% ISB File: ParaayaaDhan_1971.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{aaj unase pahalii mulaaqaat hogii}% 
\film{Paraya Dhan}%
\year{1971}%
\starring{Rakesh Roshan}%
\singer{Kishore, chorus}%
\music{R D Burman}%
\lyrics{Anand Bakshi}%

% Contributor: Arun Verma (verma@CS.Cornell.EDU)
% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@chandra.astro.indiana.edu)

\printtitle 
#indian 

ko : la lallala , la lallalla 

aaj unase pahalii mulaaqaat hogii, 
phir aamane saamane baat hogI 
phir hogaa kyA, kyA pataa kyA khabar \- 2

(anadekhaa anjaanaa mukha.Daa kaisaa hogaa   
nA jAne vo chaa.Nd kA Tuka.Daa kaisaa hogaa) \- 2 
milate hii unase haay dil me.n, 
ek beqaraarii sI din raat hogii 
phir hogaa kyA 
ko : yA yayyaya , yA yayaya 

(baiThe.n ho.nge raaste pe vo aa.Nkhe.n bichhaaye 
har aahaT pe sochate ho.nge, saajan aaye  ) \- 2
kyA haal hogaa, vahaa.N kuchh nA puuchho 
dil me.n uma.ngo.n ki baraat hogii 
phir hogaa kyA 

(khulake ho.ngI tanhaaii me.n dil kii baate.n
pyaase tanaman pe ho.ngI rim\-jhim barasaate.n ) \- 2
ai mere dil ye bhI to soch le tU 
koI sahelii agar saath hogii 
phir hogaa kyA  

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{dil haay meraa dil teraa dil}%
\film{Paraya Dhan}%
\year{1971}%
\starring{Hema Malini, Rakesh Roshan}%
\singer{Kishore}%
\music{R D Burman}%
\lyrics{Anand Bakshi}%

% Contributor: Vandana Iyengar

\printtitle
#indian

dil haay meraa dil teraa dil
dil se dil mil gayaa
he he he he laa laa laa

(zulf terii yuu.N u.Dii yuu.N mu.Dii ki ghaTaa chhaa ga_ii
ho.nTh tere yuu.N hile gul khile ki bahaar aa ga_ii)\-2
pyaar haay meraa pyaar mere yaar ban ke phuul khil gayaa
dil haay meraa dil teraa dil
dil se dil mil gayaa

(aa.Nkh terii jo uThii baad_shaaho.n ke sar jhuk gaye
chaal aisii tuu chalii log raaho.n me.n hii ruk gaye )\-2
jaan haay merii jaan ye jahaan aasmaa.N hil gayaa
dil haay meraa dil teraa dil
dil se dil mil gayaa

(ruup tere pe nazar jab pa.Dii to nazar mil ga_ii
ra.ng teraa u.D gayaa tuu kalii kii tarah khil ga_ii)\-2
nain haay mere nain tere nain mil gaye dil gayaa
dil haay meraa dil teraa dil
dil se dil mil gayaa

#humming#

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{tuu pyaar tuu priit tuu chaa.Nd tuu raat}%
\film{Paraya Dhan}%
\year{1971}%
\starring{Rakesh Roshan, Hema Malini}%
\singer{Kishore, Lata}%
\music{R D Burman}%
\lyrics{Anand Bakshi}%

% Transliterator: Mani Upadhyaya (mani@eng.utoledo.edu)
% Credits: Prince Kohli (pkohli@cc.gatech.edu)
%          Satish Subramanian (subraman@cs.umd.edu)

\printtitle
#indian

la:	tuu pyaar
ki:	tuu priit
la:	tuu chaa.Nd
ki:	tuu raat
la:	jiinaa maranaa saath
	teraa\-meraa judaa honaa mushkil hai

la:	tuu pyaar
ki:	haa.N tuu priit
la:	haa.N tuu chaa.Nd
ki:	haa.N tuu raat
la:	jiinaa maranaa saath
	teraa\-meraa judaa honaa mushkil hai

ki:	tuu saaz
la:	tuu giit
ki:	haa.N tuu ruup
la:	haa.N tuu ra.ng
ki:	chhuuTe na ye sa.ng
	teraa\-meraa judaa honaa mushkil hai
la:	tuu pyaar

	baat aaj kii to ye nahii.n
	bhuul jaaye jo wo ye nahii.n
	haa.N baat aaj kii to ye nahii.n
	bhuul jaaye jo wo ye nahii.n
	naii hai zi.ndagaanii hai sadiyo.n puraanii
	hamaarii mulaaqaat
	teraa\-meraa judaa honaa mushkil hai

ki:	tuu saaz
la:	tuu giit
ki:	haa.N tuu ruup
la:	haa.N tuu ra.ng
ki:	chhuuTe na ye sa.ng
	teraa\-meraa judaa honaa mushkil hai
	tuu pyaar

	duur\-duur ab rahanaa nahii.n
	aaj aur kuchh kahanaa nahii.n
	ho duur\-duur ab rahanaa nahii.n
	aaj aur kuchh kahanaa nahii.n
	na laage ab jiyaa re kahe to tere dwaare
	mai.n le aa_uu.N baaraat
	teraa\-meraa judaa honaa mushkil hai

la:	tuu pyaar
ki:	haa.N tuu priit
la:	haa.N tuu chaa.Nd
ki:	haa.N tuu raat
la:	jiinaa maranaa saath
	teraa\-meraa judaa honaa mushkil hai
	tuu pyaar

ki:	raat aur din Dhalate rahe.n
la:	saath\-saath ham chalate rahe.n
ki:	haa.N raat aur din Dhalate rahe.n
la:	ho saath\-saath ham chalate rahe.n
ki:	bane ham aise saathii
la:	ke jaise diyaa\-baatii
ki:	dil me.n hai ye uma.ng
	teraa\-meraa judaa honaa mushkil hai

la:	tuu pyaar
ki:	haa.N tuu priit
la:	haa.N tuu chaa.Nd
ki:	haa.N tuu raat
do:	jiinaa maranaa saath
	teraa\-meraa judaa honaa mushkil hai
la:	( tuu pyaar
ki:	haa.N tuu priit ) \-2
la:	tuu pyaar
ki:	tuu priit

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
