% ISB File: Palki_1967.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{dil\-e\-betaab ko siine se lagaanaa hogaa}%
\film{Palki}%
\year{1967}%
\starring{Rajendra Kumar, Waheeda}%
\singer{Rafi, Suman Kalyanpur}%
\music{Naushad}%
\lyrics{Shakeel}%

% Contributor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)

\printtitle
#indian

r : dil-e-betaab ko siine se lagaanaa hogaa
aaj pardaa hai to kal saamane aanaa hogaa
s : aapako pyaar kaa dastuur nibhaanaa hogaa
dil jhukaayaa hai to sar ko bhii jhukaanaa hogaa

r : apanii suurat ko tu ai jaan-e-vafaa yuu.N na chhupaa
garmii-e-husn se jal jaaye na aa.Nchal teraa
lag ga_ii aag to mujh ko hii bujhaanaa hogaa
aaj pardaa hai to   \threedots

s : aaj aalam hai vo dil kaa ki bataaye na bane
paas aaye na bane duur bhii jaaye na bane
mai.N huu.N madhosh mujhe hosh me.n laanaa hogaa
dil jhukaayaa hai to    \threedots

s : aap to itane qariib aa gaye allaah, taubaa!
r : kyaa kare.n aap se Takaraa gaye, taubaa, taubaa
s : ishq in baato.n se rusvaa-e-zamaanaa hogaa
r : aaj parda hai to   \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{jaane vaale teraa Kudaa haafiz}%
\film{Palki}%
\year{1967}%
\starring{}%
\singer{Lata}%
\music{Naushad}%
\lyrics{Shakeel}%

% Contributor: Arun Nair
% Transliterator: K Vijay Kumar

\printtitle
#indian

jaane vaale teraa Kudaa haafiz
aaj meraa salaam letaa jaa
mere dil kaa payaam letaa jaa
jaane vaale teraa Kudaa haafiz   \threedots

mai.n terii Kaak huu.N mere raahii
mujhako bhii saath saath aane de
iltajaa hai ki raah me.n apanii
aaj palake.n bichhaane de
mujhase utanaa to kaam letaa jaa
jaane vaale teraa Kudaa haafiz   \threedots

al_vidaa jaan\-e\-aarazuu tujhako
Gam ke maare salaam kahate hai.n
ye luTe ghar, ye pyaar kii galiyaa.N
ye nazaare salaam kahate hai.n
yaad_Gaare.n tamaam letaa jaa
jaane vaale teraa Kudaa haafiz   \threedots

saa.Ns jab tak hai mere siine me.n
mai.n teraa i.ntazaar kar luu.Ngii
khush rahe tuu ye hai duaa merii
mai.n to Gam se bhii pyaar kar luu.Ngii
pyaar kaa tuu bhii naam letaa jaa
jaane vaale teraa Kudaa haafiz   \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{kal raat zindagii se mulaaqaat ho ga_ii}%
\film{Palki}%
\year{1967}%
\starring{Rajendra Kumar, Waheeda Rahman}%
\singer{Rafi}%
\music{Naushad}%
\lyrics{Shakeel}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10645 [V S Rawat], U.V. Ravindra

\printtitle
#indian

kal raat zindagii se mulaaqaat ho ga_ii
lab tharatharaa rahe the magar baat ho ga_ii
kal raat zindagii \threedots

ek husn saamane thaa qayaamat ke ruup me.n
ek Kvaab jalvaagar thaa haqiiqat ke ruup me.n
cheharaa vahii gulaab kii ra.ngat li_e hu_e
nazare.n vahii payaam\-e\-muhabbat li_e hu_e
zulfe.n vahii ki jaise dhu.Ndhalakaa ho shaam kaa
aa.Nkhe.n vahii jin aa.Nkho.n pe dhokhaa ho jaam kaa
kuchh der ko tasallii\-e\-jazbaat ho ga_ii
lab tharatharaa rahe \threedots

dekhaa use to daaman\-e\-ruKsaar nam bhii thaa
vallaah usake dil ko kuchh ehasaas\-e\-Gam bhii thaa
the usakii hasarato.n ke Kazaane luTe hu_e
lab par ta.Dap rahe the fasaane ghuTe hu_e
kaa.NTe chubhe hu_e the sisakatii uma.ng me.n
Duubii hu_ii thii phir bhii vo vafaa_o ke ra.ng me.n
dam bhar ko Katm gardish\-e\-haalaat ho ga_ii
lab tharatharaa rahe \threedots

e merii ruuh\-e\-ishq merii jaan\-e\-shaayarii
dil maanataa nahii.n ki tuu mujhase bichha.D ga_ii
maayuusiyaa.N hai.n phir bhii mere dil ko aas hai
mahasuus ho rahaa hai ke tuu mere paas hai
samajhaa_uu.N kis tarah se dil\-e\-beqaraar ko
vaapas kahaa.N se laa_uu.N mai.n guzarii bahaar ko
majabuur dil ke saath ba.Dii ghaat ho ga_ii
lab tharatharaa rahe \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{sadako.n utaariye ke naa laage kahii.n nazar}% 
\film{Palki}%
\year{1967}%
\starring{}%
\singer{Rafi}%
\music{Naushad}%
\lyrics{Shakeel}%

% Contributor: Pavan Kumar Desikan (pkd@cs.duke.edu)
% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@chandra.astro.indiana.edu)

\printtitle 
#indian 

sadako.n utaariye ke nA laage kahI.n nazar 
sehare me.n aaj phuul saa mukha.Daa hai jalavAgar 

chehare se apane aaj to paradaa uThaaiye \- (2) 
lillAh mujhako chaa.Nd sI suurat dikhaaiye 

aa.nchal me.n mu.Nh chhupaake nA sharamaaiye huzuur 
kuchh dil ki baat kIjiye kuchh muskuraaiye 
chehare \threedots

itane kariib aake bhI dil ko sukuun nahii.n 
jii chaahataa hai aur bhI nazadiik aaiye 
chehare \threedots

aaI hai zindagii me.n ye bekhudii kii raat 
sab kuchh mohabbato.n ke sivaa bhuul jaaiye 
chehare \threedots

chehare se apane aaj to paradaa uThaaiye 
lillAh mujhako chaa.Nd sI suurat dikhaaiye 

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
