% ISB File: Navrang_1959.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{aa dil se dil milaa le}%
\film{Navrang}%
\year{1959}%
\starring{Mahipal, Sandhya}%
\singer{Asha}%
\music{C Ramchandra}%
\lyrics{Bharat Vyas}%

% Contributor: BOL ANAMOL #11447 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

( aa dil se dil milaa le ) \-2 is dil me.n ghar basaa le
o rasiyaa man\-basiyaa aajaa gale lagaa le
aa dil se dil \threedots

dil ke chaman me.n kab se bulabul chahak rahii hai \-2
phuulo.n ke is badan me.n Kushbuu mahak rahii hai \-2
ka.nganaa me.n mere laakho.n aramaa.N chamak rahe hai.n \-2
( a.Nganaa me.n tere saajan ) \-2 ghu.Ngharuu jhanak rahe hai.n
aa dil se dil \threedots

chamake.nge laakh chandaa ye raat phir naa aa_e \-2
ho.ngii hazaar baate.n ye baat phir naa aa_e \-2
saajan yuu.N sa.ng tan ke man saath phir naa aa_e \-2
( navara.ng saa ra.ngiilaa ) \-2 prabhaat phir naa aa_e
aa dil se dil \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{aadhaa hai cha.ndramaa raat aadhii}%
\film{Navrang}%
\year{1959}%
\starring{Mahipal, Sandhya}%
\singer{Mahendra Kapoor, Asha}%
\music{C Ramchandra}%
\lyrics{Bharat Vyas}%

% Transliterator: Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu)
% Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu)
%          Neeraj Malhotra (malhotra@bedford.progress.COM)
% Editor:  Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)

\printtitle
#indian

aadhaa hai cha.ndramaa raat aadhii
rah na jaae terii merii baat aadhii, mulaaqaat aadhii
aadhaa hai cha.ndramaa\threedots

aas kab tak rahegii adhuurii
pyaas hogii nahii.n kyaa ye puurii
pyaasaa\-pyaasaa gagan pyaasaa\-pyaasaa chaman
pyaase taaro.n kii bhii hai baaraat aadhii
aadhaa hai cha.ndramaa\threedots

sur aadhaa hai shyaam ne baa.Ndhaa
rahaa raadhaa kaa pyaar bhii aadhaa
nain aadhe khile ho.nTh aadhe mile
rahii pal me.n milan kii vo baat aadhii
aadhaa hai cha.ndramaa\threedots

piyaa aadhii hai pyaar kii bhaashhaa
aadhii rahane do man kii abhilaashhaa
aadhe chhalake nayan aadhe chhalake nayan
aadhii palako.n kii bhii hai barasaat aadhii
aadhaa hai cha.ndramaa\threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{aTak\-aTak jhaTapaT ... are jaa re haT naTakhaT}%
\film{Navrang}%
\year{1959}%
\starring{Mahipal, Sandhya}%
\singer{Chitalkar, Asha, Mahendra, Chorus}%
\music{C Ramchandra}%
\lyrics{Bharat Vyas}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, May 18, 2005

\printtitle
#indian

chi:	dhaagin dhinak dhin
	dhaagin dhinak dhin
	dhaagin dhinak dhin

	aTak\-aTak jhaTapaT panaghaT par
	chaTak maTak ik naar navelii
	gorii gorii gwaalan kii chhorii chalii 
	chorii chorii mukh morii morii musakaaye alabelii
	ka.Nkarii gale me.n maarii ka.nkarii kanhaiyaa ne
	pakarii baa.Nh aur kii aTakhelii
	bharii pichakaarii maarii 
	sa ra ra ra ra ra ra ra ra ra
	bholii panihaarii bolii

aa:	sa ra ra ra ra ra ra ra ra ra
	( are jaa re haT naTakhaT
	naa chhuu re meraa ghuu.NghaT
	palaT ke duu.Ngii aaj tujhe gaalii re ) \-2
	mujhe samajho na tum bholii bhaalii re

ma:	sa ra ra ra ra ra ra ra ra ra
	aayaa holii kaa tyohaar
	u.De ra.ng kii bauchhaar
	tuu hai naar nakharedaar matawaalii re
	aaj miiThii lage hai terii gaalii re

aa:	o
	haa.N haa.N haa.N
	aa
	( ho
	tak tak naa maar pichakaarii kii dhaar ) \-2
	komal badan sah sake naa ye maar
	tuu hai anaa.Dii ba.Daa hii ga.Nwaar
	kajare me.n tuune abiir diyaa Daar
	terii jhakajhorii se baaz aayii horii se
	chor terii chorii niraalii re
	mujhe samajho na tum bholii bhaalii re

	are jaa re haT naTakhaT
	naa chhuu re meraa ghuu.NghaT
	palaT ke duu.Ngii aaj tujhe gaalii re
	mujhe samajho na tum bholii bhaalii re

ma:	( ho
	dharatii hai laal aaj ambar hai laal ) \-2
	u.Dane de gorii gaalo.n kaa gulaal
	mat laaj kaa aaj ghuu.NghaT nikaal
	de dil kii dha.Dakan pe dhinak dhinak taal
	jhaa.Njh baje sha.Nkh baje
	sa.ng me.n mrida.ng baje
	a.ng me.n uma.ng khushiyaalii re
	aaj miiThii lage hai terii gaalii re

aa:	are jaa re haT naTakhaT
	naa chhuu re meraa ghuu.NghaT
	palaT ke duu.Ngii aaj tujhe gaalii re
	mujhe samajho na tum bholii bhaalii re

