% ISB File: SamaajKoBadalDalo_1970.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{tum apanii sahelii ko itanaa bataa do}%
\film{Samaaj Ko Badal Dalo}%
\year{1970}%
\starring{Ajay Parikshit Sahni, Prem Chopra, Aruna Irani, Pran, Mehmood, Devid}%
\singer{Rafi, Asha}%
\music{Ravi}%
\lyrics{Sahir}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10737 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

ra \:	tum apanii sahelii ko itanaa bataa do
	ki usase ko_ii pyaar karane lagaa hai
	jo ab tak sadaa muskaraataa rahaa ho
	har ik baat par aah bharane lagaa hai

	tumhaarii sahelii balaa kii ha.Nsii hai
	hame.n bhii Kabar hai use bhii yaqii.n hai
	kisii kii to bananaa hai aaKir use bhii
	buraa kyaa hai gar ko_ii marane lagaa hai

	kisii aur kii baat maane na maane
	magar tum kahogii to vo maan legii
	zaraa apane biimaar ko kuchh davaa de
	ki ab dard had se guzarane lagaa hai

aa \:	bas ab naaz chho.Do zaraa paas aa_o
	bahut ho chukaa ab na isako sataa_o
	mai.n kaise na usakii sifaarish guzaaruu.N
	ki bechaaraa bemaut marane lagaa hai

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
