% ISB File: SaherHoneTak_0000(NON-FILM).txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{dil me.n aur to kyaa rakhaa hai}%
\film{Saher Hone Tak (Non-Film)}%
\year{}%
\starring{}%
\singer{Ghulam Ali}%
\music{}%
\lyrics{Nasir}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 03, 2004

\printtitle
#indian

dil me.n aur to kyaa rakhaa hai
teraa dard chhupaa rakhaa hai

itane dukho.n kii tez hawaa me.n
dil kaa diip jalaa rakhaa hai

is nagarii ke kuchh logo.n ne
dukh kaa naam dawaa rakhaa hai

vaadaa\-e\-yaar kii baat na chhe.Do
ye dhokhaa bhii khaa rakhaa hai

bhuul bhii jaa_o biitii baate.n
in baato.n me.n kyaa rakhaa hai

chup chup kyuu.N rahate ho 'naasir'
ye kyaa rog lagaa rakhaa hai

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{dilarubaa_ii kii adaa dekhe ko_ii}%
\film{Saher Hone Tak (Non-Film)}%
\year{}%
\starring{}%
\singer{Ghulam Ali}%
\music{}%
\lyrics{K M Arif}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 03, 2004

\printtitle
#indian

dilarubaa_ii kii adaa dekhe ko_ii
but me.n bhii shaan\-e\-Kudaa dekhe ko_ii

kaaT Daale mere par sayyaad ne
chahachahaane kii sazaa dekhe ko_ii

bin kahe kaifiiyat\-e\-dil kah ga_ii
jaaduu\-e\-chashm\-e\-hayaa dekhe ko_ii

apano.n se apanii shanaashaa_ii nahii.n
ye bhii jiine kii adaa dekhe ko_ii

jab bhii 'aarif' ye chalii ulTii chalii
kyaa zamaane kii hawaa dekhe ko_ii

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{meraa jo haal ho so ho bark\-e\-nazar giraaye jaa}%
\film{Saher Hone Tak (Non-Film)}%
\year{}%
\starring{}%
\singer{Ghulam Ali}%
\music{}%
\lyrics{}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 03, 2004

\printtitle
#indian

meraa jo haal ho so ho bark\-e\-nazar giraaye jaa
mai.n yuu.N hii naalaakash rahuu.N tuu yuu.N hii muskuraaye jaa

dil ke har ek goshaa me.n aag sii ik lagaaye jaa
mutarab\-e\-aatishii.n\-navaa haa.N isii dhun me.n gaaye jaa

jitanii bhii aaj pii sakuu.N uzr na kar pilaaye jaa
mast nazar kaa waastaa mast nazar banaaye jaa

lutf se ho ke qahar se hogaa kabhii to ruu\-ba\-ruu
usakaa jahaa.N pataa chale shor wahii.n machaaye jaa

ishq ko mutama_in na rakh husn ke etamaad par
wo tujhe aazamaa chukaa tuu use aazamaaye jaa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{saKtiyaa.N karataa huu.N dil par}%
\film{Saher Hone Tak (Non-Film)}%
\year{}%
\starring{}%
\singer{Ghulam Ali}%
\music{}%
\lyrics{Iqbal}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 03, 2004

\printtitle
#indian

saKtiyaa.N karataa huu.N dil par Gair se Gaafil huu.N mai.n
haay kyaa achchhii kahii zaalim huu.N mai.n jaahil huu.N mai.n

mai.n jabhii tak thaa ke terii jalawaa\-pairaa_ii na thii
jo numuud\-e\-haq se miT jaataa hai wo baatil huu.N mai.n

bazm\-e\-hastii apanii aaraa_ish pe tuu naazaa.N na ho
tuu to ik tasviir hai mahafil kii aur mahafil huu.N mai.n

Dhuu.NDhataa phirataa huu.N ai 'iqabaal' apane aap ko
aap hii goyaa musaafir aap hii ma.nzil huu.N mai.n

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{unake ik jaa.N nisaar ham bhii hai.n}%
\film{Saher Hone Tak (Non-Film)}%
\year{}%
\starring{}%
\singer{Ghulam Ali}%
\music{}%
\lyrics{Daag Dehalwi}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 03, 2004

\printtitle
#indian

unake ik jaa.N nisaar ham bhii hai.n
hai.n jahaa.N sau hazaar ham bhii hai.n

tum bhii bechain ham bhii hai.n bechain
tum bhii ho beqaraar ham bhii hai.n

sharm samajhe tere taGaaful ko
waah kyaa hoshiyaar ham bhii hai.n

kaun saa dil hai jisame.n 'daaG' nahii.n
ishq kii yaadagaar ham bhii hai.n

% The following were not in the version I heard

ai falaq kah to kyaa iraadaa hai
aish ke khwaastagaar ham bhii hai.n

shahar khaalii kiye dukaa.N kaisii
ek hii baadaaKwaar ham bhii hai.n

tum agar apanii guu.n ke ho maashuuq
apane matalab ke yaar ham bhii hai.n

jisane chaahaa pha.Nsaa liyaa hamako
dilabaro.n ke shikaar ham bhii hai.n

aa_ii mayaKaane se ye kis kii sadaa
laa_o yaaro.n ke yaar ham bhii hai.n

le hii to legii dil nigaah terii
har tarah hoshiyaar ham bhii hai.n

Gair kaa puuchhiye na haal hamase
unake jalase ke yaar ham bhii hai.n

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{wohii palako.n kaa jhapakanaa wohii jaaduu tere}%
\film{Saher Hone Tak (Non-Film)}%
\year{}%
\starring{}%
\singer{Ghulam Ali}%
\music{Ghulam Ali}%
\lyrics{Nazeer Qaisar}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 03, 2004
% It is also in Parchhaiyan

\printtitle
#indian

wohii palako.n kaa jhapakanaa wohii jaaduu tere
saare a.ndaaz churaa laa_ii hai Kushbuu tere

tujhase mai.n jism churaataa thaa magar ilm na thaa
mere saaye se lipaT jaaye.nge baazuu tere

terii aa.Nkho.n me.n pighalatii rahii suurat merii
merii tasviir pe girate rahe aa.Nsuu tere

aur kuchh der agar tez hawaa chalatii rahii
merii baa.Nho.n me.n bikhar jaaye.nge gesuu tere

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{ye jo hai huqm mere paas na aaye ko_ii}%
\film{Saher Hone Tak (Non-Film)}%
\year{}%
\starring{}%
\singer{Ghulam Ali}%
\music{}%
\lyrics{Daag Dehalwi}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 03, 2004

\printtitle
#indian

ye jo hai huqm mere paas na aaye ko_ii
isaliye ruuTh rahe hai.n ke manaaye ko_ii

taak me.n hai nigah\-e\-shauq Kudaa Kair kare
saamane se mere bachataa hu_aa jaaye ko_ii

haal afalaak\-o\-zabii.n kaa jo bataayaa bhii to kyaa
baat wo hai jo tere dil kii bataaye ko_ii

aapane 'daag' ko mu.Nh bhii na lagaayaa afasos
usako rakhataa thaa kaleje se lagaaye ko_ii

% The following was not in the version I heard

ho chukaa aish kaa jalasaa to mujhe Kat bhejaa
aap kii tarah se mehamaan bulaaye ko_ii

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
