% ISB File: PyarKiyaToDarnaKya_1963.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{duniyaa me.n mohabbat vaalo.n kii taqadiir badalatii rahatii hai}%
\film{Pyar Kiya To Darna Kya}%
\year{1963}%
\starring{Prithviraj Kapoor, Shammi Kapoor, B. Saroja Devi, Pran}%
\singer{Asha}%
\music{Ravi}%
\lyrics{Shakeel}%

% Contributor: BOL ANAMOL #11478 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

duniyaa me.n mohabbat vaalo.n kii taqadiir badalatii rahatii hai \-2
shiishaa to vahii rahataa hai magar tasviir badalatii rahatii hai
duniyaa me.n mohabbat \threedots

kho_e the Kushii ke Kvaab me.n ham
jab aa.Nkh khulii kuchh bhii naa rahaa \-2
ulfat ke sunahare Kvaabo.n kii taabiir badalatii rahatii hai
shiishaa to vahii \threedots

duniyaa hai ye vo duniyaa jisame.n
ek dard miTe ek dard mile \-2
qaidii to vahii rahataa hai magar za.njiir badalatii rahatii hai
shiishaa to vahii \threedots

ham to ye du_aa_e.N karate the
aabaad rahe duniyaa apanii \-2
lekin ye hame.n maaluum na thaa taasiir badalatii rahatii hai
shiishaa to vahii \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{jaan\-e\-bahaar husn teraa bemisaal hai}%
\film{Pyaar Kiya To Darna Kya}%
\year{1963}%
\starring{Prithviraj Kapoor, Shammi Kapoor, B. Saroja Devi, Pran}%
\singer{Rafi}%
\music{Ravi}%
\lyrics{Sahir}%

% Contributor: Mohan Rathore (rathore@ece.rutgers.edu)
% Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) 
% Date: Mon Jul 10, 1995
% Credits: Preetham Gopalaswamy (preetham@connectinc.com) 

\printtitle
#indian

jaan\-e\-bahaar husn teraa bemisaal hai
vallaah kamaal hai, are vallaah kamaal hai

aaii hai mere paas tuu is aan\-baan se
utarii ho jaise koii parii aasmaan se
mai.n kyaa kahuu.N khushii se ajab meraa haal hai

haay ye terii mast adaa_e.n ye baakapan \-2
kiraNo.n ko bhii mai.n chhuune na duu.Ngaa ye goraa tan
tujhase nazar milaae ye kisakii majaal hai

mai.n khushanasiib huu.N ke tujhe mai.nne paa liyaa \-2
tuune karam kiyaa mujhe apanaa banaa liyaa
aise mile hai.n ham ke bichha.Danaa muhaal hai

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{zindagii kyaa hai Gam kaa dariyaa hai}%
\film{Pyar Kiya To Darna Kya}%
\year{1963}%
\starring{Prithviraj Kapoor, Shammi Kapoor, B. Saroja Devi, Pran}%
\singer{Rafi}%
\music{Ravi}%
\lyrics{Shakeel}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10731 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

zindagii kyaa hai Gam kaa dariyaa hai
na jiinaa yahaa.N bas me.n na maranaa yahaa.N bas me.n
ajab duniyaa hai
zindagii kyaa hai \threedots

haay re vo insaan ke jisako Gam kii nazar lag jaa_e
chupake\-chupake aahe.n bhare aur mu.Nh se na kuchh kah paa_e
dil apanaa ha.Nsataa hai khud par ( aur kabhii rotaa hai ) \-2
zindagii kyaa hai \threedots

jhuuThii hai.n duniyaa kii bahaare.n ra.ng hai.n saare kachche
vaqt pa.De to thaam le.n daaman phuul se kaa.NTe achchhe
is gulashan me.n qadam\-qadam par ek ( nayaa dhokhaa hai ) \-2
zindagii kyaa hai \threedots

jab insaan akelaa thaa to dukh bhii na the jiivan me.n
paayaa jab hamaraahii usane Duub gayaa ulajhan me.n
ye duniyaa hai begaano.n kii kaun ( yahaa.N apanaa hai ) \-2
zindagii kyaa hai \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
