par to pyaar bike duukaano.n par
Dagar\-Dagar par ma.ndir masjid qadam qadam par gurudvaare
bhagavaano.n kii bastii me.n hai zulm bahut inasaano.n par

khi.Dakii har khulavaataa chal, saa.Ntal (?) har kaTavaataa chal
is par bhii roshanii na ho to dil kaa diyaa jalaataa chal
isako bhii apanaataa chal, usako bhii apanaataa chal

ridarde(?) ke biich khaa_iyaa.N lahuu bichhaa maidaano.n me.n
ghuum rahe hai.n yuddh sa.Dak par shaa.nti chhipii shamashaano.n me.n
za.njiire.n kaT ga_ii.n magar aazaad nahii.n inasaan abhii
duniyaa bhar kii Kushii qaid hai chaa.Ndii ja.De makaano.n me.n

taT\-taT raas rachaataa chal, panaghaT\-panaghaT gaataa chal
pyaasaa hai har praaN, nayan kaa ga.ngaa jal chhalakaataa chal
isako bhii apanaataa chal, usako bhii apanaataa chal

nayan\-nayan tarase sapano.n ko aa.Nchal tarase phuulo.n ko
aa.Ngan tarase tyohaaro.n ko galiyaa.N tarase.n jhuulo.n ko
kisii ho.nTh par baje na ba.nsii kisii haath me.n biin nahii.n
umar samu.ndar kii de Daalii kis ne cha.nd babuulo.n ko

so_ii kiraN jagaataa chal, ruuThii subahe.n manaataa chal
pyaar naqaabo.n me.n na ba.nd ho har ghuu.NghaT khulavaataa chal
isako bhii apanaataa chal, usako bhii apanaataa chal

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{svapn jha.De phuul se, miit chubhe shuul se}%
\film{Nai Umar Ki Nai Fasal}%
\year{1965}%
\starring{Rajeev, Tanuja}%
\singer{Rafi}%
\music{Roshan}%
\lyrics{Neeraj}%

% Credits: rec.music.indian.misc 
%          Rajat Bhatnagar (rbhatnag@essex.ecn.uoknor.edu)
%          Raj Ganesan (cpd.tandem.com!raj)
%          C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu)
%          Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu)
%          Mohan Rathore (rathore@ece.rutgers.edu)
%          R. Gopalakrishnan   (gopalakr@cis.udel.edu)
%          Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)

\printtitle
#indian

svapn jha.De phuul se, miit chubhe shuul se
luT gaye shrR^i.ngaar sabhii, baag ke babuul se
aur ham kha.De kha.De, bahaar dekhate rahe
kaaravaa.N guzar gayaa, gubaar dekhate rahe

aa.Nkh bhii khulii na thii ki haaya dhuup Dhal ga_ii
paa.Nv jab talaq uThe ki zi.ndagii fisal ga_ii
paat paat jha.D gae ki shaakh\-shaakh jal ga_ii
chaah to nikal sakii (na par umar nikal ga_ii) \- 2)
giit ashk ban gae, svapn ho dafan gae
saath ke sabhii diye, dhuaa.n pahan\-pahan gae
aur ham jhuke\-jhuke, mo.D par ruke\-ruke
umr kii cha.Dhaav kaa utaar dekhate rahe, kaaravaa.N guzar\threedots

kyaa shabaab thaa ki phuul phuul pyaar kar uThaa
kyaa kamaal thaa ki dekh aainaa sihar uThaa
is taraf zamiin aur aasamaan udhar uThaa
thaamakar jigar uThaa (ki jo milaa nazar uThaa) \- 2)
par tabhii yahaa.N magar, aisii kuchh havaa chalii
luT ga_ii kalii kalii ki ghuT ga_ii galii galii
aur ham luTe\-luTe, vaqt se piTe\-piTe
shaam kii sharaab kaa khumaar dekhate rahe, kaaravaa.N guzar\threedots

haath the mile ke zulf chaa.Nd kii savaar duu.N
ho.nTh the khule ke har bahaar ko pukaar luu.N
dard thaa diyaa gayaa ke har dukhii ko pyaar duu.N
aur saa.Ns yuu.N ke svarg, (bhuumi par utaar duu.N \- 2)
ho sakaa na kuchh magar,  shaam ban ga_ii sahar
vo uThii lahar ke Dhah gaye kile bikhar bikhar
aur ham Dare Dare,  niir nain me.n bhare
o.Dh kar kafan pa.De mazaar dekhate rahe, kaaravaa.N guzar\threedots

maa.Ng bhar chalii ke ek jab na_ii na_ii kiran
Dhol se dhunak uThii Thumak uThe charaN charaN
shor mach gayaa ke lo chalii dulhan chalii dulhan
gaa.Nv sab uma.Da pa.Daa, (bahak uThe nayan nayan \- 2)
par tabhii zahar bharii gaaz ek vah girii
puu.nchh gayaa si.nduur taar taar huii chunarii
aur ham ajaan se,  duur ke makaan se
paalakii liye huye kahaar dekhate rahe, kaaravaa.N guzar\threedots

svapan jha.De phuul se, miit chubhe shUl se
luT gaye shrR^i.ngaar sabhii baag ke babuul se
aur ham kha.De kha.De bahaar dekhate rahe
kaaravaa.N guzar gayA gubbaar dekhate rahe

