% ISB File: NeelaAkash_1965.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{aaKirii giit muhabbat kaa sunaa luu.n to chaluu.n}%
\film{Neela Akash}%
\year{1965}%
\starring{Mala Sinha, Dharmendra}%
\singer{Rafi}%
\music{Madan Mohan}%
\lyrics{Raja Mehdi Ali Khan}%

% Contributor: Surma Bhopali
% Credits: animesh (animesh@eecs.berkeley.edu) suplied second stanza

\printtitle
#indian

aakhirii giit muhabbat kaa sunaa luu.n to chaluu.n
mai.n chalaa jaauu.ngaa
mai.n chalaa jaauu.ngaa do ashq bahaa luu.n to chaluu.n

aaj mai.n Gair huu.n kuuchh din hu_e mai.n Gair na thaa
merii chaahat merii ulfat se tujhe bair na thaa
mai.n huu.n ab Gair yakii.n dil ko dilaa luu.n to chaluu.n
mai.n chalaa jaauu.ngaa
mai.n chalaa jaauu.ngaa do ashq bahaa luu.n to chaluu.n

aaj wo din hai ke tuune mujhe Thukaraayaa hai
apanaa anjaam in aa.Nkhon ko nazar aayaa hai
dahashat\-e\-dil mai.n zaraa hosh me.n aa luu.N to chaluu.N
mai.n chalaa jaauu.ngaa
mai.n chalaa jaauu.ngaa do ashq bahaa luu.n to chaluu.n

terii duniyaa se mai.n ek roz chalaa jaau.ngaa
aur gaye waqt ki maani.nd nahii.n aauu.ngaa
phiir na aane kii qasam aaj mai.n khaa luu.n to chaluu.n
mai.n chalaa jaauu.ngaa
mai.n chalaa jaauu.ngaa do ashq bahaa luu.n to chaluu.n

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{aapako pyaar chhupaane kii burii aadat hai}%
\film{Neela Akash}%
\year{1965}%
\starring{Dharmendra, Mala Sinha}%
\singer{Rafi, Asha}%
\music{Madan Mohan}%
\lyrics{Raja Mehdi Ali Khan}%

% Contributor: K Vijay Kumar
% Transliterator: K Vijay Kumar

\printtitle
#indian

aap ko pyaar chhupaane kii burii aadat hai
aap ko pyaar jataane kii burii aadat hai

aap ne siikhaa hai kyaa dil ke lagaane ke sivaa
aap ko aataa hai kyaa naaz dikhaane ke sivaa
aur hame.n naaz uThaane kii burii aadat hai \threedots

kis liye aap ne sharamaa ke jhukaa lii aa.Nkhe.n
is liye aap se ghabaraa ke bachaa lii aa.Nkhe.n
aap ko tiir chalaane kii burii aadat hai \threedots

ho chukii hai der bas ab jaaiyegaa jaaiyegaa
bandaa paravar zaraa tho.Daa saa kariib aa_iyegaa
aap ko paas na aane kii burii aadat hai \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{tere paas aa ke meraa vaqt guzar jaataa hai}%
\film{Neela Akash}%
\year{1965}%
\starring{Dharmendra, Mala Sinha}%
\singer{Rafi, Asha}%
\music{Madan Mohan}%
\lyrics{Raja Mehandi Ali Khan}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10586 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

ra \:	tere paas aa ke meraa vaqt guzar jaataa hai
	do gha.Dii ke li_e Gam jaane kidhar jaataa hai
aa \:	jab kabhii duur se tuu mujhako nazar aataa hai
	pyaar ha.Ns kar merii aa.Nkho.n me.n sa.Nvar jaataa hai
ra \:	tere paas aa ke \threedots

aa \:	tuu vahii hai jise is dil ne sadaa_e.N dii hai.n \-2
	tuu vahii hai jise nazaro.n ne du_aa_e.N dii hai.n
	tuu vahii hai ki jo dil le ke muqar jaataa hai
ra \:	do gha.Dii ke li_e \threedots
do \:	tere paas aa ke \threedots

ra \:	 jaam itane terii mastii bharii aa.Nkho.n se pi_e \-2
	bekhudii me.n tujhe sajade merii nazaro.n ne ki_e
	tere jalavo.n me.n Kudaa mujhako nazar aataa hai
aa \:	pyaar ha.Ns kar \threedots
do \:	tere paas aa ke \threedots

aa \:	terii yaad aate hii ghabaraa ke chalii aatii huu.N \-2
	mai.n har ik qaid ko Thukaraa ke chalii aatii huu.N
	mai.n nahii.n aatii mujhe pyaar idhar laataa hai
ra \:	do gha.Dii ke li_e \threedots
do \:	tere paas aa ke \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
