% ISB File: Sarfarosh_2000.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{hosh vaalo.n ko Kabar kyaa beKudii kyaa chiiz hai}%
\film{Sarfarosh/ A Reason To Live}%
\year{2000}%
\starring{Aamir Khan, Sonali Bendre}%
\singer{Jagjit Singh}%
\music{Jatin Lalit}%
\lyrics{Nida Fazli}%

% Contributor: V S Rawat

\printtitle
#indian

huu.n haa haa haa haa haa haa
hosh vaalo.n ko khabar kyaa bekhudii kyaa chiiz hai
ishq kiije phir samajhi_e zi.ndagii kyaa chiiz hai
hosh vaalo.n ko \threedots

unase nazare.n kyaa milii.n roshan fizaa_e.n ho ga_ii.n
aaj jaanaa pyaar kii jaaduugarii kyaa chiiz hai
hosh vaalo.n ko \threedots

khulatii zulfo.n ne sikhaa_ii mausamo.n ko shaayarii
jhukatii aa.Nkho.n ne bataayaa maikashii kyaa chiiz hai
hosh vaalo.n ko \threedots

ham labo.n se kah na paa_e unase haal\-e\-dil kabhii
aur vo samajhe nahii.n ye Kaamoshii kyaa chiiz hai
hosh vaalo.n ko \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{is diivaane la.Dake ko ko_ii samajhaa_e}%
\film{Sarfarosh/ A Reason To Live}%
\year{2000}%
\starring{Aamir Khan, Sonali Bendre}%
\singer{Alka Yagnik, Aamir Khan}%
\music{Jatin Lalit}%
\lyrics{Sameer}%

% Contributor: V S Rawat

\printtitle
#indian

arz hai
davaa bhii kaam na aa_e ko_ii du_aa na lage
mere Kudaa kisii ko pyaar kii havaa na lage
aadaab

is diivaane la.Dake ko ko_ii samajhaa_e
pyaar muhabbat se naa jaane kyuu.n ye ghabaraa_e
dard\-e\-dil jaane naa
paas mai.n jitanaa aa_uu.n utanii duur ye jaa_e
jaa_e haa.n jaa_e
is diivaane la.Dake ko \threedots

ra.ng naa dekhe ruup naa dekhe
ye javaanii kii dhuup naa dekhe

arz hai
kuchh majanuu bane kuchh raa.njhaa bane
kuchh ##romeo## kuchh farahaad hu_e
is ra.ng ruup kii chaahat me.n jaane kitane barabaad hu_e
vo dekho

ishq me.n isake baa.nvarii huu.n mai.n
ye bhalaa hai to kyaa burii huu.n mai.n
ye la.Dakaa hai phir bhii jaane kyuu.n sharamaa_e
jaane kyuu.n sharamaa_e haay sharamaa_e
is diivaane la.Dake ko \threedots

jaanatii huu.n mai.n ye ta.Dapataa hai
pyaar me.n isakaa dil dha.Dakataa hai

jise dekho dil kii dhuunii ramaataa hai
are ye ma.ndir nahii.n hai shivaalaa nahii.n hai
hasiino.n se kah do kahii.n aur jaa_e
ye meraa dil hai dharamashaalaa nahii.n hai

ye akele me.n aah bharataa hai
phir bhii kahane se ye kyuu.n Darataa hai
sach kuchh bhii bole naa jhuuThii baat banaa_e
jhuuThii baat banaa_e haa.n banaa_e
is diivaane la.Dake ko \threedots

phuul khilate hai.n bahaaro.n kaa samaa.n hotaa hai
aise mausam me.n hii to pyaar javaa.n hotaa hai
dil kii baato.n ko ho.nTho.n se nahii.n kahate
ye fasaanaa to nigaaho.n se bayaa.n hotaa hai

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{jo haal dil kaa idhar ho rahaa hai}%
\film{Sarfarosh/ A Reason To Live}%
\year{2000}%
\starring{Aamir Khan, Sonali Bendre}%
\singer{Kumar Sanu, Alka Yagnik}%
\music{Jatin Lalit}%
\lyrics{Sameer}%

% Contributor: V S Rawat

\printtitle
#indian

iinaa miinaa Diikaa Daa_ii Dam niikaa maakaa naakaa naakaa chiikaa piikaa riikaa
iinaa miinaa Diikaa Diikaa De Daa_ii Dam niikaa
maakaa naakaa maakaa naakaa chiikaa piikaa rolaa riikaa
ram pam posh ram pam posh
ram pam posh ram pam posh
ram pam posh ram pam posh

jo haal dil kaa idhar ho rahaa hai
vo haal dil kaa udhar ho rahaa hai
jaan\-e\-jaa.n dilo.n pe pyaar kaa
ajab saa asar ho rahaa hai
jo haal dil kaa \threedots

gale se lagaa luu.n labo.n pe sajaa luu.n
tere afasaano.n ko apanaa banaa luu.n
dard hai halkaa saa magar ho rahaa hai
jaan\-e\-jaa.n dilo.n pe \threedots

ye tujhako khabar hai ye mujhako pataa hai
jo chhaayaa dha.Dakan pe chaahat kaa nashaa hai
diivaanaa teraa bekhabar ho rahaa hai
jaan\-e\-jaa.n dilo.n pe \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{merii raato.n kii nii.nde.n u.Daa de}%
\film{Sarfarosh/ A Reason To Live}%
\year{2000}%
\starring{Aamir Khan, Sonali Bendre}%
\singer{Alka Yagnik, Chorus}%
\music{Jatin Lalit}%
\lyrics{Indivar}%