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{thii shubh suhaag kii raat madhur}%
\film{Nai Umar Ki Nai Fasal}%
\year{1965}%
\starring{Rajeev, Tanuja}%
\singer{Manna Dey}%
\music{Roshan}%
\lyrics{Manmohan Tiwari}%

% Contributor: Vinayak K Gore
% Transliterator: Vinayak K Gore
% Date: 4 Sep 2003
% Comments: corrections provided by Sushil Sharma
% generated using giitaayan

\printtitle
#indian

thI Subh suhaag kI raat madhur
madhu Chalak rahaa thaa kaN kaN meM
sapane jagate the nainoM meM
aramaan machalate the man meM

saradaar magan man jhUm rahaa
pal pal har aMg pha.Dakataa thaa
hoThoM par pyaas mahakatI thI
praaNoM meM pyaar dha.Dakataa thaa

tab hI ghU.NghaT meM muskaatI
pag paayal Cham Cham ChamakaatI
raanI antHapur meM AyI
kuCh sakuchaatI kuCh SaramaatI

meMhadI se haath rache donoM
maathe par kumakum kaa TIkaa
goraa mukha.Daa muskaa de to
pUnam kaa chaa.Nd lage fIkaa

dhIre se ba.Dh chU.Daavat ne 2
raanI kaa ghU.NghaT paT kholaa
nas nas meM kauMdh g{I} bijalI
pIpal patte saa tan Dolaa

adharoM se adhar mile jab tak
lajjaa ke TUTe Cha.nd ba.ndh
raN bigul dvaar par gU.Nj uThaa 2
SahanaaI kaa svar huA ma.nd

bhujaba.ndhan bhUlaa AliMgan
AliMgan bhUl gayaa chumban
chumban ko bhUl g{I} saa.NseM
saa.NsoM ko bhUl g{I} dha.Dakan

sajakar suhaag kI sej sajI 2
bolaa n yuddh ko jaaU.Ngaa
terI kajaraarI alakoM meM
man motI Aj biThaaU.Ngaa

pahale to raanI rahI maun
phir jvaal jvaal sI bha.Dak uThI
bin badaal bin barakhaa maano
kyaa bijalI koI ta.Dap uThI

ghaayal naagan sI bhau.nh taan
ghU.NghaT ukaa.Dakar yU.N bolI
talavaar mujhe de do apanI
tum pahan raho chU.DI cholI

pi.nja.De meM koI ba.nd sher 2
sahasaa sote se jaag uThe
yaa A.NdhI a.ndar liye hue(?)
jaise pahaa.D se Ag uThe

ho gayaa kha.Daa tan kar raaNaa
haathoM meM bhaalaa

uThaa liyaa
har har bam bam bam mahaadev 2
kah kar raN ko prasthaan kiyaa
dekhaa

jab(?) pati kaa vIr veSh
pahale to raanI harShaaI
phir sahamI jhijhakI akulaaI
A.NkhoM meM badalI ghir AI

baadal sI g{I} jharokhe par 2
parakaTI ha.nsinI thI adhIr
gho.De par cha.Dhaa dikhaa raaNaa
jaise kamaan par cha.Dhaa tIr

donoM kI A.NkheM huI chaar
chu.Daavat phir sudhabudh khoI
sa.ndeS paThaakar raanI ko
ma.Ngavaayaa premachihn koI

sevak jaa pahu.Nchaa mahaloM meM
raanI se maa.NgI saiNaanI
raanI jhijhakI phir chIkh uThI
bolI kah de mar gaii raanI

le khaDg haath phir kahaa Thahar
le saiNaanI le saiNaanI
ambar bolaa le saiNaani
dharatI bolI le saiNaanI

rakh kar chaa.NdI kI thaalI meM
sevak bhaagaa le saiNaani
raaNaa adhIr bolaa ba.Dhakar
laa laa laa laa laa saiNaanI

kapa.Daa jab magar uThaayaa to
rah gayaa kha.Daa mUrat banakar
lahUluhaan raanI kaa sir
ha.Nsataa thaa rakhaa thaalI par

saradaar dekh kar chIkh uThaa
haa haa raanI merI raanI
adbhut hai terI kurbaanI
tU sachamuch hI hai xatraaNI

phir e.D lagaaI gho.De par
dharatI bolI jay ho jay ho
haa.DI raanI terI jay ho
o bhaarat maa.N terI jay ho 4

#endindian
\endsong 

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
