% ISB File: PoojaKePhool_1964.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{ab do dilo.n kii mushkil aasaan ho ga_ii hai}%
\film{Pooja Ke Phool}%
\year{1964}%
\starring{Ashok Kumar, Mala Sinha, Dharmendra, Nimmi, Sandhya Roy, Pran}%
\singer{Rafi, Asha}%
\music{Madan Mohan}%
\lyrics{Rajinder Krishan}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10593 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

ra \:	ab do dilo.n kii mushkil aasaan ho ga_ii hai
	duniyaa ko mohabbat kii pahachaan ho ga_ii hai
la \:	ab pyaar kii har ma.nzil aasaan ho ga_ii hai
	aapas me.n do dilo.n kii pahachaan ho ga_ii hai

ra \:	is raaste se guzaraa ik din ko_ii bechaaraa
	naa jaane kis adaa se tumane use pukaaraa
	aisaa kiyaa ishaaraa kuchh soch ke bechaaraa
	vo ho gayaa tumhaaraa
	duniyaa bhii dekhakar ye hairaan ho ga_ii hai

la \:	kab se tumhaarii Kaatir ham raah me.n pa.De the
	ik roz phir ye dekhaa tum saamane kha.De the
	aisii nazar milaa_ii duniyaa mujhe bhulaa_ii
	kuchh soch bhii na paa_ii
	jaise ki ruuh merii bejaan ho ga_ii hai

ra \:	milanaa thaa jinako ab vo diivaane mil ga_e hai.n
la \:	terii daastaa.N se mere afasaane mil ga_e hai.n
ra \:	ab ek hii kahaanii ab ek hii fasaanaa
	ab ek hii taraanaa
la \:	do jism to hai.n lekin ik jaan ho ga_ii hai

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
