% ISB File: Sangdil_1952.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{aaj priit ne to.D dii ... dil me.n samaa gaye sajan}%
\film{Sangdil}%
\year{1952}%
\starring{Dilip Kumar, Madhubala, Shammi}%
\singer{Lata, Talat}%
\music{Sajjad}%
\lyrics{Rajinder Krishan}%

% Contributor: K Vijay Kumar

\printtitle
#indian

aaj priit ne to.D dii ba.ndhan kii diivaar
haar maan ke priit se chalaa gayaa sa.nsaar

dil me.n samaa gaye sajan 
phuul khile chaman chaman
pyaar bhii muskuraa diyaa

mastii bharii havaa chalii 
ha.Nsane lagii kalii kalii
tumase mujhe milaa diyaa

aisaa badal gayaa samaa 
badale zaamiin-o-aasamaa.N
chho.D ke jab banaa liyaa 
pyaar me.n ik nayaa jahaa.N
aa_ii ghaTaaye.N jhuum ke
niil gagan ko chuum ke
Gam kaa nishaa.N miTaa diyaa

pahale ko_ii Kushii na thii 
dil kii kalii khilii na thii
tiir-e-nazar chalaa na thaa
zi.ndagii zi.ndagii na thii
tere qadam kii aahaTe.n 
ban ga_ii.n muskuraahaTe.n
meraa jahaa.N basaa diyaa

aa_ii jo rut bahaar kii 
chhi.D ga_ii baat pyaar kii
dil ne ta.Dap ta.Dap ke phir 
tere liye pukaar kii
o~
tum bhii kahii.n se aa gaye 
dhiire se muskuraa gaye
dil ko ha.Nsaa ha.Nsaa diyaa

dil me.n samaa gaye sajan 
phuul khile chaman chaman
pyaar bhii muskuraa diyaa 
Gam kaa nishaa.N miTaa diyaa
dil ko ha.Nsaa ha.Nsaa diyaa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{darshan pyaasii aa_ii daasii}%
\film{Sangdil}%
\year{1952}%
\starring{Dilip Kumar, Madhubala}%
\singer{Geeta}%
\music{Sajjad}%
\lyrics{Rajinder Krishan}%

% Contributor: Prithviraj Dasgupta
% Transliterator: Prithviraj Dasgupta
% Date: Jan 8, 2002
% Availability: HMV CD Hindi film soundtrack: Arzoo/Sangdil
% Comment: Devotional song

\printtitle
#indian

da.rshan pyaasii aa_ii daasii
jagamag diip jalaaye
prabhu charaN kii dhuul mile to
jiivan me.n sukh aaye

jag naiyaa ke khevanahaare
terii jyotii chaa.Nd sitaare
aa_ii paapan sharaN tihaare
sadaa hii raakho apanii dvaare
binatii karuu.N mai.n nis din torii
charaNan siis lagaaye
prabhu charaN kii dhuul mile to
jiivan me sukh aaye
da.rshan pyaasii aa_ii daasii \threedots

dharo na avaguN dhyaan prabhu jii
raakho meraa maan prabhu jii
bhav saagar ke paar lagaa_o
diijo ye varadaan prabhu jii
pal pal chhin chhin paapii jiivan 
daras tihaare paaye
prabhu charaN kii dhuul mile to
jiivan me sukh aaye
da.rshan pyaasii aa_ii daasii \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{dharatii se duur gore baadalo.n ke paar aa jaa}%
\film{Sangdil}%
\year{1952}%
\starring{Dilip Kumar, Madhubala}%
\singer{Geeta, Asha}%
\music{Sajjad}%
\lyrics{Rajinder Krishan}%

% Contributor: Azra Bano (bano@charlie.ece.sc.edu)
% Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu)
% Date: Thu Sep  7, 1995
% Credits:  preetham@connectinc.com (Preetham Gopalaswamy)
% Editor: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu)
% Comments:  

\printtitle
#indian

dharatii se duur gore baadalo.n ke paar aajaa
aajaa basaa le.n nayaa sa.nsaar, aajaa
aajaa basaa le.n nayaa sa.nsaar\threedots

chhoTii sii apanii duniyaa basaae.n
pyaar kaa jisame.n khel rachaae.n
chaa.Nd ko apanii naav banaake,
su.ndar taare to.D ke laae.n

duniyaa se ho apanii duniyaa niraalii
jag se niraalaa apanaa pyaar, aajaa
aajaa basaa le.n nayaa sa.nsaar\threedots
dharatii se duur gore baadalo.n ke paar aajaa
aajaa basaa le.n nayaa sa.nsaar, aajaa
aajaa basaa le.n nayaa sa.nsaar\threedots