##male## ko:	ar ra ra ra ra ra
##female## ko:	ar ra ra ra ra ra
	are jaa re haT naTakhaT
	naa chhuu re meraa ghuu.NghaT
	palaT ke duu.Ngii aaj tujhe gaalii re
	mujhe samajho na tum bholii bhaalii re

##male## ko:	aayaa holii kaa tyohaar
	u.De ra.ng kii bauchhaar
	tuu hai naar nakharedaar matawaalii re
	aaj miiThii lage hai terii gaalii re

##male female## ko:
	are jaa re haT naTakhaT
	naa chhuu re meraa ghuu.NghaT
	palaT ke duu.Ngii aaj tujhe gaalii re
	mujhe samajho na tum bholii bhaalii re

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{kaarii kaarii kaarii a.Ndhiyaarii thii raat}%
\film{Navrang}%
\year{1959}%
\starring{Sandhya}%
\singer{Chitalkar, Asha}%
\music{C Ramchandra}%
\lyrics{Bharat Vyas}%

% Contributor: Amod Lagu (alagu@coe.neu.edu)
% Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu)
% Date: Sat Jan 27, 1996

\printtitle
#indian

kaarii kaarii kaarii a.Ndhiyaarii thii raat
ek din kii baat
jab sajan gagan se garaj uThii saavan kii ghaTaa
ghuu.NghaT me.n chhupakar chapal\-chapal bijalii kii chaTTaa
ek naar karat shri.ngaar
ek naar tihike talvaar, yathii vah kaTaar
karake shri.ngaar chalii us paar jahaa.N the usake kisan muraar
chhamak chham\-chham jamak jam\-jam chhamak chham\-chham

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{kaviraajaa kavitaa ke mat ab kaan maro.Do}%
\film{Navrang}%
\year{1959}%
\starring{Mahipal, Sandhya}%
\singer{Bharat Vyas}%
\music{C Ramchandra}%
\lyrics{Bharat Vyas}%

% Contributor: Neeraj Malhotra
% Transliterator: Nita
% Comments: Accompanied only with Tabla/Dholak

\printtitle
#indian

kaviraajaa kavitaa ke mat ab kaan maro.Do
dhandhe kii kuchh baat karo kuchh paise jo.Do

sher shaayarii kaviraajaa na kaam aayegii
kavitaa kii pothii ko diimak khaa jaayegii
bhaav cha.Dh rahe anaaj ho rahaa maha.ngaa din din
bhuukhe maroge raat kaTegii taare gin gin
isii liye kahataa huu.N bhaiyyaa ye sab cho.Do
dhandhe kii kuchh baat karo kuchh paise jo.Do

are chho.Do kalam chalaao mat kavitaa kii chaakii
ghar kii roka.D dekho kitane paise baakii
are kitanaa ghar me.n ghii hai kitanaa garam masaalaa
kitanaa paapa.D, ba.Di, ma.ngorii mich.r masaalaa
kitanaa tel luuN, michii.r, haldii aur dhaniyaa
kaviraajaa chupake se tum ban jaao baniyaa

are paise par rach kaavya
are paise
are paise par rach kaavya bhuukh par giit banaao
gehuu.N par ho Gazal, dhaan ke sher sunaao
lauN mich.r par chaupaa_ii, chaaval par dohe
sugal koyale par kavitaa likho to sohe

kam bhaa.De kii
are
kam bhaa.De kii kholii par likho qavvaalii
jhan jhan karatii kaho rubaa_ii paise vaalii
shabdo.n kaa ja.njaal ba.Daa lafa.Daa hotaa hai
kavi sammelan dost ba.Daa jhaga.Daa hotaa hai
mushaayaro.n ke shero.n par raga.Daa hotaa hai
paise vaalaa sher ba.Daa taga.Daa hotaa hai

isii liye kahataa huu.N mat is se sar pho.Do
dhandhe kii kuchh baat karo kuchh paise jo.Do

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{shyaamal shyaamal baran}%
\film{Navrang}%
\year{1959}% 
\starring{Sandhya}%
\singer{Mahendra Kapoor}%
\music{C Ramchandra}%
\lyrics{Bharat Vyas}%

