% ISB File: Parwaanaa_1971.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{jis din se mai.nne tumako dekhaa hai}%
\film{Parwaana}%
\year{1971}%
\starring{Amitabh Bachchan, Navin Nischal, Yogita Bali, Om Prakash}%
\singer{Rafi, Asha}%
\music{Madan Mohan}%
\lyrics{Kaifi Azmi}%

% Contributor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
% Transliterator: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)

\printtitle
#indian

r: jis din se maine tumako dekhaa hai
is dil me.n ik sapanaa saa jaagaa hai
ijaazat ho to sunaa duu.N \- 2

A: is dil ne jabase tumako paayaa hai
kuchh chorii\-chorii maine bhii dekhaa hai
gar ijaazat ho to bataa duu.N \- 2

r: shokhii hai nazaaqat hai, aa.Nkho.n me.n sharaarat hai
aise bhii sharamaanaa kyaa, kah do ki mohabbat hai
A: kahane kii zaruurat kyaa, baato.n kii haqiiqat kyaa
chhalake na nigaaho.n se, aisii bhii muhabbat kyaa
kuchh khoyaa\-khoyaa dil bhii rahataa hai
kuchh chorii\-chorii maine bhii dekhaa hai
ijaazat ho \threedots

r: dil ko naa sambhaaluu.N to, siine se lagaa luu.N to
hoTho.n kii jo laalii hai, usako mai.n churaa luu.N to
A: yuu.N nazare.n na Daalo tum, ab dil ko sambhaalo tum
dekhe na hame.n duniyaa, siine me.n chhupaa lo tum
na jaane mujhako Dar kyo.n lagataa hai
kuchh chorii\-chorii maine bhii dekhaa hai
ijaazat ho \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{piyaa kii galii laage bhalii}%
\film{Parwana}%
\year{1971}%
\starring{Navin Nishchol, Amitabh Bachchan, Yogita Bali}%
\singer{Asha, Parveen Sultana}%
\music{Madan Mohan}%
\lyrics{Kaifi Azmi}%

% Contributor: K Vijay Kumar
% Transliterator: K Vijay Kumar
% Credits: Malini Kanth

\printtitle
#indian

piyaa kii galii laage bhalii
roko na sakhii jiyaa bas me.n nahii.n
kahaa.N tuu chalii birahaa jalii
dekhe na koii sakhii jaa na kahii.n

badariyaa ghir ghir aaye
bijuriyaa shor machaaye
mai.n to jaa_uu.Ngii, mai.n to jaa_uu.Ngii, mai.n to jaa_uu.Ngii
sa.Nvar ke bindiyaa lagaa ke
na jaa tuu ruup sajaa ke
mai.n to jaa_uu.Ngii, mai.n to jaa_uu.Ngii, mai.n to jaa_uu.Ngii
chhup gaye taare rain Dhalak gaii
suunii rahii morii sajiyaa to kyaa hogaa
piyaa kii galii \threedots

raat hai kaarii barakhaa parat hai
bhiige jo naino.n kaa kajaraa to kyaa hogaa
mast pavan hai chunarii u.Dat hai
mahake jo phuulo.n kaa gajaraa to kyaa hogaa
chho.Do chho.Do chho.Do bahiyaa.N rahaa na jaaye
dekho dekho dekho dekho piyaa bulaaye
kaise na jaa_uu.N, kaise na jaa_uu.N \-2
der se morii raah takat hai
ruuThaa jo baa.Nkaa sajanaa to kyaa hogaa
piyaa kii galii \threedots

diivaanii chup ho jaa re
piyaa kii dhun mat gaa re
mai.n to gaa_uu.Ngii, mai.n to gaa_uu.Ngii, mai.n to gaa_uu.Ngii
jiyaa ko tuu samajhaa re
sunegii sab duniyaa re
mai.n to gaa_uu.Ngii, mai.n to gaa_uu.Ngii, mai.n to gaa_uu.Ngii
kaahe tuu Toke kaahe roke
rahaa chaman meraa pyaasaa to kyaa hogaa
piyaa kii galii \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{simaTii sii sharamaa_ii sii, kis duniyaa se tum aaii ho}%
\film{Parwaana}%
\year{1971}%
\starring{Amitabh Bachchan, Navin Nischol, Yogita Bali}%
\singer{Kishore}%
\music{Madan Mohan}%
\lyrics{Kaifi Azmi}%

% Transliterator: Venkatasubramanian K. G (gopala@cs.wisc.edu)
% Credits: rec.music.indian.misc 
%          (partha@waves.berkeley.edu)
% 	   Arun Verma (verma@cs.cornell.edu)
%	Arunabha S Roy for supplying the first antaraa
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)

\printtitle
#indian

simaTii sii sharamaaii sii, kis duniyaa se tum aaii ho
kaise jahaa.N me.n samaayegaa, itanaa husn jo laaii ho
simaTii sii\threedots

hiiraa nazar chaa.Ndii badan resham ha.Nsii mukha.Daa chaman
ka.ngaal hai.n saare hasii.n bas ek tumhii.n rakhatii ho dhan
luTane kaa Dar hai ghabaraa_ii ho \- (2)

jab tak tumhe dekhaa nahii.n, ye dil kabhii dhaDakaa nahii.n
aaye gaye kitane sanam mai.nne magar puujaa nahii.n
tum dil kii pahalii a.nga.Daaii ho \- (2)
simaTii sii\threedots

aa.Nkhe.n milii.n vaadaa huaa, kuchh kah diyaa, kuchh sun liyaa
Thahare kahaa.N betaab dil, kaise mile apanaa pataa
zulfo.n kii badalii jab chhaaii ho \- (2)
simaTii sii\threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
