% ISB File: Purnima_1965.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{gorii nain tumhaare kyaa kahane}%
\film{Purnima}%
\year{1965}%
\starring{Dharmendra, Meena Kumari, Anita Guha, Mehmood}%
\singer{Mukesh}%
\music{Kalyanji-Anandji}%
\lyrics{Bharat Vyas}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10983 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

gorii nain tumhaare kyaa kahane \-2
baalo.n me.n saavan kii ghaTaa
gaalo.n pe puunam kii chhaTaa
ghu.NghaTaa haTaa
gorii nain tumhaare \threedots

cha.nchal\-cha.nchal chaal tumhaarii hiranii dhokhaa khaa_e
goraa\-goraa dekhake mukha.Daa chandaa chhup\-chhup jaa_e
baat kare to phuul jhare.n muskaa_e to ra.ng bhare.n
zulm kare.n
gorii nain tumhaare \threedots

pal me.n maare pal me.n jilaa_e chhup\-chhup baan chalaa_e
niilakamal se in naino.n kaa bhed samajh naa aa_e
kabhii\-kabhii to pyaar kare.n kabhii\-kabhii takaraar kare.n
ras ke bhare
gorii nain tumhaare \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{hamasafar mere hamasafar, pa.nkh tum paravaaz ham}%
\film{Purnima}%
\year{1965}%
\starring{}%
\singer{Lata, Mukesh}%
\music{G S Kohli}%
\lyrics{Anjaan}%

% Contributor: Alfaaz
% Transliterator: K Vijay Kumar

\printtitle
#indian

hamasafar mere hamasafar, pa.nkh tum paravaaz ham
zi.ndagii kaa saaz ho tum, saaz kii aavaaz ham
hamasafar mere hamasafar, pa.nkh tum paravaaz ham
zi.ndagii kaa giit ho tum, giit kaa a.ndaaz ham

aa.Nkh ne sharamaa ke kah dii
dil ke sharamaane kii baat
pyaar kii tum i.ntahaa ho
pyaar kii aaGaaz tum
hamasafar mere hamasafar   \threedots

zikr ho jab aasamaa.N kaa
yaa zamii.n kii baat ho
Katm hotii hai tumhii.n par
ab kahii.n kii baat ho
ho hasii.n tum, mahajabii.n tum
naazanii.n tum naaz ham
hamasafar mere hamasafar   \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{tumhe.n zindagii ke ujaale mubaarak}%
\film{Purnima}%
\year{1965}%
\starring{Dharmendra, Meena Kumari, Anita Guha, Mehmood}%
\singer{Mukesh}%
\music{Kalyanji-Anandji}%
\lyrics{Gulzar}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10982 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

tumhe.n zindagii ke ujaale mubaarak
a.ndhere hame.n aaj raas aa ga_e hai.n
tumhe.n paa ke ham Kud se duur ho ga_e the
tumhe.n chho.Dakar apane paas aa ga_e hai.n
tumhe.n zindagii ke \threedots

tumhaarii vafaa se shiqaayat nahii.n hai
nibhaanaa to ko_ii ravaayat nahii.n hai
jahaa.N tak qadam aaa sake aa ga_e hai.n
a.ndhere hame.n aaj \threedots

chaman se chale hai.n ye ilzaam lekar
bahut jii li_e ham teraa naam lekar
muraado.n kii ma.nzil se duur aa ga_e hai.n
a.ndhere hame.n aaj \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
