% ISB File: PattharKaKhwab_1969.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{yaado.n kaa sahaaraa naa hotaa}%
\film{Patthar Ka Khwaab}%
\year{1969}%
\starring{Mahipal, Praveen Chowdhary, Madhumati}%
\singer{Talat}%
\music{N Dutta}%
\lyrics{Pal Premi}%

% Contributor: Nita Awatramani
% Transliterator: Nita Awatramani

\printtitle
#indian

yaado.n kaa sahaaraa naa hotaa ham chho.D ke duniyaa chal dete
ye dard jo pyaaraa naa hotaa ham chho.D ke duniyaa chal dete

TuuTaa huaa dil TuuTe armaa.N terii hai amaanat paas mere
ye dil jo tumhaaraa naa hotaa ham chho.D ke duniyaa chal dete

shaayad ke tere kaam aa jaaye ye jaan merii O jaan-e-jigar
qismat kaa ishaaraa naa hotaa ham chho.D ke duniyaa chal dete

ruk jaaye kahaa.N ye kis ko Khabar dauraan-e-safar yaa ma.nzil par 
gardish me.n sitaaraa naa hotaa ham chho.D ke duniyaa chal dete

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
