% ISB File: NayaaAadmi_1956.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{Gariibo.n kaa pasiinaa bah rahaa hai}%
\film{Nayaa Aadmi}%
\year{1956}%
\starring{Anjali Devi, N T Ramarao, Jamuna, Ram Sharma, Ragini, Anwar Husain}%
\singer{Rafi}%
\music{Madan Mohan}%
\lyrics{Rajinder Krishan}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10396 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

gariibo.n kaa pasiinaa bah rahaa hai \-2
ye paanii bahate\-bahate kah rahaa hai \-2
kabhii vo din bhii aa_egaa ye paanii ra.ng laa_egaa \-2
gariibo.n kaa pasiinaa \threedots

ye buu.nde.n dekh lenaa ek din tuufaan laa_e.Ngii
zamii.n to hai zamii.n ye aasamaa.N ko bhii hilaa_e.Ngii
gariibo.n ke gharo.n tak chal ke khud bhagavaan aa_egaa
ye paanii ra.ng laa_egaa \threedots

sitam kaa had se ba.Dh jaanaa tabaahii kii nishaanii hai
badalate hai.n sabhii ke din puraanii ye kahaanii hai
zamaanaa ek din girate hu_o.n ko uThaa_egaa
ye paanii ra.ng laa_egaa \threedots

agar jal kar kisii majabuur ne fariyaad kar Daalii
to qudarat ke Kazaane dekhanaa ho jaa_e.Nge khaalii
zamii.n phaT jaa_egii suuraj kaa golaa TuuT jaa_egaa
kabhii vo din bhii aa_egaa \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{lauT gayaa Gam kaa zamaanaa}%
\film{Naya Aadmi}%
\year{1956}%
\starring{}%
\singer{Hemant}%
\music{Vishwanath-Ramamurthy}%
\lyrics{Rajinder Krishan}%

% Contributor: Pritvhiraj Dasgupta
% Transliterator: K Vijay Kumar

\printtitle
#indian

he: aa aa aa aa
la: aa aa aa aa

la: lauT gayaa Gam kaa zamaanaa
    aa_ii khushii laharaatii
    lauT gayaa Gam kaa zamaanaa
he: lauT gayaa Gam kaa zamaanaa
    aa_ii khushii laharaatii
    lauT gayaa Gam kaa zamaanaa

he: duur gagan me.n dekho chamake
    aashaao.n ke taare aashaao.n ke taare
    jhilamil pyaare pyaare
la: badalii me.n chhupkar taaro.n ke sa.ng
    cha.ndaa kare ishaare cha.ndaa kare ishaare
do: kisakii lagan me aaj pavan hai.n
    baago.n me.n iThalaatii

    lauT gayaa Gam kaa zamaanaa
    aa_ii khushii laharaatii
    lauT gayaa Gam kaa zamaanaa

la: raat nayii har baat nayii hai.n
    nayaa nayaa hai zamaanaa
    kaisaa samaa suhaanaa
    kaisaa samaa suhaanaa
he: gaaye cha.ndaniyaa dhiire dhiire
    priit bharaa afasaanaa
    priit bharaa afasaanaa
la: aaj mere chhoTe se man me.n
    aashaa hai musakaatii

do: lauT gayaa Gam kaa zamaanaa
    aa_ii khushii laharaatii
    lauT gayaa Gam kaa zamaanaa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
