% ISB File: RoopKumaari_1956.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{aayii bahaar, muskuraayii bahaar}%
\film{Roopkumari}%
\year{1956}%
\starring{Shakeela, Mahipal}%
\singer{Geeta}%
\music{S N Tripathi}%
\lyrics{B D Mishra}%

% Contributor: Srinivas Ganti
% Transliterator: K Vijay Kumar
% Credits: Neha Desai

\printtitle
#indian

aayii bahaar muskuraayii bahaar
aayii bahaar muskuraayii bahaar
pyaar ke devata aa kare.n milake pyaar
aayii bahaar muskuraayii bahaar   \threedots

o~ ho~
priit kyaa hai tujhe mai.n sikhaa_uu.N
tere sapano.n kii mahafil sajaa_uu.N
mastiyo.n kii bahaar luuT le ek baar
pyaar ke devata aa kare.n milake pyaar   \threedots

o~ ho~
prem kaa diip tuu bhii jalaa le
suune man kaa andheraa miTaa le
chhe.D de man ke taar sun le meri pukaar
pyaar ke devata aa kare.n milake pyaar   \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