god me.n leke raat kii raanii
roz sunaae na_ii kahaanii
chham chham karataa aayaa saveraa
phuulo.n kii bel jaae nishaanii (??)
shabanam aake mukha.Daa chuume
rimakhim barase mast phuhaar, aajaa
aajaa basaa le.n nayaa sa.nsaar
dharatii se duur gore baadalo.n ke paar aajaa
aajaa basaa le.n nayaa sa.nsaar, aajaa
aajaa basaa le.n nayaa sa.nsaar\threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{kahaa.N ho kahaa.N mere jiiwan sahaare}%
\film{Sangdil}%
\year{1952}%
\starring{Dilip Kumar, Madhubala, Shammi}%
\singer{Talat}%
\music{Sajjad}%
\lyrics{Rajinder Krishan}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Aug 13, 2004
% Song Courtesy: http://www.indianscreen.com

\printtitle
#indian

kahaa.N ho kahaa.N mere jiiwan sahaare
tumhe.n dil pukaare, tumhe.n dil pukaare
bahaate hai.n aa.Nsuu judaa_ii me.n terii
ye aramaa.N bechaare, ye aramaa.N bechaare
kahaa.N ho kahaa.N mere jiiwan sahaare
tumhe.n dil pukaare, tumhe.n dil pukaare

nazar se giraa ke chale jaane waale \-2
ta.Dapaane waale
( ye dil Dhuu.Ndhataa hai tumhaare ishaare
tumhaare ishaare, tumhaare ishaare ) \-2

ta.Dapate hai.n aa.Nkho.n me.n aramaan dekho \-2
ye tuufaan dekho
( chale aa_o rotaa hai dil Gam ke maare
ye Gam ke maare, ye Gam ke maare ) \-2

kahaa.N ho kahaa.N mere jiiwan sahaare
tumhe.n dil pukaare, tumhe.n dil pukaare
kahaa.N ho kahaa.N

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{wo to chale gaye ai dil yaad se unakii pyaar kar}%
\film{Sangdil}%
\year{1952}%
\starring{Dilip Kumar, Madhubala, Shammi}%
\singer{Lata}%
\music{Sajjad Husain}%
\lyrics{Rajinder Krishan}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10333 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

( wo to chale gaye ai dil
yaad se unakii pyaar kar ) \-2
jiine me.n kyaa mazaa rahaa
maut kaa intazaar kar
wo to chale gaye ai dil
yaad se unakii pyaar kar

( tujhako Kushii se kyaa garaz
Gam hai tere nasiib me.n ) \-2
Kushiyo.n kii aas chho.D de
Gam ko gale kaa haar kar

jiine me.n kyaa mazaa rahaa
maut kaa intazaar kar
wo to chale gaye ai dil
yaad se unakii pyaar kar

( bhuul jaa din bahaar ke
dekh naa Kaab pyaar ke ) \-2
dil to nisaar kar diyaa
jaan bhii ab nisaar kar

jiine me.n kyaa mazaa rahaa
maut kaa intazaar kar
wo to chale gaye ai dil
yaad se unakii pyaar kar

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{ye havaa ye raat ye chaa.Ndanii}% 
\film{Sangdil}%
\year{1952}%
\starring{Dilip Kumar, Madhubala, Nutan}%
\singer{Talat}%
\music{Sajjad}%
\lyrics{Rajinder Krishan}%

% Contributor:  Biju Parameshwaran (paramesh@enuxsa.eas.asu.edu)
% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@chandra.astro.indiana.edu)

\printtitle 
#indian

(ye havaa ye raat ye chaa.Ndanii 
terI ek adaa pe nisaar hai ) \- 2
mujhe kyuu.N nA ho terI aarazuu 
terI justajuu me.n bahaar hai
ye havaa ye raat ye chaa.Ndanii 

tujhe kyA khabar hai o bekhabar 
terI ek nazar me.n hai kyA asar 
jo gazab me.n aaye to kahar hai
jo ho meharabaa.n vo qaraar hai
mujhe kyuu.N nA ho terI aarazuu 
terI justajuu me.n bahaar hai 
ye havaa ye raat ye chaa.Ndanii 

terI baat\-baat hai.n dilanashii.n
koI tujhase ba.Dhake nahii.n hasii.n 
hai.n kalii\-kalii me.n jo mastiyaa.n 
terI aa.Nkh kA ye khumaar hai 
mujhe kyuu.N nA ho terI aarazuu 
terI justajuu mai.n bahaar hai 
ye havaa ye raat ye chaa.Ndanii \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
