% ISB File: SaathSaath_1982.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{kyo.n zindagii kii raah me.n majabuur ho gae}%
\film{Saath Saath}%
\year{1982}%
\starring{Farooq Sheikh, Deepti Naval}%
\singer{Chitra Singh}%
\music{Kuldeep Singh}%
\lyrics{Javed Akhtar}%

% Contributor: C.S. Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu)
% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@ndsun.cs.ndsu.nodak.edu)
% Credits: Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)

\printtitle
#indian

kyo.n zindagii kii raah me.n majabuur ho gae
itane hue kariib ki ham duur ho gae

aisaa nahii.n ki hamako koii bhii khushii nahii.n
lekin ye zindagii to koI zindagii nahii.n
kyo.n isake faisale hame.n ma.nzuur ho gae, 
itane hue \threedots

paayaa tumhe.n to hamako lagaa tumako kho diyaa
ham dil pe roe aur ye dil ham pe ro diyaa
palako.n se Kvaab kyo.n gire kyo.n chuur ho gae,
itane hue \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{pyaar mujhase jo kiyaa tumane to kyaa paaogii}%
\film{Saath Saath}%
\year{1982}%
\starring{Farooq Sheikh, Deepti Naval}%
\singer{Jagjit Singh}%
\music{Kuldeep Singh}%
\lyrics{Javed Akhtar}%

% Contributor: Sridhar Narayanan (sridhar@math.mcgill.ca)
% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@ndsun.cs.ndsu.nodak.edu)
% Credits: C.S. Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu)
%          Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)

\printtitle
#indian

pyaar mujhase jo kiyaa tumane to kyaa paaogii
mere haalat kii aa.ndhii me.n bikhar jaogii
pyaar mujhase jo kiyaa tumane to kyaa paaogii

ra.nj aur dard kii bastii kaa mai.n baashindaa huu.N
ye to bas mai.n huu.N ke is haal me.n bhii zindaa huu.N
khvaab kyuu.n dekhuu.N vo kal jisape mai.n sharmindaa huu.N
mai.n jo sharmindaa huaa tum bhii to sharamaaogii
pyaar mujhase jo kiyaa \threedots

kyU.n mere saath koi aur pareshaan rahe
merii duniyaa hai jo vIraan to vIraan rahe
zindagii kaa ye safar tumako to aasaan rahe
hamasafar mujhako banaogii to pachhataaogii
pyaar mujhase jo kiyaa \threedots

ek mai.n kyaa abhii aaye.nge dIvaane kitane
abhii gU.njege muhabbat ke taraane kitane
zindagii tumako sunaayegii fasaane kitane
kyU.n samajhatii ho mujhe bhuul nahii paaogii
pyaar mujhase jo kiyaa \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{tumako dekhaa to ye Kayaal aayaa}%
\film{Saath Saath}%
\year{1982}%
\starring{Farooq Sheikh, Deepti Naval}%
\singer{Jagjit Singh}%
\music{Kuldeep Singh}%
\lyrics{Javed Akhtar}%

% Transliterator: Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu)
% Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu)
%          Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)

\printtitle
#indian

tum ko dekhaa to ye Kayaal aayaa
zi.ndagii dhuup tum ghanaa saayaa
tum ko\threedots

aaj phir dilane ek tamannaa kii \- (2)
aaj phir dilako hamane samajhaayaa
zi.ndagii dhuup tum ghanaa saayaa\threedots

tum chale jaaoge to soche.nge \- (2)
hamane kyaa khoyaa, hamane kyaa paayaa
zi.ndagii dhuup tum ghanaa saayaa\threedots

ham jise gunagunaa nahii.n sakate \- (2)
vaqt ne aisaa giit kyuu.N gaayaa
zi.ndagii dhuup tum ghanaa saayaa\threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{tumako pataa hai ... ##college## kaa ik la.Dakaa hai}%
\film{Saath Saath}%
\year{1982}%
\starring{Faroukh Sheikh, Deepti Naval}%
\singer{}%
\music{Kuldeep Singh}%
\lyrics{Javed Akhtar}%

% Contributor: K Vijay Kumar
% Transliterator: K Vijay Kumar

\printtitle
#indian

tumako pataa hai
tum ko pataa hai is ##college## ke ik la.Dake aur la.Dakii me.n
## you know what I mean ##
## my goodness ## kaun hai.n vo
kyaa naam hai un kaa
tum ko bataa detaa huu.N lekin dekho, yaani samajhii?
uff o, had.h hai. kaan me.n bolo. sach!?
haa.N bilakul sach hai

##college## kaa ik la.Dakaa hai aur ##college## kii ik la.Dakii
nain mile aur unake dil me.n ik chi.ngaarii bha.Dakii
pyaar kaa chakkar hai ye hai na
dekho kisii se na kahanaa

vo la.Dakaa aur ye la.Dakii koii maan nahii.n sakataa hai
kab kyaa ho jaataa hai koii jaan nahii.n sakataa hai

##sir## ne puuchhaa kis ne la.Dii thii paaniipat kii la.Daa_ii
la.Dake ne sochaa aur bolaa aaj nahii.n vo aa_ii
pyaar kaa chakkar hai ye hai na \threedots

##college## ke baahar bhii sunaa hai vo dono.n milate hai.n
ab to dekhe.n kyaa ho bhai_yaa kyaa kyaa gul khilate hai.n

la.Dake kii dhun me.n la.Dakii bhii aisii hai pagalaa_ii
hindii kii kakshhaa me.n bhaiyaa ## english book ## le aa_ii
kyo.n ki pyaar kaa chakkar hai ye hai na \threedots

kal jab la.Dakaa ##college## aayaa la.Dakii bhii saath aa_ii
achchhaa?
mai.n ne puuchhaa ye sab kyaa hai
kyaa bole vo?
bole.nge kyaa
la.Dkaa kaafii jhe.np gayaa aur la.Dakii bhii sharamaayii
## so sweet ##

jab se dono.n ek hue hai.n ye hotaa hai aksar
la.Dakii kaa jab naam pukaaraa, la.Dakaa bolaa ## yes sir! ##
pyaar kaa chakkar hai ye hai na \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{ye teraa ghar, ye meraa ghar}%
\film{Saath Saath}%
\year{1982}%
\starring{Farouq Sheikh, Deepti Naval}%
\singer{Jagjit Singh, Chitra Singh}%
\music{Kuldeep Singh}%
\lyrics{Javed Akhtar}%

% Contributor: Alfaaz
% Transliterator: K Vijay Kumar

\printtitle
#indian

ye teraa ghar ye meraa ghar kisii ko dekhanaa ho gar
to pahale aa ke maa.Ng le, merii nazar terii nazar
ye teraa ghar ye meraa ghar
ye ghar bahut hasiin hai   \threedots

na baadalo.n kii chhaa.Nv me.n, na chaa.Ndanii kii gaa.Nv me.n
na phuul jaise raaste bane hai.n isake vaaste
magar ye ghar ajiib hai, zamiin ke qariib hai
ye ii.nT pattharo.n kaa ghar, hamaarii hasarato.n kaa ghar
ye teraa ghar ye meraa ghar   \threedots

jo chaa.Ndanii nahii.n to kyaa, ye roshanii hai pyaar kii
dilo.n ke phuul khil gaye, to fiqr kyaa bahaar kii
hamaare ghar na aayegii, kabhii khushii udhaar kii
hamaarii raahato.n kaa ghar, hamaarii chaahato.n kaa ghar
ye teraa ghar ye meraa ghar   \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
