% ISB File: PyaarBharaaDil_1991.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{chaa.Nd ban ke tum gagan se merii galii me.n aayaa karo}%
\film{Pyaar Bharaa Dil}%
\year{1991}%
\starring{Tanuja, Aloknath, Reema Lagoo, Raza Murad, Rakesh Bedi, Dinesh Hingoo}%
\singer{Kumar Sanu, Anuradha}%
\music{Nikhil Vinay}%
\lyrics{Yogesh}%

% Contributor: V S Rawat

\printtitle
#indian

chaa.Nd ban ke tum gagan se merii galii me.n aayaa karo
chorii chorii chupake chupake \-2 mere Kvaab sajaayaa karo
rajaniiga.ndhaa banake tum bhii raat me.n khil jaayaa karo
( Kushbuu apanii bhiinii bhiinii  ) \-2 saa.Nso.n me.n basaayaa karo
chaa.Nd ban ke tum \threedots

tum hii bataa_o hosh se kaise mai.n aaKir kaam luu.N
aa.Nchal tumhaaraa reshamii dil chaahataa hai thaam luu.N
o dhiiraj dharo zid na karo aise naa tum aahe.n bharo
yuu.N na chain ga.nvaayaa karo
rajaniiga.ndhaa banake \threedots

bhar doge merii maa.ng tum jis din piyaa sinduur se
us din mere aramaan bhii ho.nge nashe me.n chuur se
ghuu.NghaT teraa kholuu.Ngaa mai.n sharamaa_ii to boluu.Ngaa mai.n
ab na nain churaayaa karo
chaa.Nd ban ke tum \threedots

taare kahii.n kho jaa_e.nge ho jaa_egii gum chaa.Ndanii
Kaamosh din kii dhuup me.n Duubegii dil kii raaganii
jab dhuup ho chhalakii chhalakii badalii banake halkii halkii
mere pyaar pe chhaayaa karo
chaa.Nd ban ke tum \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{dil dil dil na to.Do ... ye pyaar bharaa dil tere li_e hai}%
\film{Pyaar Bharaa Dil}%
\year{1991}%
\starring{Tanuja, Aloknath, Reema Lagoo, Raza Murad, Rakesh Bedi, Dinesh Hingoo}%
\singer{Anuradha Paudwal, Udit Narayan}%
\music{Nikhil Vinay}%
\lyrics{Yogesh}%

% Contributor: V S Rawat

\printtitle
#indian

dil dil dil na to.Do gumasum tum rahanaa chho.Do
dekho kab se kahate hai.n sanam
ye pyaar bharaa dil tere li_e hai
dil dil dil naa \threedots

dil ko sa.nbhaalo yuu.n na uchhaalo pahaluu se jo dil gayaa
meraa naam loge ilzaam doge rusavaa karoge piyaa
sach hii kahataa hai terii khataa hai tuune churaayaa hai dil
jiivan ke safar me.n har ek Dagar me.n tuu hai merii ma.nzil
dil dil dil naa \threedots

tuu pyaar kar le ikarar kar le bas aarazuu hai yahii
tuu paas aa_ii dil me.n samaa_ii kyo.n duur phir bhii rahii
tuu to hai la.Dakaa dil meraa dha.Dakaa har baat tuune kahii
mai.n to huu.N la.Dakii mai.n kaise kahatii dil kii to dil me.n rahii
dil dil dil naa \threedots

ye pal nashiile chhaliyaa ra.ngiile kal ho.nge jaane kahaa.n
mausam kaa raahii degaa gavaahii ham tum mile the yahaa.n
in vaadiyo.n me.n kaisii kashish hai kaisii hai jaaduugarii
dil chaahataa hai mil ke guzaare.n ham tum yahii.n zi.ndagii
dil dil dil naa \threedots

ab ham saath ji_e.n mar jaa_e.n
pyaar me.n kisii kii jiit naa to haar hotii hai
pyaar me.n bhare takaraar kii ma.nzil to pyaar hotii hai
miyaa.n a.ndar hotaa hai biivii bhii a.ndar hotii hai

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