% Contributor: K Vijay Kumar
% Transliterator: K Vijay Kumar

\printtitle
#indian

shyaamal shyaamal baran
komal komal charaN
tere mukha.De pe cha.ndaa gagan kaa ja.Daa
ba.De man se vidhaataa ne tujh ko ga.Dhaa

tere baalo.n me.n simaTii saavan kii ghaTaa, aa~
tere gaalo.n pe chhiTakii puunam kii chhaTaa, o puunam kii chhaTaa
tiikhe tiikhe nayan
miiThe miiThe bayan
tere a.ngo.n pe champaa kaa ra.ng cha.Dhaa
ba.De man se vidhaataa ne \threedots

o~, ye umar ye kamar sau sau bal khaa rahii
terii tirachhii nazar tiir barasaa rahii
naazuk naazuk badan
dhiime dhiime chalan
terii baa.Nkii lachak me.n hai jaaduu ba.Daa
ba.De man se vidhaataa ne \threedots

kis paaras se sonaa ye Takaraa gayaa
tujhe rach ke chiteraa bhii chakaraa gayaa
na idhar jaa sakaa
na udhar jaa sakaa
dekhataa rah gayaa vo kha.Daa hii kha.Daa
ba.De man se vidhaataa ne \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{tuu chhupii hai kahaa.N}%
\film{Navrang}%
\year{1959}%
\starring{Mahipal, Sandhya}%
\singer{Asha, Manna Dey}%
\music{C Ramchandra}%
\lyrics{Bharat Vyas}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, May 18, 2005

\printtitle
#indian

aa:	aa
ma:	tuu chhupii hai kahaa.N mai.n ta.Dapataa yahaa.N
	tere bin phiikaa phiikaa hai dil kaa jahaa.N
	chhupii hai kahaa.N mai.n ta.Dapataa yahaa.N
	tuu gayaa u.D gayaa ra.ng jaane kahaa.N
	tere bin phiikaa phiikaa hai dil kaa jahaa.N
	chhupii hai kahaa.N mai.n ta.Dapataa yahaa.N

aa:	dil kii mahafil me.n jab naa mujhe tum mile
	saa.Ns letii huu.N aa ke is sunasaan me.n
	in bahaaro.n me.n jab naa tujhe paa sakii \-2
	to ta.Dapatii huu.N aa ke is viiraan me.n
	tere bin phiikaa phiikaa hai dil kaa jahaa.N
ma:	chhupii hai kahaa.N mai.n ta.Dapataa yahaa.N

aa:	ye nazare.n diiwaanii tuu kho_ii hu_ii
	tere ra.ngiin sapano.n ke ra.ngo.n me.n
	uma.ngo.n me.n jab naa tujhe paa sakii \-2
	Dhuu.NDhatii huu.N mai.n Gam kii tara.ngo.n me.n
	tere bin phiikaa phiikaa hai dil kaa jahaa.N
ma:	chhupii hai kahaa.N mai.n ta.Dapataa yahaa.N
	tuu chhupii hai kahaa.N
	chhupii hai kahaa.N
	chhupii hai kahaa.N

aa: 	mai.n chhupii huu.N piyaa terii palakan me.n
	terii dha.Dakan me.n, terii har saa.N me.n,
	terii har aas me.n
	mai.n chhupii huu.N kahaa.N meraa ye raaz sun
	dard ke haatho.n Gam se bharaa saaz sun
	mere rote huye dil kii aawaaz sun

aa:	jab talak teraa meraa na hogaa milan
	mai.n zamii.n aasamaa.N ko hilaatii rahuu.Ngii
	aaKirii aas tak aaKirii saa.Ns tak
	Kud ta.Dapuu.Ngii aur ta.Dapaatii rahuu.Ngii

ma:	ye kaun ghuu.Ngharuu jhamakaa
	ye kaun chaa.Nd chamakaa
	ye dharatii pe aasamaan aa gayaa puunam kaa
	ye kaun phuul mahakaa
	ye kaun pa.Nchhii chahakaa
	mahafil me.n kaisii Kushbuu u.Dii dil jo meraa bahakaa
	lo tan me.n jaan aa_ii, ho.nTho.n pe taan aa_ii
	merii chakorii chaa.Ndanii me.n kar ke snaan aa_ii
	bichha.Daa wo miit aayaa, jiiwan kaa giit aayaa
	do aatmaa_o.n ke milan kaa din puniit aayaa
	suurat hai mere sapano.n kii tuu sohanii
	jamanaa tuu hii hai tuu hii merii mohanii
	tere bin phiikaa phiikaa hai dil kaa jahaa.N
	chhupii hai kahaa.N mai.n ta.Dapataa yahaa.N
	tuu chhupii hai kahaa.N
	chhupii hai kahaa.N
	chhupii hai kahaa.N

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
