% ISB File: Nazrana_1961.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{bikharaa ke zulfe.n chaman me.n na jaanaa}%
\film{Nazrana}%
\year{1961}%
\starring{Raj Kapoor, Vyjayantimala}%
\singer{Lata, Mukesh}%
\music{Ravi}%
\lyrics{Rajinder Krishan}%

% Contributor: Vijay Kumar
% Transliterator: Vijay Kumar

\printtitle
#indian

bikharaa ke zulfe.n chaman me.n na jaanaa
  - kyo.n?
is liye
ki sharmaa na jaaye.n phuulo.n ke saaye
muhabbat ke naGame tum bhii na gaanaa
  - kyo.n?
is liye
ki bha.Nvaraa tumhaarii ha.Nsii na u.Daaye

muhabbat ke bha.Nvare kii pahachaan kyaa?
ye kaliyo.n se puuchho hame.n kyaa pataa
har_jaa_ii hogaa
ham to nahii.n hai.n
kahii.n siikh lenaa na tum ye adaa
zubaa.N par kabhii baat aisii na laanaa
  - kyo.n?
is liye
ki duniyaa.N se rasm\-e\-vafaa miT na jaaye

kaho saath doge kahaa.N tak meraa
vahaa.N tak jahaa.N aasamaa.N jhuk rahaa
bolo chalogii?
jo tum le chaloge
kahii.n raah me.n ho na jaanaa judaa
meraa pyaar dekhegaa saaraa zamaanaa
  - kyo.n?
is liye
ki vaade kiye aur kar ke nibhaaye

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{ek pyaasaa tujhe ... baazii kisii ne pyaar kii jiitii yaa haar dii}%
\film{Nazrana}%
\year{1961}%
\starring{Raj Kapoor, Vyjayantimala}%
\singer{Rafi}%
\music{Ravi}%
\lyrics{Rajinder Krishan}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10725 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

ek pyaasaa tujhe maiKaanaa di_e jaataa hai
jaate\-jaate bhii ye nazaraanaa di_e jaataa hai

baazii kisii ne pyaar kii jiitii yaa haar dii
jaise guzar sakii ye shab\-e\-Gam guzaar dii
baazii kisii ne \threedots

saahil karegaa yaad usii naamuraad ko
kashtii Kushii se jisane bha.Nvar me.n utaar dii
baazii kisii ne \threedots

chal pa.De safar ko to mu.D ke kyaa dekhanaa
duniyaa ne usako sadaa baar\-baar dii
baazii kisii ne \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{ek vo bhii diwaalii thii, ek ye bhii diwaalii hai}%
\film{Nazrana}%
\year{1961}%
\starring{Raj Kapoor, Vaijayantimala}%
\singer{Mukesh/ Lata}%
\music{Ravi}%
\lyrics{Rajinder Krishan}%

% Contributor: Nimish Pachapurkar (Mukesh Version)
% Comments: GEETanjali Series
% Date: 25 October 2002
% Contributor: BOL ANAMOL #12081 [V S Rawat] (Lata Version)

\printtitle
#indian

% Mukesh version

(ek vo bhii diwaalii thii, ek ye bhii diwaalii hai
uja.Daa hu_aa gulashan hai, rotaa hu_aa maalii hai) \2

(baahar to ujaalaa hai magar dil me.n a.Ndheraa
samajho naa ise raat, ye hai Gam kaa saveraa) \2
kyaa diip jalaaye.n ham taqadiir hii kaalii hai
uja.Daa hu_aa gulashan hai, rotaa hu_aa maalii hai

(aise na kabhii diip kisii dil kaa bujhaa ho
mai.n to vo musaafir huu.N jo raste me.n luTaa ho) \2
ai maut tuu hii aa jaa dil teraa sawaalii hai
uja.Daa hu_aa gulashan hai, rotaa hu_aa maalii hai

%sawaalii - ##beggar##

(ek vo bhii diwaalii thii, ek ye bhii diwaalii hai
uja.Daa hu_aa gulashan hai, rotaa hu_aa maalii hai) \2

% Lata version:

( mele hai.n chiraaGo.n ke
ra.ngiin diiwaalii hai
mahakaa hu_aa gulashan hai
ha.Nsataa hu_aa maalii hai ) \-2

( is raat ko_ii dekhe
dharatii ke nazaaro.n ko
sharamaate hai.n ye diipak
aakaash ke taaro.n ko ) \-2
is raat kaa kyaa kahanaa \-2
ye raat niraalii hai

mahakaa hu_aa gulashan hai
ha.Nsataa hu_aa maalii hai

mele hai.n chiraaGo.n ke
ra.ngiin diiwaalii hai
mahakaa hu_aa gulashan hai
ha.Nsataa hu_aa maalii hai

( khaa jaaye nazar dhokhaa
juganuu hai.n yaa phulajha.Diyaa.N
( baaraat hai taaro.n kii
yaa ra.ng bharii la.Diyaa.N )\-2
ho.nTho.n pe taraane hai.n \-2
bajatii hu_ii taalii hai

mahakaa hu_aa gulashan hai
ha.Nsataa hu_aa maalii hai

mele hai.n chiraaGo.n ke
ra.ngiin diiwaalii hai
mahakaa hu_aa gulashan hai
ha.Nsataa hu_aa maalii hai

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{mere piichhe ik diivaanaa kuchh alabelaa masataanaa}%
\film{Nazrana}%
\year{1961}%
\starring{Raj Kapoor, Vaijayanti Mala}%
\singer{Asha, Mukesh}%
\music{Ravi}%
\lyrics{Rajinder Krishan}%

% Contributor: <Urzung Khan>, 1/16/4
% Comments: As per kosh, record has wrongly given Lata as singer
% in place of Asha

\printtitle
#indian

mere piichhe ik diivaanaa
kuchh alabelaa masataanaa
koii roko re mujh ko sataaye hai

mere aage ik diivaanii
hai jisakaa naam javaanii
koii dekho re dil ko churaaye hai

machale jo dil teraa
kayaa hai qusuur meraa
chho.Do jii chho.Do pichhaa
ab to huzuur meraa
aisii adaao.n pe to koii luTaa jaaye hai

aisii bhii jaladii kayaa hai
ham ko bhii saath lelo
jaane do Gussaa ab to
haatho.n me.n haath lelo
dekho diivaanaa kaisii batiyaa.n banaaye hai

mujh me.n janaab bolo
aisii kayaa baat dekhii
gaalo.n me.n din dekhaa
baalo.n me.n raat dekhii
aise naa dekho meraa jiyaa ghabaraaye hai

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
