% ISB File: Professor_1962.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{aavaaz de ke hame.n tum bulaao}%
\film{Professor}%
\year{1962}%
\starring{Shammi Kapoor, Kalpana}%
\singer{Rafi, Lata}%
\music{Shankar-Jaikishan}%
\lyrics{Hasrat}%

% Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org)
% Credits: rec.music.indian.misc (USENET newsgroup) 
%          Satish Subramanian (subraman@myria.cs.umn.edu)
%          C.S. Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)

\printtitle
#indian

%	The next one is a a sad number from "Professor". This movie
%had other good songs like 'mai chali, mai chali', 'ai gulbadan', and
%'o koi aayega aayega aayega'.  All Shammi movies have good songs
%usually.
%Anyway, here is the duet between Lata and Rafi, 'awaaz deke hamen..'
%satish

lataa:	aavaaz deke hame.n tum bulaao
mohabbat me.n itanaa naa hamako sataao

abhii to merii zi.ndagii hai pareshaa.n
kahii.n mar ke ho khaak bhii na pareshaa.n
diye kii tarah se na hamako jalaao
mohabbat me.n itanaa naa hamako sataao

rafii:	mai.n saa.nso.n ke har taar me.n chhup rahaa huu.N
mai.n dha.Dakan ke har raag me.n bas rahaa huu.N
zaraa dil kii jaanib nigaahe.n jhukaao
mohabbat me.n itanaa naa hamako sataao

lataa:	naa ho.nge agar ham to rote rahoge
sadaa dil kaa daaman bhigote rahoge
jo tum par miTaa ho use naa miTaao
mohabbat me.n itanaa naa hamako sataao

rafii:	aavaaz deke hame.n tum bulaao
mohabbat me.n itanaa naa hamako sataao

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{ai gulabadan phuulo.n kii mahak kaa.NTo.n kii chubhan}%
\film{Professor}%
\year{1962}%
\starring{Shammi Kapoor, Kalpana, Lalita Pawar}%
\singer{Rafi}%
\music{Shankar-Jaikishan}%
\lyrics{Hasrat}%

% Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org)
% Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu)
%          Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu)
%          Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu)

\printtitle
#indian

ai gulabadan, ai gulabadan, phuulo.n kii mahak kaa.NTo.n kii chubhan
tujhe dekh ke kahataa hai meraa man
kahii.n aaj kisii se muhabbat naa ho jaae

kyaa hasiin mo.D par aa ga_ii zi.ndagaanii
kii haqiiqat na ban jaae merii kahaanii
jab aahe.n bhare ye Tha.nDii pavan
siine me.n sulag uThatii hai agan
tujhe dekh ke \threedots

kyaa ajiib ra.ng me.n saj rahii hai Kudaaii
kii har ik chiiz maalik ne su.ndar banaaii
nadiyaa kaa chamakataa hai darapan
muKa.Daa dekhe.n sapano.n kii dulhan
tujhe dekh ke \threedots

mai.n tumhii.n se yuu.N aa.Nkhe.n milaataa chalaa huu.N
ki tumhii.n ko mai.n tumase churaataa chalaa huu.N
mat puuchho meraa diivaanaapan
aakaash se uu.Nchii dil kii u.Dan
tujhe dekh ke \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{mai.n chalii mai.n chalii piichhe\-piichhe jahaa.N}%
\film{Professor}%
\year{1962}%
\starring{Shammi Kapoor, Kalpana, Lalita Pawar}%
\singer{Rafi, Lata}%
\music{Shankar-Jaikishan}%
\lyrics{Hasrat}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10925 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

la \:	mai.n chalii mai.n chalii piichhe\-piichhe jahaa.N
	ye na puuchho kidhar ye na puuchho kahaa.N
ra \:	( sajade me.n husn ke jhuk gayaa aasamaa.N
	lo shuruu ho ga_ii pyaar kii daastaa.N ) \-2

	jaa_o jahaa.N kahii.n aa.Nkho.n se duur
	dil se na jaa_oge mere huzuur
la \:	jaaduu nigaaho.n kaa chhaayaa suruur
	aise me.n bahake to kisakaa qusuur
ra \:	sajade me.n husn \threedots
la \:	mai.n chalii \threedots

	bahake qadam chaahe bahake nazar
	jaa_e.Nge dil le ke jaa_e.N jidhar
ra \:	pyaar kii raaho.n me.n pyaaraa safar
	ham kho bhii jaa_e.N to kyaa hai fiqar
la \:	mai.n chalii \threedots
ra \:	sajade me.n husn \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{zaraa Thaharo ... khulii palak me.n jhuuthaa Gussaa}%
\film{Professor}%
\year{1962}%
\starring{Shammi Kapoor, Kalpana, Lalita Pawar}%
\singer{Rafi}%
\music{Shankar-Jaikishan}%
\lyrics{Shailendra}%

% Contributor: Surma Bhopali
% Transliterator: Surma Bhopali

\printtitle
#indian

zaraa thaharo zaraa thaharo
sadaa mere dil kii zaraa sunatii jaa_o

khulii palak me.n jhuuthaa gussaa band palak me.n pyaar
jiinaa bhii mushkil haay maranaa bhii mushkil
aa.nkho.n me.n ikaraar kii jhalkii hotho.n par inkaar
jiinaa bhii mushkil haay maranaa bhii mushkil

jis din se dekhaa tumako tum lage mujhe apane se
aur aake rahe aa.nkho.n me.n haay
aur aake rahe aa.nkho.n me.n ik manachaahe sapane se
samajh naa aaye kyaa jiitaa mai.n aur gayaa kyaa haar
jiinaa bhii mushkil haay maranaa bhii mushkil
\threedots

tum pyaar chhupaake haare mai.n pyaar jataake haaraa
ab to saarii duniyaa pe haay
ab to saarii duniyaa pe zaahir hai haal hamaaraa
pahu.nch ke is manzil pe lautanaa ab to hai dushwaar
jiinaa bhii mushkil haay maranaa bhii mushkil
\threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