% Contributor: V S Rawat

\printtitle
#indian

merii raato.n kii nii.nde.n u.Daa de
ke mai.n terii dulhan ban jaa_uu.n
hiire motii ke ka.ngan pahanaa de
ke mai.n terii dulhan ban jaa_uu.n
aa aa

tuu hai meraa nishaanaa haay taubaa
mai.n huu.n teraa nishaanaa haay taubaa
jaanuu.n kyaa hai Thikaanaa teraa
tere dil ko na jaanaa haay taubaa
dil mai.n de duu.n aahaa aahaa
jaan pe kheluu.n aahaa aahaa
mai.n pahalaa pyaar laa_ii
mere chehare se haa.n mere chehare se
chunar haTaa de
haa.n merii raato.n kii \threedots

jaan ho ga.nvaanii haay taubaa
to kar chhe.Dakhaanii haay taubaa
zi.ndagii ho bachaanii tujhako
to banaa mujhako raanii haay taubaa
tum jo sachche aahaa aahaa
are ham bhii achchhe aahaa aahaa
hai pyaar me.n hii jiinaa
jiinaa chaahe to ho jiinaa chaahe to
lab se lagaa le
ke merii raato.n kii \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{ye javaanii had kar de ... le mazaa le zi.ndagii kaa}%
\film{Sarfarosh/ A Reason To Live}%
\year{2000}%
\starring{Aamir Khan, Sonali Bendre}%
\singer{Kavita Subramaniam}%
\music{Jatin Lalit}%
\lyrics{Israar Ansari}%

% Contributor: V S Rawat

\printtitle
#indian

ye javaanii had kar de
buu.Dhe javaa.n ko mast kar de
ko_ii na jaane kal kyaa ho
aane vaalaa pal kyaa ho
le mazaa le zi.ndagii kaa zi.ndagii kaa zi.ndagii kaa
ho ye javaanii had kar de \threedots

ra.ngii.n samaa.n dil hai javaa.n
saare yahaa.n josh me.n
kyaa raat hai kyaa baat hai
ko_ii nahii.n hosh me.n
chhaayaa hai kaisaa nashaa
le le zaraa le le mazaa maikashii kaa
ho ye javaanii had kar de \threedots

kaatil bhii hai aashiq bhii hai
aate hai.n saare yahaa.n
is dil me.n hai kyaa kyaa chhupaa
kisako pataa merii jaa.n
aajaa mere paas aa
le le zaraa le le mazaa aashiqii kaa
ho ye javaanii had kar de \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{zi.ndagii maut naa ban jaa_e sa.mbhaalo yaaro.n}%
\film{Sarfarosh/ A Reason To Live}%
\year{2000}%
\starring{Aamir Khan, Sonali Bendre}%
\singer{Roop Kumar Rathod, Sonu Nigam, Chorus}%
\music{Jatin Lalit}%
\lyrics{Israar Ansari}%

% Contributor: V S Rawat

\printtitle
#indian

zi.ndagii maut naa ban jaa_e sa.mbhaalo yaaro.n
kho rahaa chain\-o\-aman haa.n
mushkilo.n me.n hai vatan
sarafaroshii kii shamaa dil me.n jalaa lo yaaro.n
zi.ndagii maut naa \threedots

ik taraf pyaar hai chaahat hai vafaadaarii hai
ik taraf desh me.n dhokhaa hai gaddaarii hai
bastiyaa.n sahamii hu_ii.n sahamaa chaman saaraa hai
Gam me.n kyuu.n Duubaa hu_aa aaj sab nazaaraa hai
aag paanii kii jagah abr jo barasaa_e.nge
lahalahaate hu_e sab khet jhulas jaa_e.nge
kho rahaa chain\-o\-aman \threedots

cha.nd sikko.n ke li_e tum na karo kaam buraa
har buraa_ii kaa sadaa hotaa hai a.njaam buraa
har buraa_ii kaa bas hotaa hai a.njaam buraa
zurm vaalo.n kii kahaa.n umr ba.Dii hai yaaro.n
inakii raaho.n me.n sadaa maut kha.Dii hai yaaro.n
zulm karane se sadaa zulm hii haasil hogaa
jo na sach baat kahe vo ko_ii buzadil hogaa
sarafarosho.n ne lahuu de ke jise sii.nchaa hai
aise gulashan ko uja.Dane se bachaa lo yaaro.n
sarafaroshii kii shamaa \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
