% ISB File: OmarKhaiyyam_1946.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{allaah huu ... khayyaam hai allaah waalaa matawaalaa}%
\film{Omar Khaiyyam}%
\year{1946}%
\starring{Saigal, Suraiya, Vasti, Benjamin, Shakir, Leela, Madan Puri}%
\singer{Saigal}%
\music{Lal Mohomed}%
\lyrics{Dr Safdar 'Aah'}%

% Contributor: BOL ANAMOL #12235 [V S Rawat], 23/01/2004

\printtitle
#indian

allaa huu \-3
khaiyyaam hai allaa waalaa
matawaalaa allaa huu \-2

jiinaa aur jii kar piinaa
piinaa aur pii kar jiinaa \-2
mayakhaanaa allaa huu kaa \-2
aur pyaalaa allaa huu

allaa huu \-3

ye mast hawaaye.n aa_ii \-2
rahamat kii ghaTaaye.n chhaa_ii.n \-2
may ishq\-e\-Kudaa kii le kar \-2
jannat se huure.n aa_ii.n
garadish ne aa kar bolaa
Kud pyaalaa allaa huu

allaa huu \-3
khaiyyaam hai allaa waalaa \-2
matawaalaa allaa huu

ko \:	allaa huu \-4

	matawaale pii le pii le
	ye ishq\-e\-Kudaa ke pyaale
	matawaale pii le pii le \-2

sai \:	aaj aisaa silasilaa jo
	zindagii se Gam naa ho.n
	kyaa Kabar hai \-2
	kal ye mayakhaanaa ho
	lekin ham naa ho.n

ko \:	le haath me.n jaam uThaa le \-2
	matawaale pii le pii le \-2

sai \:	allaa huu \-4

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{bedard zaraa sun le Gariibo.n kii kahaanii}%
\film{Omar Khaiyyam}%
\year{1946}%
\starring{K L Saigal, Suraiya, Vasti, Benjamin, Shakir, Leela, Madan Puri}%
\singer{Suraiya}%
\music{Lal Mohomed}%
\lyrics{Dr Safdar 'Aah'}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10004 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

bedard zaraa sun le Gariibo.n kii kahaanii
khaanaa to hai khaanaa inhe.n milataa nahii.n paanii

malamal ke bichhaune pe hai tuu aish me.n khoyaa
hamasaayaa teraa raat ko patthar pe hai soyaa
tuu Kush hai musalamaano.n ko aaraam kahaa.N hai
batalaa mere hamadard islaam kahaa.N hai
dozaK ko bhulaa kyo.n sholaafashaanii
bedard zaraa sun le \threedots

tum baanii\-e\-islaam kaa faramaan to dekho
allaah kaa kyaa huqam hai quraan to dekho
irashaad\-e\-nabii.n yah hai ki khud baad me.n khaa_o
bhuukhaa jo pa.Dosii ho use pahale khilaa_o
biimaar jo hai.n unakii madad farz tumhaaraa
muhataaz jo hai.n unako sadaa denaa sahaaraa
par tumane to iname.n se ko_ii baat na maanii
bedard zaraa sun le \threedots

biimaar Gariibo.n ke li_e ban ke bhikhaarii
ai bhaa_iyo.n aa_e hai.n Kidamat me.n tumhaarii
hai kaar\-e\-sabab aa.Nkh agar raham kii kholii
daataa bhalaa ho bhar de faqiiro.n kii jholii
is shaam se paidaa karo subah suhaanii
bedard zaraa sun le \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{hare bhare baaG ke phuulo.n pe riijhaa khayyaam}%
\film{Omar Khaiyyam}%
\year{1946}%
\starring{K L Saigal, Suraiya, Vasti, Benjamin, Shakir, Leela, Madan Puri}%
\singer{Saigal}%
\music{Lal Mohomed}%
\lyrics{Dr Safdar 'Aah'}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10002 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

hare bhare baaG ke phuulo.n pe riijhaa khaiyyaam \-2
haa.N
taaro.n kaa shaidaa hu_aa \-2
chaa.Nd me.n khoyaa khaiyyaam \-2
hare bhare baaG ke phuulo.n pe riijhaa khaiyyaam

pyaarii pyaarii suurate.n \-2
pahaluu se dil le ga_ii.n \-2
ban gayaa kuchh roz me.n \-2
husn kaa bandaa khaiyyaam \-2
hare bhare baaG ke phuulo.n pe riijhaa khaiyyaam

lekin mujhe maaluum hu_aa
ki yahaa.N kii har chiiz faanii hai

faanii chiiz kaa \-2
pyaar bhii faanii \-2
lahar ye dil me.n aa_ii
( chho.D ke aakhir sab kuchh maine
lau maalik se lagaa_ii ) \-2

bhuul gayaa har chiiz yahaa.N kii
ishq\-e\-Kudaa me.n khoyaa \-2
allaa huu ke ra.ng me.n ra.ng kar \-2
masazid dil me.n banaa_ii \-2

faanii chiiz kaa
pyaar bhii faanii

phir to merii aa.Nkho.n ko
zarre\-zarre me.n wo hii wo nazar aane lagaa

pyaar se maine kaliyo.n ko chuumaa \-2
bulabulo.n ke taraane pe jhuumaa \-2
husn ko usakaa jalawaa samajh kar
mai.n hasiino.n ke majame.n me.n ghuumaa
mere dil me.n samaayaa wo hii wo

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{insaan kyo.n rotaa hai insaan}%
\film{Omar Khaiyyam}%
\year{1946}%
\starring{K L Saigal, Suraiya, Vasti, Benjamin, Shakir, Leela, Madan Puri}%
\singer{Saigal}%
\music{Lal Mohomed}%
\lyrics{Dr Safdar 'Aah'}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10003 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

insaan kyo.n rotaa hai insaan
har Gam kii davaa pesh hai kar aish kaa saamaan

sun baa.Ns kii is baa.Nsurii ke giit suhaane
siine me.n hu_e chhed to gaatii hai taraane
mastii kii yahii shaan
insaan kyo.n rotaa hai \threedots

ho lab pe ha.Nsii se pe jo aafat tere ma.nDalaa_e
bhar jaam Kushii kaa jo musiibat kii ghaTaa chhaa_e
dukh baham hai naadaan
insaan kyo.n rotaa hai \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
