% ISB File: Rudaali_1993.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{biite na biite na rainaa}%
\film{Rudaali}%
\year{1993}%
\starring{Dimple Kapadia, Rakhee, Raj Babbar}%
\singer{Asha}%
\music{Bhupen Hazarika}%
\lyrics{Gulzar}%

% Contributor: K Vijay Kumar
% Transliterator: K Vijay Kumar

\printtitle
#indian

biite na biite na rainaa
kore hai.n nii.nd se nainaa
naino ke sapane bhii guu.Nge
aaye to bole na bainaa
biite na biite na rainaa   \threedots

maaruu me.n u.Datii hai.n paagal havaae.n
maaruu akele na jaanaa
retii ke Dhero.n ke u.Date babuule
retii me.n ghar na banaanaa
biite na biite na rainaa   \threedots

raato.n ke panno.n pe na koii saayaa
na koii sa.ngii na saathii
aa.Ngan me.n utare na subah ke paakhii
na koii saajan na saaqii
biite na biite na rainaa   \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{dil huu.N huu.N kare, ghabaraae}%
\film{Rudaali}%
\year{1993}%
\starring{Dimple}%
\singer{Bhupen Hazarika / Lata}%
\music{Bhupen Hazarika}%
\lyrics{Gulzar}%

% Contributor: Himanshu Gupta (himanshu.gupta@eng.sun.com) 
% Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu)
% Date: Thu Aug 10, 1995
% Editor: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) 

\printtitle
#indian

dil huu.N huu.N kare, ghabaraae
ghan dham dham kare, garajaae
ek buu.Nd kabhii paanii kii
more a.Nkhiyo.n se barasaae

terii jholii Daaruu.N, sab suukhii paat jo aae
teraa chhuaa lage, merii suukhii Daal hariyaae
dil huu.N huu.N kare, ghabaraae

jis tan ko chhuuaa tuune us tan ko chhupaa_uu.N
jis man ko laage nainaa, vo kisako dikhaa_uu.N
o morii chandramaa, terii chaa.Ndanii a.Ng jalaae
uu.Nchii torii aTaarii, mai.n ne pa.Nkh li_e kaTavaae

% In the Lata version, this line is slightly different
% torii uu.Nchii aTaarii, mai.n ne pa.Nkh li_e kaTavaae

dil huu.N huu.N kare, ghabaraae

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{jhuuThi\-muuThi mitavaa aavan bole}%
\film{Rudaali}%
\year{1993}%
\starring{Dimple Kapadia, Rakhee, Raj Babbar}%
\singer{Lata}%
\music{Bhupen Hazarika}%
\lyrics{Gulzar}%

% Contributor: K Vijay Kumar
% Transliterator: K Vijay Kumar

\printtitle
#indian

jhuuThii\-muuThii mitavaa aavan bole
bhaado.n bole, kabhii saavan bole
jhuuThii\-muuThii mitavaa aavan bole   \threedots

baadalo.n pe chalane ko chaahuu.N piyaa
aao meraa jhuulanaa jhulaao piyaa
ban ban papiihaa pihuu bole
jhuuThii\-muuThii mitavaa aavan bole   \threedots

rog ye kaisaa laagaa mohe
aarasii uThaa_uu.N dekhuu.n tohe
man cha.nchal mose chhal na kare
baa.Nvarii bole kabhii pagalii bole
kaarii torii akhiyaa.N yaad karuu.N
aarasii me.n baar baar kaajar bharuu.N
man mitavaa kaahe pihuu bole
jhuuThii\-muuThii mitavaa aavan bole   \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{maulaa ho maulaa}%
\film{Rudaali}%
\year{1993}%
\starring{Dimple Kapadia, Raj Babbar, Rakhee}%
\singer{Bhupen Hazarika}%
\music{Bhupen Hazarika}%
\lyrics{Gulzar}%

% Contributor: K Vijay Kumar

\printtitle
#indian

maulaa ho maulaa (2)
zi.ndagii kii aag me.n kaahe ko jalaate ho
kaaGazii shariir kaa jholaa
bhuukh miTaaye re, pyaas bujhaaye re
panii priit kaa gholaa
haiyyaa naa, haiyyaa naa, haiyyaa naa, haiyyaa

gol hai.n mol hai.n, raasate ke pahiye
gire na shariir kaa Dolaa, ho Dolaa
kal se bukhaar hai, sar pe savaar hai
suuraj aag kaa golaa, golaa, golaa, golaa
haiyyaa naa, haiyyaa naa, haiyyaa naa, haiyyaa (2)

aa.Nkhe.n hai.n kaajal hai.n, zulfo.n ke baadal hai.n
lagate hai.n din raat bhaav, bhaav
baazaarii kismo.n kii, kitane kismo.n kii
aao Kariidaro.n aao
suukhii ye fasale.n, aadamii kii nasale.n
maulaa ho maulaa ho maulaa
zi.ndagii kii aag se mukti dilaaye re
maa.Nge bhikhaariyo.n kaa Tolaa (2)
bhuukhe bhikhaariyo.n kaa Tolaa, Tolaa, Tolaa, Tolaa
bhuukh miTaaye re, pyaas bujhaaye re
panii priit kaa gholaaa
haiyyaa naa, haiyyaa naa, haiyyaa naa, haiyyaa (2)

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{samay o dhiire chalo}%
\film{Rudaali}%
\year{1993}%
\starring{Dimple}%
\singer{Bhupen Hazarika / Lata / Asha}%
\music{Bhupen Hazarika}%
\lyrics{Gulzar}%

% Contributor: Ravi Kant Rai 
% Transliterator: Ravi Kant Rai 
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
% Comments : Lata, Asha and Bhupen sing the same lyrics.

\printtitle
#indian

samay o dhiire chalo
bujh gaI raah se chhaa.Nv
duur hai duur hai pii kaa gaa.Nv
dhiire chalo dhiire chalo

jii ko bahalaa liyaa
tuune aas niraash kaa khel kiyaa \- 2
chaar dino.n me.n koI jiyaa naa jiyaa \- 2
zahar ye saa.Ns kaa piyaa naa piyaa \- 2

ye havaa sab le gaI
kaaravaa.n ke nishaa.n bhii u.Daa le gaI
u.Datii havaao.n vaale mile.nge kahaa.N \- 2
koI bataa do mere piyaa kaa nishaa.N \- 2

samay o dhiire chalo
bujh gaI raah se chhaa.Nv
duur hai, duur hai pii kaa gaa.Nv
dhiire chalo dhiire chalo

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
